Shayari
agar vo aaj raat hadd-e-iltifaat toD de
kabhi phir us se pyaar kaa khayaal bhi na aaegaa
aaj bhi zakhm hi khilte hain sar-e-shaakh-e-nihaal
nakhl-e-khvaahish pe vahi be-samari rahnaa thi
آج بھی زخم ہی کھلتے ہیں سر شاخ نہال
نخل خواہش پہ وہی بے ثمری رہنا تھی
आज भी ज़ख़्म ही खिलते हैं सर-ए-शाख़-ए-निहाल
नख़्ल-ए-ख़्वाहिश पे वही बे-समरी रहना थी

agar vo aaj raat hadd-e-iltifaat toD de
kabhi phir us se pyaar kaa khayaal bhi na aaegaa
shahr-e-sukhan ajiib ho gayaa hai
naaqid yahaan adiib ho gayaa hai
pahaaD jaisi azmaton kaa daakhila thaa shahr mein
ki log aagahi kaa ishtihaar le ke chal diye
lahu mahkaa to saaraa shahr paagal ho gayaa hai
main kis saf se uThun kis ke liye khanjar nikaalun
tu laa-makaan mein rahe aur main makaan mein asiir
ye kyaa ki mujh pe itaaat tiri haraam hui
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
jab dil hi nahin hai pahlu mein phir ishq kaa saudaa kaun kare
ab un se mohabbat kaun kare ab un ki tamannaa kaun kare
pyaasi bahut thiin hasratein lo aaj mar gaiin
baarish kaa intizaar thaa vo bhi nahin rahaa
miri apni aur us ki aarzu mein farq ye thaa
mujhe bas vo use saaraa zamaana chaahiye thaa
hamin pe khatm hain jaur-o-sitam zamaane ke
hamaare baad use kis ki aarzu hogi
dil mein bhari hai khaak mein milne ki aarzu
khaakistari huaa hai hamaari qabaa kaa rang