Shayari
saans lene ko hi jiinaa nahin kahte hain 'zafar'
zindagi thi jo tire vasl kaa imkaan hotaa
ek bhi aaftaab ban na sakaa
laakh TuuTe hue sitaaron se
ایک بھی آفتاب بن نہ سکا
لاکھ ٹوٹے ہوئے ستاروں سے
एक भी आफ़्ताब बन न सका
लाख टूटे हुए सितारों से

saans lene ko hi jiinaa nahin kahte hain 'zafar'
zindagi thi jo tire vasl kaa imkaan hotaa
un ki mahfil mein 'zafar' log mujhe chaahte hain
vo jo kal kahte the divaana bhi saudaai bhi
zahr hai mere rag-o-pai mein mohabbat shaayad
apne hi Dank se bichchhu ki tarah mar jaaun
aa mire chaand raat suuni hai
baat banti nahin sitaaron se
paani ko aag kah ke mukar jaanaa chaahiye
palkon pe ashk ban ke Thahar jaanaa chaahiye
thak ke patthar ki tarah baiThaa huun raste mein 'zafar'
jaane kab uTh sakun kyaa jaaniye kab ghar jaaun
zamaana laakh sitaaron ko chhu ke aa jaae
abhi dilon ko magar haajat-e-rafu hai vahi
kuchh aur din abhi is jaa qayaam karnaa thaa
yahaan charaagh vahaan par sitaara dharnaa thaa
taa-falak le gai betaabi-e-dil tab bole
hazrat-e-ishq ki pahlaa hai ye ziinaa apnaa
shab-e-vaada fasil-e-hijr se aage chamaktaa hai tiraa ism-e-sitaara-ju
ki jaise koi paivand-e-ridaa-e-subh aa jaae kisi qindil ki zad mein
chaand sitaare jhiil samundar murat teri kyaa dekhun
Duub gayaa aankhon ke andar surat teri kyaa dekhun
sar ko na pheink apne falak par ghurur se
tu khaak se banaa hai tiraa ghar zamin hai