Shayari
mulk to mulk gharon par bhi hai qabza us kaa
ab to ghar bhi nahin chalte hain siyaasat ke baghair
dard ki dhuup Dhale gham ke zamaane jaaein
dekhiye ruuh se kab daagh puraane jaaein
درد کی دھوپ ڈھلے غم کے زمانے جائیں
دیکھیے روح سے کب داغ پرانے جائیں
दर्द की धूप ढले ग़म के ज़माने जाएँ
देखिए रूह से कब दाग़ पुराने जाएँ

mulk to mulk gharon par bhi hai qabza us kaa
ab to ghar bhi nahin chalte hain siyaasat ke baghair
us ko nae safar mein nae ham-safar ke saath
dil khush huaa hai kyon ye ziyaa dekhte hue
koi aasaan hai bhalaa rishte ko qaaem rakhnaa
girti divaar hai ham jis ko sambhaale hue hain
tujh se kahaa thaa khushbuein us ke badan ki laaiyo
meraa ye kaam aaj tak tu ne sabaa nahin kiyaa
zindagi rok ke aksar yahi kahti hai mujhe
tujh ko jaanaa thaa kidhar aur kidhar aa gayaa hai
daanaaon ne ki daanaai muund liin aankhein
chauraahe par qatl huaa paagal ne dekhaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
raasta sunsaan thaa to muD ke dekhaa kyuun nahin
mujh ko tanhaa dekh kar us ne pukaaraa kyuun nahin
silsila rone kaa sadiyon se chalaa aataa hai
koi aansu miri palkon pe Thahartaa hi nahin
ik harf-e-tasalli thaa mudaavaa-e-gham-e-hijr
jis vaqt tu pahlu se mire uTh ke gayaa thaa