SHAWORDS

aadmi ki hayaat muTThi bhar — Ghani Ejaz

HomeGhani EjazGhazal
"aadmi ki hayaat muTThi bhar yaani kul kaaenaat muTThi bhar haath bhar kaa hai din bichhaDne kaa aur milne ki raat muTThi bhar kyaa karoge sameT kar duniyaa hai jo duniyaa kaa saath muTThi bhar kar gayaa kisht-e-aarzu shaadaab aap kaa iltifaat muTThi bhar aur milnaa bhi kyaa saraabon se ret aaegi haath muTThi bhar hausla yuun na haarte 'ejaaz' ho gai thi jo maat muTThi bhar"
Urdu

آدمی کی حیات مٹھی بھر یعنی کل کائنات مٹھی بھر ہاتھ بھر کا ہے دن بچھڑنے کا اور ملنے کی رات مٹھی بھر کیا کرو گے سمیٹ کر دنیا ہے جو دنیا کا ساتھ مٹھی بھر کر گیا کشت آرزو شاداب آپ کا التفات مٹھی بھر اور ملنا بھی کیا سرابوں سے ریت آئے گی ہاتھ مٹھی بھر حوصلہ یوں نہ ہارتے اعجازؔ ہو گئی تھی جو مات مٹھی بھر

Hindi

आदमी की हयात मुट्ठी भर या'नी कुल काएनात मुट्ठी भर हाथ भर का है दिन बिछड़ने का और मिलने की रात मुट्ठी भर क्या करोगे समेट कर दुनिया है जो दुनिया का साथ मुट्ठी भर कर गया किश्त-ए-आरज़ू शादाब आप का इल्तिफ़ात मुट्ठी भर और मिलना भी क्या सराबों से रेत आएगी हाथ मुट्ठी भर हौसला यूँ न हारते 'एजाज़' हो गई थी जो मात मुट्ठी भर

aadmī kī hayāt muTThī bhar
Ghani Ejaz
Ghani Ejaz
Ghani Ejaz
poet20 quotes

More by Ghani Ejaz

View all →
Quote
"thakan ghaalib hai dam TuuTe hue hain safar jaari qadam TuuTe hue hain ba-zaahir to hain saalim jism-o-jaan se magar andar se ham TuuTe hue hain adhure hain yahaan saare ke saare sabhi to besh-o-kam TuuTe hue hain buraa ho e'timaad-e-baahami kaa ki sab qaul-o-qasam TuuTe hue hain taalluq TuTne ko hai jahaan se chalo ki band-e-gham TuuTe hue hain khudaa kaa ghar na bakhshaa zaalimon ne kai dair-o-haram TuuTe hue hain unhein munsif nahin qaatil kaho tum ki sab un ke qalam TuuTe hue hain"
Ghani EjazGhani Ejaz
Quote
"khvaahishein apni saraabon mein na rakkhe koi in havaaon ko habaabon mein na rakkhe koi chand lamhon kaa ye jiinaa hai ghanimat jaano zindagi apni azaabon mein na rakkhe koi aaj har fard hai ik hasrat-e-taabir liye ab khayaalaat ko khvaabon mein na rakkhe koi kaam tahqiq ke unvaan pe baDhegaa kaise gar savaalon ko javaabon mein na rakkhe koi ye bhi kyaa zid hai ki kaanTon ko mahakne diije yaani khushbu ko gulaabon mein na rakkhe koi nekiyaan kitni hain 'ejaaz' hisaar-e-dil mein khubiyaan hon to kharaabon mein na rakkhe koi"
Ghani EjazGhani Ejaz
Quote
"parinda hadd-e-nazar tak jo aasmaan mein hai paron mein zor kahaan hausla uDaan mein hai abhi se bhiig rahaa hai hadaf pasine mein ki tiir chhuTaa nahin hai abhi kamaan mein hai giregi kaun si chhat pe ye kab kise maalum kaTi patang havaaon ke imtihaan mein hai sukun-e-qalb ko mahlon mein DhunDne vaalo sukun-e-qalb faqiron ke khaandaan mein hai kharidnaa hai jo tohfa tumhein mohabbat kaa milegaa dil ke evaz dard ki dukaan mein hai hayaat-o-maut faqat naam ghar badalne kaa sameT rakkhaa hai saamaan saaebaan mein hai"
Ghani EjazGhani Ejaz
Quote
"junun mein der se khud ko pukaartaa huun main jo gham hai daaman-e-sahraa mein vo sadaa huun main badal gayaa hai zamaana badal gayaa huun main ab apni samt bhi hairat se dekhtaa huun main hayaat ek sazaa hai bhagat rahaa huun main dar-e-qubul se lauTi hui duaa huun main jise khud aap hi apne pe pyaar aa jaae jafaa ke daur mein vo laghzish-e-vafaa huun main jamaal-e-yaar ki raanaaiyaan maaaz-allaah nigaah ban ke nazaaron mein kho gayaa huun main bas ek jumbish-e-lab tak vajud hai jis kaa zabaan-e-shauq pe vo harf-e-muddaaa huun main agar hai jurm mohabbat to phir takalluf kyaa madaar-e-jurm huun taqsir huun khataa huun main rafaaqaton ke ye faanus taa-ba-kai 'ejaaz' havaa ki zad pe laraztaa huaa diyaa huun main"
Ghani EjazGhani Ejaz

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud