SHAWORDS

aafaat ne jis ko gheraa hogaa — Bimal Krishn Ashk

"aafaat ne jis ko gheraa hogaa rishta koi us kaa meraa hogaa mehmaan hain us saraae ke ham do-chaar ghaDi baseraa hogaa jaanun huun main jaisaa kuchh hai 'aalam kis kaa ye huaa ki meraa hogaa mil lo ki na mil sakeinge phir ham ye jaan lo phir na pheraa hogaa andar hi jalegi sham’-e-raushan baahar to faqat andheraa hogaa rote hi kaTegi shaam-e-hijraan uTh jaaeinge jab saveraa hogaa ham aison pe 'ashk' avval avval taqdir ne dukh bikheraa hogaa"
Urdu

آفات نے جس کو گھیرا ہوگا رشتہ کوئی اس کا میرا ہوگا مہمان ہیں اس سرائے کے ہم دوچار گھڑی بسیرا ہوگا جانوں ہوں میں جیسا کچھ ہے عالم کس کا یہ ہوا کہ میرا ہوگا مل لو کہ نہ مل سکیں گے پھر ہم یہ جان لو پھر نہ پھیرا ہوگا اندر ہی جلے گی شمع روشن باہر تو فقط اندھیرا ہوگا روتے ہی کٹے گی شام ہجراں اٹھ جائیں گے جب سویرا ہوگا ہم ایسوں پہ اشکؔ اول اول تقدیر نے دکھ بکھیرا ہوگا

Hindi

आफ़ात ने जिस को घेरा होगा रिश्ता कोई उस का मेरा होगा मेहमान हैं उस सराए के हम दो-चार घड़ी बसेरा होगा जानूँ हूँ मैं जैसा कुछ है 'आलम किस का ये हुआ कि मेरा होगा मिल लो कि न मिल सकेंगे फिर हम ये जान लो फिर न फेरा होगा अंदर ही जलेगी शम’-ए-रौशन बाहर तो फ़क़त अंधेरा होगा रोते ही कटेगी शाम-ए-हिज्राँ उठ जाएँगे जब सवेरा होगा हम ऐसों पे 'अश्क' अव्वल अव्वल तक़दीर ने दुख बिखेरा होगा

āfāt ne jis ko gherā hogā
Bimal Krishn Ashk
Bimal Krishn Ashk
Bimal Krishn Ashk
poet55 quotes

More by Bimal Krishn Ashk

View all →
Quote
"aise mein roz roz koi DhunDtaa mujhe aavaaz de rahi thi udhar ki havaa mujhe aisaa huaa ki ghar se na niklaa tamaam din jaise ki khud se aaj koi kaam thaa mujhe parde ke aas-paas koi baagh hi na ho khiDki khuli to phuul kaa dhokaa huaa mujhe ye peD jis pe phuul na patti na Tahniyaan das biis saal baad jo khud saa lagaa mujhe main aaj bhi vahi huun vafaa thi jise aziiz fursat mile to aa ke kabhi dekh jaa mujhe aankhon mein dil utar paDaa aaina dekh kar aayaa thaa ik khayaal bahut duur kaa mujhe ye fikr aa paDi hai ki badle gae na hon saae se kah rahaa huun zaraa dekhnaa mujhe kahte hain yaar-dost agar bevafaa kahein ai 'ashk' aansuon ne bhi kyaa de diyaa mujhe"
Bimal Krishn AshkBimal Krishn Ashk
Quote
"agar tujh se huun to phir aur kyaa huun main kis jaisaa huun kis kis se judaa huun mujhe maalum hai kitnaa buraa huun ye kyaa kam hai ki apnaa aaina huun koi divaar si TuuTi hai shaayad main andar hi kahin girne lagaa huun kabhi to saamne aaungaa apne ki apni raah mein kab se khaDaa huun mujhe ehsaas ne gheraa huaa hai main apne-aap apnaa daaera huun ye meraa haath kis ke haath mein hai ye kis ke paanv hain jin par khaDaa huun mire alfaaz patthar ho gae hain main apne haath se zakhmi huaa huun khud apne-aap ko aavaaz de kar na jaane 'ashk' kis ko DhunDhtaa huun"
Bimal Krishn AshkBimal Krishn Ashk
Quote
"kaise kahein ki chaar taraf daaera na thaa jaate kahaan ki khud se pare raastaa na thaa jab saans le rahi thi darakhton ke aas-paas aavaaz de rahi thi koi boltaa na thaa khud se chale to rah-guzar aaina ho gai apne sivaae aur koi sujhtaa na thaa ab ke basant aai to aankhein ujaD gaiin sarson ke khet mein koi patta haraa na thaa parda hilaa ke baad-e-sahar duur tak gai khushbu kidhar se aai kisi ko pataa na thaa guzri tamaam umr usi shahr mein jahaan vaaqif sabhi the go koi pahchaantaa na thaa ai 'ashk' ik kitaab paDhi thi varaq varaq vo tirgi thi lafz koi sujhtaa na thaa"
Bimal Krishn AshkBimal Krishn Ashk
Quote
"charaagh jalne lagein aur dil machalne lage udhar ho raat udhar koi ji ko malne lage udaas os ki bundon se bujhne-jalne lage tum aa raho to sitaaron ki lau sambhalne lage ye devdaar ki Tahni pe tham gayaa saa chaand havaa chale to abhi karvaTein badalne lage tamaam-raat dhuaan saa uchhaalti rahi raat ruki to ThiThure hue haath-paaon jalne lage ab in hari-bhari saDkon kaa jaane kyaa hogaa thi jin se raah vahi raasta badalne lage jo baadalon mein tiri maang si lakiron par nazar gai to dilon mein charaagh jalne lage ruko to dard saa Thahraa sujhaai de dil mein chalo to 'ashk' kasak saath saath chalne lage"
Bimal Krishn AshkBimal Krishn Ashk
Quote
"guzri raaton ke tasalsul se koi kyaa nikle ham jise teri tarah chaahein tujhi saa nikle jaise vo jaan nazar aankh jhapaktaa nikle raat ki kokh se aisaa koi taaraa nikle us pe kyaa jaaniye kyaa kyaa na guzarti hogi tum to ye soch rahe ho vo idhar aa nikle chup raho ik do-ghaDi ke liye rone vaalo ain mumkin hai koi hanstaa huaa aa nikle raah mein phuul khileinge to chubhan bhi hogi ghar mein baiThun to miri aankh kaa kaanTaa nikle raat jalti hai sulagte hue sahraa ki tarah dard agar ho to kisi aankh se dariyaa nikle"
Bimal Krishn AshkBimal Krishn Ashk
Quote
"man mein jot jagaane vaale tyaag gae ye Deraa jogi uttar dakhkhin purab pachchhim chaaron or andheraa jogi dvaare dvaare alakh jagaane ko to saari 'umr paDi hai sej saji do chaar ghaDi ko kar le rain baseraa jogi is ghar mein ik koraa aanchal rote rote bhiig chalaa hai bhule hi se sahi kabhi to maar idhar bhi pheraa jogi apne man mein chor chhupaa ho to phir dosh kisi kaa kyaa hai vo hi raah-rau vo hi rahzan apnaa aap luTeraa jogi pal-do-pal ruk pahan gerue kapDe ham bhi saath chaleinge maar chali ras-bhari javaani jogi vaalaa pheraa jogi paanv paanv muDti pagDanDi aankh jhapakte Das leti hai jivan ki naagin kis ke bas is kaa kaun saperaa jogi tu jo kahe to un zulfon ki narm chhaaon hamraah le chalein jangal mein kaale baadal kaa saaya bahut ghaneraa jogi ye bhabhut kis ki palkon kis ke baalon ki parchhaain hai tere saaf saped jism par kis ne rang bikheraa jogi kaan mein kunDal kaDaa haath mein lambe baal ghunghrun vaale tere tan ke chaar chaphere kis jogan kaa gheraa jogi jis ne mujh ko ghar bakhshaa hai aur aavaara-gardi tujh ko us ki raahguzar kis ghar se kis raste par Deraa jogi har rukh par parchhaain kisi ki har chehre par 'aks kisi kaa chalte phirte baazaaron mein kyaa teraa kyaa meraa jogi is basti mein 'ashk' kisi ik laDke ko kunDal pahnaa kar ik laDki ne ye kah kar barbaad kiyaa tu meraa jogi"
Bimal Krishn AshkBimal Krishn Ashk

More on Maa

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat