SHAWORDS

aah jo dil se nikaali jaaegi — Akbar Allahabadi

"aah jo dil se nikaali jaaegi kyaa samajhte ho ki khaali jaaegi is nazaakat par ye shamshir-e-jafaa aap se kyunkar sambhaali jaaegi kyaa gham-e-duniyaa kaa Dar mujh rind ko aur ik botal chaDhaa li jaaegi shaikh ki daavat mein mai kaa kaam kyaa ehtiyaatan kuchh mangaa li jaaegi yaad-e-abru mein hai 'akbar' mahv yuun kab tiri ye kaj-khayaali jaaegi"
Urdu

آہ جو دل سے نکالی جائے گی کیا سمجھتے ہو کہ خالی جائے گی اس نزاکت پر یہ شمشیر جفا آپ سے کیوں کر سنبھالی جائے گی کیا غم دنیا کا ڈر مجھ رند کو اور اک بوتل چڑھا لی جائے گی شیخ کی دعوت میں مے کا کام کیا احتیاطاً کچھ منگا لی جائے گی یاد ابرو میں ہے اکبرؔ محو یوں کب تری یہ کج خیالی جائے گی

Hindi

आह जो दिल से निकाली जाएगी क्या समझते हो कि ख़ाली जाएगी इस नज़ाकत पर ये शमशीर-ए-जफ़ा आप से क्यूँकर सँभाली जाएगी क्या ग़म-ए-दुनिया का डर मुझ रिंद को और इक बोतल चढ़ा ली जाएगी शैख़ की दावत में मय का काम क्या एहतियातन कुछ मँगा ली जाएगी याद-ए-अबरू में है 'अकबर' महव यूँ कब तिरी ये कज-ख़याली जाएगी

aah jo dil se nikālī jā.egī
Akbar Allahabadi
Akbar Allahabadi
Akbar Allahabadi
poet269 quotes

More by Akbar Allahabadi

View all →
Quote
"fitna uTThe koi yaa ghaat mein dushman baiThe kaar-e-ulfat pe to ab hazrat-e-dil Than baiThe shaikh kaa'be mein kalisaa mein barahman baiThe ham to kuche mein tire maar ke aasan baiThe su-e-daulat nazar aai na jo raah-e-e'zaaz masnad-e-sabr-o-tavakkul hi pe ham tan baiThe huun main vo rind agar hashr mein mulzim Thahrun faisle ke liye huron kaa commission baiThe inqilaab-e-ravish-e-charkh ko dekh ai 'akbar' kal jo the dost mire aaj 'adu ban baiThe hind se aap ko hijrat ho mubaarak 'akbar' ham to gangaa hi pe ab maar ke aasan baiThe"
Akbar AllahabadiAkbar Allahabadi
Quote
"jiine mein ye ghaflat fitrat ne kyon tab'-e-bashar mein daakhil ki marne ki musibat jaanon par kyon qudrat-e-haq ne naazil ki kyon tul-e-amal mein uljhaayaa insaan ne apne daaman ko kyon zulf-e-havas ke phande mein phansti hai tabi'at ghaafil ki kyon hijr ke sadme hote hain kyon murdon pe zinde rote hain kyon jang mein jaanein jaati hain kyon baDhti hai himmat qaatil ki mantiq kaa to daa'vaa ek taraf taaqat ki ye shokhi ek taraf kyaa farq hai khair-o-shar mein yahaan kyaa jaanch hai haqq-o-baatil ki"
Akbar AllahabadiAkbar Allahabadi
Quote
"hasti ke shajar mein jo ye chaaho ki chamak jaao kachche na raho balki kisi rang mein pak jaao main ne kahaa qaail main tasavvuf kaa nahin huun kahne lage is bazm mein aao to thirak jaao main ne kahaa kuchh khauf collector kaa nahin hai kahne lage aa jaaein abhi vo to dubak jaao main ne kahaa varzish ki koi had bhi hai aakhir kahne lage bas is ki yahi had hai ki thak jaao main ne kahaa afkaar se pichhaa nahin chhuTtaa kahne lage tum jaanib-e-mai-khaana lapak jaao main ne kahaa 'akbar' mein koi rang nahin hai kahne lage she'r us ke jo sun lo to phaDak jaao"
Akbar AllahabadiAkbar Allahabadi
Quote
"duniyaa mein huun duniyaa kaa talabgaar nahin huun baazaar se guzraa huun kharidaar nahin huun zinda huun magar ziist ki lazzat nahin baaqi har-chand ki huun hosh mein hushyaar nahin huun is khaana-e-hasti se guzar jaaungaa be-laus saaya huun faqat naqsh-ba-divaar nahin huun afsurda huun ibrat se davaa ki nahin haajat gham kaa mujhe ye zoaf hai bimaar nahin huun vo gul huun khizaan ne jise barbaad kiyaa hai uljhun kisi daaman se main vo khaar nahin huun yaa rab mujhe mahfuz rakh us but ke sitam se main us ki inaayat kaa talabgaar nahin huun go daava-e-taqvaa nahin dargaah-e-khudaa mein but jis se hon khush aisaa gunahgaar nahin huun afsurdagi o zoaf ki kuchh had nahin 'akbar' kaafir ke muqaabil mein bhi din-daar nahin huun"
Akbar AllahabadiAkbar Allahabadi

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer