"vo nigaahein jo hazaaron ki sunaa karti thiin faisle mere ishaaron pe liyaa karti thiin is baras us se bichhaDnaa thaa to kyaa kyaa na huaa varna kab itni mulaaqaatein huaa karti thiin mujh ko dekhe binaa ji paao to ab mat aanaa yahi baatein to phir aane ko kahaa karti thiin ab yaqin kar ki mire dil mein koi baat nahin ranjishein thiin to ubharti bhi rahaa karti thiin ab jin aankhon ki udaasi ke bahut charche hain kal talak kitne hasin khvaab bunaa karti thiin"
aaine kaa saath pyaaraa thaa kabhi — Shariq Kaifi
"aaine kaa saath pyaaraa thaa kabhi ek chehre par guzaaraa thaa kabhi aaj sab kahte hain jis ko naakhudaa ham ne us ko paar utaaraa thaa kabhi ye mire ghar ki fazaa ko kyaa huaa kab yahaan meraa tumhaaraa thaa kabhi thaa magar sab kuchh na thaa dariyaa ke paar is kinaare bhi kinaaraa thaa kabhi kaise TukDon mein use kar luun qubul jo miraa saare kaa saaraa thaa kabhi aaj kitne gham hain rone ke liye ik tire dukh kaa sahaaraa thaa kabhi justuju itni bhi be-maa'ni na thi manzilon ne bhi pukaaraa thaa kabhi ye nae gumraah kyaa jaanein mujhe main safar kaa istiaara thaa kabhi ishq ke qisse na chheDo dosto main isi maidaan mein haaraa thaa kabhi"
آئنے کا ساتھ پیارا تھا کبھی ایک چہرے پر گزارا تھا کبھی آج سب کہتے ہیں جس کو ناخدا ہم نے اس کو پار اتارا تھا کبھی یہ مرے گھر کی فضا کو کیا ہوا کب یہاں میرا تمہارا تھا کبھی تھا مگر سب کچھ نہ تھا دریا کے پار اس کنارے بھی کنارا تھا کبھی کیسے ٹکڑوں میں اسے کر لوں قبول جو مرا سارے کا سارا تھا کبھی آج کتنے غم ہیں رونے کے لیے اک ترے دکھ کا سہارا تھا کبھی جستجو اتنی بھی بے معنی نہ تھی منزلوں نے بھی پکارا تھا کبھی یہ نئے گمراہ کیا جانیں مجھے میں سفر کا استعارہ تھا کبھی عشق کے قصے نہ چھیڑو دوستو میں اسی میداں میں ہارا تھا کبھی
आइने का साथ प्यारा था कभी एक चेहरे पर गुज़ारा था कभी आज सब कहते हैं जिस को नाख़ुदा हम ने उस को पार उतारा था कभी ये मिरे घर की फ़ज़ा को क्या हुआ कब यहाँ मेरा तुम्हारा था कभी था मगर सब कुछ न था दरिया के पार इस किनारे भी किनारा था कभी कैसे टुकड़ों में उसे कर लूँ क़ुबूल जो मिरा सारे का सारा था कभी आज कितने ग़म हैं रोने के लिए इक तिरे दुख का सहारा था कभी जुस्तुजू इतनी भी बे-मा'नी न थी मंज़िलों ने भी पुकारा था कभी ये नए गुमराह क्या जानें मुझे मैं सफ़र का इस्तिआ'रा था कभी इश्क़ के क़िस्से न छेड़ो दोस्तो मैं इसी मैदाँ में हारा था कभी

More by Shariq Kaifi
View all →"'ishq pahli miri buraai thi jo ki sab ki nazar mein aai thi us ki ik ik khushi pe martaa thaa jis se har vaqt ki laDaai thi vahi tarkib aansuon vaali aaj main ne bhi aazmaai thi ye bhi koi bhalaa savaal huaa yaad aai to kitni aai thi miri tanhaai ki zarurat bhi us ki nazron mein bevafaai thi 'ishq kaa ek marhala tu thaa ek manzil tiri judaai thi"
"mile to kuchh baat bhi karoge ki bas use dekhte rahoge ye lafz to muntakhab kiye the hamaari har baat kab sunoge vo apne raste mein khud khaDaa hai kahaan talak us kaa saath doge ye vahm bhi chhoD do ki ab tum kisi ke chhune se ji uThoge jo baat ab khul chuki hai us ko dilon mein rakh ke bhi kyaa karoge chalo isi zindagi ko ji lein kahaani ban ke bhi kyaa karoge"
"baat karte the aur patthar the log baahar nahin the andar the pichhe-pichhe jo chal rahe the mire vo tamaashaai the ki be-ghar the saaraa ghar so rahaa thaa aangan mein kaise tartib-vaar bistar the raat chhoTi baDi to hoti thi khvaab sab niind ke baraabar the ye to likhne ko mujh se chhuT gayaa biich mein jang ke bhi manzar the"
"jab saahil kaa dhokaa saahil ho jaataa hai paar utarnaa aur bhi mushkil ho jaataa hai ik din itni bhiiD juTaa leti hai shohrat apnaa qaatil us mein shaamil ho jaataa hai maut ke din se kyon Dartaa thaa yuun Dartaa thaa jis ko dekho ghar mein daakhil ho jaataa hai koi bhi achchhi baat yahaan bas kaan mein kahnaa bimaaron ko marnaa mushkil ho jaataa hai ye mahrumi aur tarah ki mahrumi hai sab kuchh vaqt se pahle haasil ho jaataa hai saari haqiqat khul jaati hai daanaai ki jis din ik gumraah muqaabil ho jaataa hai"
"aaj ikaTThaa kar ke 'ishq ke maaron ko gher liyaa hai ham ne duniyaa-daaron ko saath ke saare qaidi aisaa kahte the ham ne bhi ghar maan liyaa divaaron ko achchhe ho kar lauT gae sab ghar lekin maut kaa chehra yaad rahaa bimaaron ko dhaar ko parkhaa zang ke dhabbe saaf kiye phir baiThak mein Taang diyaa talvaaron ko jaao apne hisse ke tum ‘aish karo 'ishq mein ham bhi bhuul gae the yaaron ko mere 'alaava kaun jagaane aataa hai pichhle pahar ke soe hue baazaaron ko subh kaa matlab subh kaa pahlaa cigarette thaa vo bhi ab laa-haasil hai bimaaron ko"
More on Maa
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"