kyaa yahi us kaa mudaavaa na huaa
ek bimaar jo achchhaa na huaa
chaar tinke hi sahi jal to gae
kyaa mire dam se ujaalaa na huaa …
ab main payaam-e-fasl-e-bahaaraan ko kyaa karun — Ehsas Muradabadi
"ab main payaam-e-fasl-e-bahaaraan ko kyaa karun daaman kahaan se laaun garebaan ko kyaa karun taasir-e-sozish-e-gham-e-pinhaan ko kyaa karun rang-e-parida-e-rukh-e-jaanaan ko kyaa karun paidaa yahin se meraa nasheman bhi ho to jaae be-e'tibaari-e-gham-e-zindaan ko kyaa karun teri navaazishon ne bikhere hazaar gul lekin main apni tangi-e-daamaan ko kyaa karun yuun to har ek dard ne bakhshi hayaat-e-nau main fitrat-e-hayaat-e-gurezaan ko kyaa karun tum kyaa mile ki mil gaiin saari masarratein ab ye bataao dida-e-giryaan ko kyaa karun 'ehsaas' kaise kaise hui thi sahar nasib phir aa rahi hai ab shab-e-hijraan ko kyaa karun"
اب میں پیام فصل بہاراں کو کیا کروں دامن کہاں سے لاؤں گریباں کو کیا کروں تاثیر سوزش غم پنہاں کو کیا کروں رنگ پریدۂ رخ جاناں کو کیا کروں پیدا یہیں سے میرا نشیمن بھی ہو تو جائے بے اعتباریٔ غم زنداں کو کیا کروں تیری نوازشوں نے بکھیرے ہزار گل لیکن میں اپنی تنگئ داماں کو کیا کروں یوں تو ہر ایک درد نے بخشی حیات نو میں فطرت حیات گریزاں کو کیا کروں تم کیا ملے کہ مل گئیں ساری مسرتیں اب یہ بتاؤ دیدۂ گریاں کو کیا کروں احساسؔ کیسے کیسے ہوئی تھی سحر نصیب پھر آ رہی ہے اب شب ہجراں کو کیا کروں
अब मैं पयाम-ए-फ़स्ल-ए-बहाराँ को क्या करूँ दामन कहाँ से लाऊँ गरेबाँ को क्या करूँ तासीर-ए-सोज़िश-ए-ग़म-ए-पिन्हाँ को क्या करूँ रंग-ए-परीदा-ए-रुख़-ए-जानाँ को क्या करूँ पैदा यहीं से मेरा नशेमन भी हो तो जाए बे-ए'तिबारी-ए-ग़म-ए-ज़िंदाँ को क्या करूँ तेरी नवाज़िशों ने बिखेरे हज़ार गुल लेकिन मैं अपनी तंगी-ए-दामाँ को क्या करूँ यूँ तो हर एक दर्द ने बख़्शी हयात-ए-नौ मैं फ़ितरत-ए-हयात-ए-गुरेज़ाँ को क्या करूँ तुम क्या मिले कि मिल गईं सारी मसर्रतें अब ये बताओ दीदा-ए-गिर्यां को क्या करूँ 'एहसास' कैसे कैसे हुई थी सहर नसीब फिर आ रही है अब शब-ए-हिज्राँ को क्या करूँ
More by Ehsas Muradabadi
View all →vo dard-e-dil bhi nahin chashm-e-khun-fishaan bhi nahin
kabhi jo thaa vo ab andaaz-e-gulsitaan bhi nahin
ilaaj-e-dard-e-mohabbat to kar nahin sakte
tumhaare qabze mein kyaa marg-e-naa-gahaan bhi nahin …
muqaabla hai gham-o-alam kaa to saamnaa ranj-o-be-kasi kaa
rah-e-mohabbat mein har qadam par nishaan miltaa hai zindagi kaa
isi mohabbat mein ham pe guzraa ik aisaa 'aalam bhi tirgi kaa
banaa liyaa aaftaab ham ne milaa jo zarra bhi raushni kaa …
munavvar ho ke kitni daastaan-e-aashiqi aai
jahaan tak zikr-e-gham aayaa nazar mein raushni aai
tiri ik ik nazar le kar payaam-e-zindagi aai
miri jaanib se lekin kab mohabbat mein kami aai …
tu hi bataa de jamaal-e-maani tiraa karein intizaar kab tak
hayaat kaa e'tibaar ho bhi nigaah kaa e'tibaar kab tak
jahaan-e-zulm-o-jafaa ke maalik koi na ho ashk-baar kab tak
jo dil hi majbur ho chukaa ho to aankh par ikhtiyaar kab tak …
soz aavaaz mein lahje mein khanak hai saaqi
ishq kaa tere yaqin to nahin shak hai saaqi
main ne kab tujh se kahaa hai mujhe shak hai saaqi
tere maathe pe sitaaron ki chamak hai saaqi …
More on Maa
View all →is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa
divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa
kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa
aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa …
hai jo ik maa'raka faisal nahin hone detaa
jin vo ho ke mujhe botal nahin hone detaa
qatl ik roz hi kartaa huun isi goshe mein
aur saabit ise maqtal nahin hone detaa …
muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai
daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas
jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa
ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas …
ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai
sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai
main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai
kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai …
dil shaad nahin karte aabaad nahin karte
mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte
naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte
kam-aql parindon ko aazaad nahin karte …
kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki
tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki
bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se
kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki …