Quote
"jazba-e-'ishq-o-vafaa mein ik kami baaqi rahi har khataa main kar chukaa bas khud-kushi baaqi rahi bevafaa kaise kahun majbur kahnaa Thiik hai ham gae do samt lekin dosti baaqi rahi muddaton pahle 'ataa tum ne kiyaa thaa jo mujhe aaj tak aankhon mein mere vo nami baaqi rahi jhuuT kahne kaa saliqa us ko aaya hi nahin us ki fitrat mein abhi tak saadgi baaqi rahi vo saraapaa nuur aaya aur fauran chal diyaa baa'd jaane ke bhi us ke raushni baaqi rahi"
