SHAWORDS

mazdur ke kisaan ke haalaat pe likhein — Khalid Azmi

HomeKhalid AzmiGhazal
"mazdur ke kisaan ke haalaat pe likhein aao ghazal ko apni nai baat pe likhein ab daastaan-e-shirin-o-farhaad chhoD kar ashfaaq ke bhagat ke khayaalaat pe likhein apni qalam ko rang-e-siyaasat se moD kar kashmir pe asaam pe gujraat pe likhein insaaniyat ke zikr kaa kuchh bhi hai gar khayaal is mulk ke gharib ke jazbaat pe likhein insaan hi to pyaasaa hai insaan ke khuun kaa qaatil ke Dar se sahmi hui raat pe likhein"
Urdu

مزدور کے کسان کے حالات پہ لکھیں آؤ غزل کو اپنی نئی بات پہ لکھیں اب داستان شیریں و فرہاد چھوڑ کر اشفاق کے بھگت کے خیالات پہ لکھیں اپنی قلم کو رنگ سیاست سے موڑ کر کشمیر پہ اسام پہ گجرات پہ لکھیں انسانیت کے ذکر کا کچھ بھی ہے گر خیال اس ملک کے غریب کے جذبات پہ لکھیں انسان ہی تو پیاسا ہے انساں کے خون کا قاتل کے ڈر سے سہمی ہوئی رات پہ لکھیں

Hindi

मज़दूर के किसान के हालात पे लिखें आओ ग़ज़ल को अपनी नई बात पे लिखें अब दास्तान-ए-शीरीं-ओ-फ़रहाद छोड़ कर अशफ़ाक़ के भगत के ख़यालात पे लिखें अपनी क़लम को रंग-ए-सियासत से मोड़ कर कश्मीर पे असाम पे गुजरात पे लिखें इंसानियत के ज़िक्र का कुछ भी है गर ख़याल इस मुल्क के ग़रीब के जज़्बात पे लिखें इंसान ही तो प्यासा है इंसाँ के ख़ून का क़ातिल के डर से सहमी हुई रात पे लिखें

mazdūr ke kisān ke hālāt pe likheñ
Khalid Azmi
Khalid Azmi
Khalid Azmi
poet15 quotes

More by Khalid Azmi

View all →

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud