SHAWORDS

ai vaqt tu guzarne lagaa kis maqaam se — Ashhar Nadeemi

HomeAshhar NadeemiGhazal
"ai vaqt tu guzarne lagaa kis maqaam se bezaar hai zamaana mohabbat ke naam se nazrein milin to aankhon ne dekhe hazaar khvaab laakhon gumaan ubhre tumhaare salaam se jin ki ragon mein khuun hai rishvat kaa vo mujhe aagaah kar rahe hain halaal-o-haraam se mullaa zamaana-saaz hai panDit hai zar-parast donon ko kuchh gharaz nahin rahmaan-o-raam se ahbaab khaa gae hain fareb-e-ziyaan-o-sud byopaar ho rahaa hai mohabbat ke naam se ab raat ho chuki hai ai aavaargi chalun aavaaz de rahaa hai koi mujh ko shaam se tujh mein shabih paai hai maah-e-tamaam ki tashbih tujh ko kyon na duun maah-e-tamaam se be-laus milne vaalaa ab aataa nahin koi aate hain ab jo log vo aate hain kaam se mauzu' chaahe koi ho mere kalaam kaa main ham-kalaam hotaa huun 'ashhar' 'avaam se"
Urdu

اے وقت تو گزرنے لگا کس مقام سے بیزار ہے زمانہ محبت کے نام سے نظریں ملیں تو آنکھوں نے دیکھے ہزار خواب لاکھوں گمان ابھرے تمہارے سلام سے جن کی رگوں میں خون ہے رشوت کا وہ مجھے آگاہ کر رہے ہیں حلال و حرام سے ملا زمانہ ساز ہے پنڈت ہے زر پرست دونوں کو کچھ غرض نہیں رحمان و رام سے احباب کھا گئے ہیں فریب زیاں و سود بیوپار ہو رہا ہے محبت کے نام سے اب رات ہو چکی ہے اے آوارگی چلوں آواز دے رہا ہے کوئی مجھ کو شام سے تجھ میں شبیہ پائی ہے ماہ تمام کی تشبیہ تجھ کو کیوں نہ دوں ماہ تمام سے بے لوث ملنے والا اب آتا نہیں کوئی آتے ہیں اب جو لوگ وہ آتے ہیں کام سے موضوع چاہے کوئی ہو میرے کلام کا میں ہم کلام ہوتا ہوں اشہرؔ عوام سے

Hindi

ऐ वक़्त तू गुज़रने लगा किस मक़ाम से बेज़ार है ज़माना मोहब्बत के नाम से नज़रें मिलीं तो आँखों ने देखे हज़ार ख़्वाब लाखों गुमान उभरे तुम्हारे सलाम से जिन की रगों में ख़ून है रिश्वत का वो मुझे आगाह कर रहे हैं हलाल-ओ-हराम से मुल्ला ज़माना-साज़ है पंडित है ज़र-परस्त दोनों को कुछ ग़रज़ नहीं रहमान-ओ-राम से अहबाब खा गए हैं फ़रेब-ए-ज़ियाँ-ओ-सूद ब्योपार हो रहा है मोहब्बत के नाम से अब रात हो चुकी है ऐ आवारगी चलूँ आवाज़ दे रहा है कोई मुझ को शाम से तुझ में शबीह पाई है माह-ए-तमाम की तश्बीह तुझ को क्यों न दूँ माह-ए-तमाम से बे-लौस मिलने वाला अब आता नहीं कोई आते हैं अब जो लोग वो आते हैं काम से मौज़ू' चाहे कोई हो मेरे कलाम का मैं हम-कलाम होता हूँ 'अशहर' 'अवाम से

ai vaqt tū guzarne lagā kis maqām se
Ashhar Nadeemi
Ashhar Nadeemi
Ashhar Nadeemi
poet15 quotes

More by Ashhar Nadeemi

View all →
Quote
"apni talaash hai ki vafaa DhunDne lage nikle ho kis suraagh mein kyaa DhunDne lage tadbir-saaz fahm-o-zakaa ki talaash hai taqdir-saaz fikr-e-rasaa DhunDne lage is shahr-e-tang-o-taar mein jiine ki aarzu apni khushi se aap sazaa DhunDne lage uf haath ko bhi haath yahaan sujhtaa nahin is shahr-e-be-charaagh mein kyaa DhunDne lage shaayad talaash mein ho kisi khaas chiiz ki kyaa be-takaan subh-o-masaa DhunDne lage maazi ke vaaqi'aat ki mustaqbil-e-hayaat is daur-e-kam-faraagh mein kyaa DhunDne lage 'ashhar' yahaan to koi mizaaj-aashnaa nahin ham tang aa ke shahr nayaa DhunDne lage"
Ashhar NadeemiAshhar Nadeemi
Quote
"fazaa mein surmai chaadar tani hai shaam hui tire khayaal ki raftaar tez-gaam hui khatib-e-shahr ki taqrir zahr-afshaan thi fazaa mein zahr ghulaa zindagi haraam hui bajaa hai der se tadbir ki magar kaisi qadam qadam pe jo taqdir ki imaam hui buland hone lagaa hai sitaara-e-taqdir junun-e-shauq mein tadbir be-lagaam hui khirad kaa khabt kabhi to kabhi junun kaa shauq baDe jatan jo kiye zindagi ye raam hui huaa thaa jis pe tumhein kal gumaan-e-badnaami khataa vahi to miri vajh-e-ehtiraam hui ba-juz tumhaare koi raaz-daan na thaa 'ashhar' jo khaas baat thi phir kis tarah vo 'aam hui"
Ashhar NadeemiAshhar Nadeemi
Quote
"rasta hayaat-e-shauq kaa hamvaar to nahin ye inqilaab-e-vaqt ke aasaar to nahin ye imtihaan vaqt ke ye aazmaaishein main apne daur kaa koi autaar to nahin insaan hain ki sang-taraashon ke shaahkaar ehsaas in mein koi bhi bedaar to nahin shaamil huun tez dauD mein lekin huun fikrmand kuchh aur tez vaqt ki raftaar to nahin maanaa ye gulsitaan hai magar dekh kar yahaan koi gul-e-shagufta sharar-baar to nahin kyon ruk rahe hain shauq ke uThte hue qadam raste mein koi dard ki divaar to nahin 'ashhar' jise uchhaal chuke log mulk mein changez-e-'ahd-e-nau ki vo dastaar to nahin"
Ashhar NadeemiAshhar Nadeemi
Quote
"duniyaa ye mujhe hashr kaa baazaar lage hai har shakhs musibat mein giraftaar lage hai is haal mein insaaf kahaan maangne jaaein munsif bhi to mujrim kaa taraf-daar lage hai is daur kaa kyaa haal hai ye aap samajh lein sach bolne vaalaa mujhe autaar lage hai jazbaat mein sho'le na khayaalaat mein garmi majnun bhi mujhe 'aql kaa bimaar lage hai ho pyaar kaa izhaar ki dukh dard ki baatein is shahr mein har shakhs adaakaar lage hai ye kaun si manzil hai kahaan aa ke khaDaa huun dil aaj tire naam se bezaar lage hai baarud ke ambaar pe Thahri hai ye duniyaa is daur mein jiinaa bhi chamatkaar lage hai"
Ashhar NadeemiAshhar Nadeemi
Quote
"qadmon ki aahaTein bhi na aaiin nikal gae ye maah-o-saal chaal qayaamat ki chal gae haalaat ki ye dhuup ye aatish-mizaaj vaqt jo aahani the hausle vo bhi pighal gae laghzish mein bhi hamaari hai andaaz-e-rahbari ham gir gae ye dekh ke tum to sanbhal gae taa'mir jin se honi thi takhrib ho gai amrat ki jin se aas thi vo zahr ugal gae taa'bir ki talaash mein ik 'umr ghuum kar haalaat ke alaav mein sab khvaab jal gae ab kyaa rahaa hai jiine ko apni hayaat mein duniyaa to badli badli hai tum bhi badal gae 'ashhar' ba-faiz-e-raahbaraan-e-sitam-shi'aar ruhein bhi kaanp si gaiin dil bhi dahal gae"
Ashhar NadeemiAshhar Nadeemi

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud