SHAWORDS

ba-faiz-e-ishq harf-e-ain par DaTe rahe hain ham — Azhar Faragh

HomeAzhar FaraghGhazal
"ba-faiz-e-ishq harf-e-ain par DaTe rahe hain ham shurua se shurua Thiik baandhte rahe hain ham gali mein koi thaa nahin jo kahtaa jaagte raho isi liye tamaam raat jaagte rahe hain ham bujhe bujhe se is liye ajiib lag rahe ho tum baDe qarib se ye aag taapte rahe hain ham hamein hai aur dastaras sanam-gari ke kaam par mujassamon ko pattharon mein Dhaalte rahe hain ham nikal gayaa thaa vo hasin apni zulf baandh kar havaa ki baaqiyaat ko sameTte rahe hain ham"
Urdu

بہ فیض عشق حرف عین پر ڈٹے رہے ہیں ہم شروع سے شروع ٹھیک باندھتے رہے ہیں ہم گلی میں کوئی تھا نہیں جو کہتا جاگتے رہو اسی لیے تمام رات جاگتے رہے ہیں ہم بجھے بجھے سے اس لیے عجیب لگ رہے ہو تم بڑے قریب سے یہ آگ تاپتے رہے ہیں ہم ہمیں ہے اور دسترس صنم گری کے کام پر مجسموں کو پتھروں میں ڈھالتے رہے ہیں ہم نکل گیا تھا وہ حسین اپنی زلف باندھ کر ہوا کی باقیات کو سمیٹتے رہے ہیں ہم

Hindi

ब-फ़ैज़-ए-इश्क़ हर्फ़-ए-ऐन पर डटे रहे हैं हम शुरूअ' से शुरूअ' ठीक बाँधते रहे हैं हम गली में कोई था नहीं जो कहता जागते रहो इसी लिए तमाम रात जागते रहे हैं हम बुझे बुझे से इस लिए अजीब लग रहे हो तुम बड़े क़रीब से ये आग तापते रहे हैं हम हमें है और दस्तरस सनम-गरी के काम पर मुजस्समों को पत्थरों में ढालते रहे हैं हम निकल गया था वो हसीन अपनी ज़ुल्फ़ बाँध कर हवा की बाक़ियात को समेटते रहे हैं हम

ba-faiz-e-ishq harf-e-ain par DaTe rahe haiñ ham
Azhar Faragh
Azhar Faragh
Azhar Faragh
poet69 quotes

More by Azhar Faragh

View all →
Quote
"us lab ki khaamushi ke sabab TuTtaa huun main dast-e-duaa mein rakkhaa huaa aaina huun main ab jaa ke ho sakegi mohabbat vasuq se khud se bichhaDte vaqt kisi se milaa huun main aabaad hai khazaane ki afvaah se vajud matruk jangalon kaa koi raasta huun main dastaar kaaghzi hai fazilat hai naam ki chhoTon ki mehrbaani se ghar mein baDaa huun main ro kar na soyaa jaae to kyaa niind kaa javaaz bistar ki har shikan mein paDaa jaagtaa huun main huun apni raushni ki aziyyat mein mubtalaa jaltaa huaa charaagh huun ulTaa paDaa huun main"
Azhar FaraghAzhar Faragh
Quote
"tire baad koi bhi gham asar nahin kar sakaa koi saaneha miri aankh tar nahin kar sakaa mujhe ilm thaa mujhe kam paDegi ye raushni so main inhisaar charaagh par nahin kar sakaa mujhe jhuuT ke vo javaaz pesh kiye gae kisi baat par main agar-magar nahin kar sakaa mujhe chaal chalne mein der ho gai aur main koi ek mohra idhar-udhar nahin kar sakaa kai paikaron ko mire khayaal ne shakl di jinhein runumaa miraa kuza-gar nahin kar sakaa mire aas-paas ki muflisi miri maazarat tiraa intizaam main apne ghar nahin kar sakaa"
Azhar FaraghAzhar Faragh
Quote
"bhanvar se ye jo mujhe baadbaan khinchtaa hai zarur koi havaaon ke kaan khinchtaa hai kisi badan ki siyaahat niDhaal karti hai kisi ke haath kaa takiya thakaan khinchtaa hai nashist ke to talabgaar hi nahin ham log hamaare paanv se kyuun paaedaan khinchtaa hai badal ke dekh chuki hai reaayaa saahib-e-takht jo sar qalam nahin kartaa zabaan khinchtaa hai dikhaa rahaa hai kharidaar ban ke aaj mujhe jise lapeT ke rakkhun vo thaan khinchtaa hai charaaghon mein vo charaagh is liye numaayaan hai ham aise dekhne vaalon kaa dhyaan khinchtaa hai ye saaraa jhagDaa tire inhimaak kaa hi to hai sameTtaa hai koi daastaan khinchtaa hai"
Azhar FaraghAzhar Faragh

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud