SHAWORDS

be-sabab chaak par dhare the ham — Charagh Barelvi

"be-sabab chaak par dhare the ham bante bante bhi kyaa bane the ham zabt-e-gham haar hi gayaa aakhir us ko dekhaa to ro paDe the ham tujh ko kaanTe kahaan se lag jaate aage aage jo chal rahe the ham haadisa kis taraf ko le aayaa ghar se kyaa soch kar chale the ham sach bataa khaaliq-e-jahaan-e-kharaab is tamaashe ko hi bane the ham ho gai shaam tab mili duniyaa saaraa din DhunDe phire the ham"
Urdu

بے سبب چاک پر دھرے تھے ہم بنتے بنتے بھی کیا بنے تھے ہم ضبط غم ہار ہی گیا آخر اس کو دیکھا تو رو پڑے تھے ہم تجھ کو کانٹے کہاں سے لگ جاتے آگے آگے جو چل رہے تھے ہم حادثہ کس طرف کو لے آیا گھر سے کیا سوچ کر چلے تھے ہم سچ بتا خالق جہان خراب اس تماشے کو ہی بنے تھے ہم ہو گئی شام تب ملی دنیا سارا دن ڈھونڈے پھرے تھے ہم

Hindi

बे-सबब चाक पर धरे थे हम बनते बनते भी क्या बने थे हम ज़ब्त-ए-ग़म हार ही गया आख़िर उस को देखा तो रो पड़े थे हम तुझ को काँटे कहाँ से लग जाते आगे आगे जो चल रहे थे हम हादिसा किस तरफ़ को ले आया घर से क्या सोच कर चले थे हम सच बता ख़ालिक़-ए-जहान-ए-ख़राब इस तमाशे को ही बने थे हम हो गई शाम तब मिली दुनिया सारा दिन ढूँडे फिरे थे हम

be-sabab chaak par dhare the ham
Charagh Barelvi
Charagh Barelvi
Charagh Barelvi
poet12 quotes

More by Charagh Barelvi

View all →
Quote
"ham ko rakhni thi so ik chaak pe rakh di miTTi kuza-gar jaane ki kis shakl Dhalegi miTTi shahr ki galiyon mein ik shor thaa duniyaa duniyaa qabr-gaahon se sadaa aai ki miTTi miTTi us ki zid thi ki Dhalein us ki hi ham sharton par aur ham le ke chale aae hain apni miTTi ek muddat se koi shakl nahin milti hamein tu ne kis chaak pe rakh di ye hamaari miTTi ham kahaan aur kisi zaat mein hote hain nihaan apni miTTi se nahin milti kisi ki miTTi chhaan kar dekhnaa mil jaaeingi meri kirchein tere aangan mein jo ik subh milegi miTTi dasht hi dasht nazar aataa hai mujh ko ai havaa tu ne Daali hai miri aankh mein kaisi miTTi khatm hotaa hi nahin hai kisi khvaahish kaa tavaaf kyon kisi chaak ko milti nahin achchhi miTTi"
Charagh BarelviCharagh Barelvi

More on Maa

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat