SHAWORDS

be-sabab ishq kab udaas rahaa — Ehsas Muradabadi

"be-sabab ishq kab udaas rahaa vo tumhaaraa adaa-shanaas rahaa zindagi-bhar khudi kaa paas rahaa ishq kab mahv-e-iltimaas rahaa har fasaana jo kah chuki duniyaa mere gham kaa hi iqtibaas rahaa jaama-zebi ba-qadr-e-zauq rahi ishq har shakhs kaa libaas rahaa tum se jab qurbatein mayassar thiin dil to us vaqt bhi udaas rahaa gham kaa paimaana khud bataa degaa kaun kitnaa tumhaare paas rahaa un ko mujh se hazaar duuri thi main to 'ehsaas' un ke paas rahaa"
Urdu

بے سبب عشق کب اداس رہا وہ تمہارا ادا شناس رہا زندگی بھر خودی کا پاس رہا عشق کب محو التماس رہا ہر فسانہ جو کہہ چکی دنیا میرے غم کا ہی اقتباس رہا جامہ زیبی بقدر ذوق رہی عشق ہر شخص کا لباس رہا تم سے جب قربتیں میسر تھیں دل تو اس وقت بھی اداس رہا غم کا پیمانہ خود بتا دے گا کون کتنا تمہارے پاس رہا ان کو مجھ سے ہزار دوری تھی میں تو احساسؔ ان کے پاس رہا

Hindi

बे-सबब इश्क़ कब उदास रहा वो तुम्हारा अदा-शनास रहा ज़िंदगी-भर ख़ुदी का पास रहा इश्क़ कब महव-ए-इल्तिमास रहा हर फ़साना जो कह चुकी दुनिया मेरे ग़म का ही इक़्तिबास रहा जामा-ज़ेबी ब-क़द्र-ए-ज़ौक़ रही इश्क़ हर शख़्स का लिबास रहा तुम से जब क़ुर्बतें मयस्सर थीं दिल तो उस वक़्त भी उदास रहा ग़म का पैमाना ख़ुद बता देगा कौन कितना तुम्हारे पास रहा उन को मुझ से हज़ार दूरी थी मैं तो 'एहसास' उन के पास रहा

be-sabab ishq kab udaas rahā
E
Ehsas Muradabadi
Ehsas Muradabadi
poet18 quotes

More by Ehsas Muradabadi

View all →
Quote
"ab main payaam-e-fasl-e-bahaaraan ko kyaa karun daaman kahaan se laaun garebaan ko kyaa karun taasir-e-sozish-e-gham-e-pinhaan ko kyaa karun rang-e-parida-e-rukh-e-jaanaan ko kyaa karun paidaa yahin se meraa nasheman bhi ho to jaae be-e'tibaari-e-gham-e-zindaan ko kyaa karun teri navaazishon ne bikhere hazaar gul lekin main apni tangi-e-daamaan ko kyaa karun yuun to har ek dard ne bakhshi hayaat-e-nau main fitrat-e-hayaat-e-gurezaan ko kyaa karun tum kyaa mile ki mil gaiin saari masarratein ab ye bataao dida-e-giryaan ko kyaa karun 'ehsaas' kaise kaise hui thi sahar nasib phir aa rahi hai ab shab-e-hijraan ko kyaa karun"
E
Ehsas Muradabadi
Quote
"vo dard-e-dil bhi nahin chashm-e-khun-fishaan bhi nahin kabhi jo thaa vo ab andaaz-e-gulsitaan bhi nahin ilaaj-e-dard-e-mohabbat to kar nahin sakte tumhaare qabze mein kyaa marg-e-naa-gahaan bhi nahin vo is maqaam se guzre hain dil ye kahtaa hai jhukaa hai sar ki jahaan koi aastaan bhi nahin isi chaman mein kai baar sho'le bhaDke hain miri navaa kaa koi ab mizaaj-daan bhi nahin sukut kitne maraahil ke baad aataa hai vo mutmain hain mire lab pe ab fughaan bhi nahin ye aur baat qafas mein guzaar duun din-raat miraa maqaam to varna ye gulsitaan bhi nahin shab-e-firaaq mein andesha-e-sahar kaisaa ye vo zamin hai jahaan koi aasmaan bhi nahin"
E
Ehsas Muradabadi
Quote
"muqaabla hai gham-o-alam kaa to saamnaa ranj-o-be-kasi kaa rah-e-mohabbat mein har qadam par nishaan miltaa hai zindagi kaa isi mohabbat mein ham pe guzraa ik aisaa 'aalam bhi tirgi kaa banaa liyaa aaftaab ham ne milaa jo zarra bhi raushni kaa yakaayak ik huuk dil mein uTThi palaT gayaa rang zindagi kaa ba-khair yaadash mire labon par abhi abhi naam thaa kisi kaa jahaan se dekho fasaana-e-gham bani hui iztiraab-e-paiham hon teri nazrein bhi jis se barham kareinge kyaa aisi zindagi kaa ye ahd-e-gham ki nahin hikaayat thi is se pahle bhi aisi haalat vahin pe Thahri nigaah-e-ulfat jo rang dekhaa shikastagi kaa jo dil pe paiham hai baarish-e-gham mohabbatein ho rahi hain mohkam izaafa kartaa hai zindagi mein jo din guzartaa hai zindagi kaa bayaan-e-gham ki lataafatein hain mohabbaton ki nazaakatein hain vagarna 'ehsaas' sach to ye hai saliqa kyaa mujh ko shaa'iri kaa"
E
Ehsas Muradabadi
Quote
"munavvar ho ke kitni daastaan-e-aashiqi aai jahaan tak zikr-e-gham aayaa nazar mein raushni aai tiri ik ik nazar le kar payaam-e-zindagi aai miri jaanib se lekin kab mohabbat mein kami aai jabin-e-shauq mein jab koi shaan-e-kaafiri aai to istiqbaal karne har qadam par bandagi aai ye jaan-e-aashiqi hai is ko kis dil se judaa kar duun na jaane kitne gham sah kar to mujh tak bekasi aai zahe qismat ki us ko dard-e-mahrumi pasand aayaa mohabbat aish-e-do-aalam ko Thukraati hui aai ye aalam hai to phir zabt-e-mohabbat se bhi kyaa haasil zabaan par un kaa naam aayaa ki aankhon mein nami aai kisi surat mein ho ye dil ki nisbat chhup nahin sakti mire rone pe aakhir ik tumhin ko kyon hansi aai"
E
Ehsas Muradabadi
Quote
"soz aavaaz mein lahje mein khanak hai saaqi ishq kaa tere yaqin to nahin shak hai saaqi main ne kab tujh se kahaa hai mujhe shak hai saaqi tere maathe pe sitaaron ki chamak hai saaqi kyaa tiri shokhi-e-guftaar ki tashrih karun kitni shirini hai aur kaisaa namak hai saaqi ishq ke soz ne naghmaat ko garmi bakhshi ab tire saaz mein shoalon ki lapak hai saaqi mere saanson mein jo bas jaae to kyaa us kaa ilaaj tu nahin paas magar teri mahak hai saaqi main bahak jaaun to ye meri tunuk-zarfi hai aur agar nashsha na ho kis ki hatak hai saaqi dil-e-'ehsaas' mein jo ruh-e-tajalli hai nihaan chaand taaron mein kahaan us ki jhalak hai saaqi"
E
Ehsas Muradabadi

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi