"saath rah kar bhi jaantaa kahaan hai vo miraa hai par aashnaa kahaan hai ye tamannaa hai do ghaDi ji luun ziist kaa lekin raasta kahaan hai mujh mein jiitaa hai har nafas lekin main usi kaa huun maantaa kahaan hai jo duaa mein ibaadaton mein rahaa vo mohabbat kaa devtaa kahaan hai choT gahri lagi hai dil pe koi kisi se us kaa vaasta kahaan hai saath khud ke huun ajnabi ki tarah meraa mujh se hi silsila kahaan hai"
bujhti aankhon ki raushni to dekh — Ashok Goyal Ashok
"bujhti aankhon ki raushni to dekh chashm mein tairti nami to dekh aa kabhi tu qarib aa mere zist-o-jaan mein tiri kami to dekh raat bhar jaagti hai kyuun ye shab jaagti shab ki bekali to dekh umr bhar paaniyon ne likkhi pyaas paaniyon ki ye tishnagi to dekh saath rah kar bhi duur duur hai tu zindagi ki ye dil-lagi to dekh main jo ab roz roz dekhtaa huun vo tamaashaa tu do ghaDi to dekh hijr ke zalzale hain utre hue khud-kushi karti vo nadi to dekh"
بجھتی آنکھوں کی روشنی تو دیکھ چشم میں تیرتی نمی تو دیکھ آ کبھی تو قریب آ میرے زیست و جاں میں تری کمی تو دیکھ رات بھر جاگتی ہے کیوں یہ شب جاگتی شب کی بیکلی تو دیکھ عمر بھر پانیوں نے لکھی پیاس پانیوں کی یہ تشنگی تو دیکھ ساتھ رہ کر بھی دور دور ہے تو زندگی کی یہ دل لگی تو دیکھ میں جو اب روز روز دیکھتا ہوں وہ تماشا تو دو گھڑی تو دیکھ ہجر کے زلزلے ہیں اترے ہوئے خودکشی کرتی وہ ندی تو دیکھ
बुझती आँखों की रौशनी तो देख चश्म में तैरती नमी तो देख आ कभी तू क़रीब आ मेरे ज़ीस्त-ओ-जाँ में तिरी कमी तो देख रात भर जागती है क्यूँ ये शब जागती शब की बेकली तो देख उम्र भर पानियों ने लिक्खी प्यास पानियों की ये तिश्नगी तो देख साथ रह कर भी दूर दूर है तू ज़िंदगी की ये दिल-लगी तो देख मैं जो अब रोज़ रोज़ देखता हूँ वो तमाशा तू दो घड़ी तो देख हिज्र के ज़लज़ले हैं उतरे हुए ख़ुद-कुशी करती वो नदी तो देख

More by Ashok Goyal Ashok
View all →"dard kaisaa bhi ho kyaa hotaa hai dil to ye mar ke bhi ab zinda hai hai agar dhuup to ab dhuup sahi sar pe mere koi to saaya hai kis ne phir qatl kiyaa suraj ko hai fazaa nam to ye din kaalaa hai khud se milne ko bhi to vaqt nahin kaun aainon se ab miltaa hai noch li us ne phir aankhein apni ziist par us ne likhaa sahraa hai"
"maut se kab najaat hai pyaare zindagi ko ye maat hai pyaare jis ne samjhaa vo miir ho gayaa hai aaina kaaenaat hai pyaare roz chehre badal ke khush hai tu ye to khud se hi ghaat hai pyaare tu jinhein shurvir samjhe hai buz-dilon ki ye zaat hai pyaare itnaa aasaan nahin ghazal kahnaa 'mir' 'ghaalib' ki zaat hai pyaare teraa kirdaar aaina ho jaae bas yahi to sabaat hai pyaare Duub jaa ishq ke samundar mein dekh phir kaun saath hai pyaare koi maqsad na koi manzil ho zindagi kyaa mamaat hai pyaare"
"zindagi bhi ajab tamaashaa hai dhuup ko chhaanv kaa sahaaraa hai miT rahe naqsh us muqaddar ke main ne sahraa se jo banaayaa hai ham-navaa hai na ham-safar koi had talak dard be-sahaaraa hai apni tanhaaiyon se thak kar aaj tirgi ne mujhe pukaaraa hai mere ashaar mein chamaktaa huun main jab inhein khun-e-dil pilaayaa hai"
"ishq ki intihaa ne luuT liyaa kabhi husn-e-vafaa ne luuT liyaa kal talak rahzanon ne luuTaa hamein aaj ik aashnaa ne luuT liyaa jo badal de muqaddaron kaa likhaa vaqt ki us adaa ne luuT liyaa kabhi luuTaa jamaal ne tere kabhi teri vafaa ne luuT liyaa bach gayaa vaqt ki adaavat se to mujhe naa-khudaa ne luuT liyaa"
"vo dil laaun kahaan se jo tire dil ke muqaabil ho mujhe chaahat mohabbat kaa sila koi to haasil ho nahin gham maut kaa koi magar ik shart hai meri koi qaatil ho meraa to du'aa hai tu hi qaatil ho na koi khauf marne kaa na jiine ki tamanna hai use Dar kyaa samundar se jise kashti hi saahil ho lagaa dein aag dariyaa mein uThaaein chal koi tufaan maza aae mohabbat kaa agar tu mujh mein shaamil ho"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"