SHAWORDS

chaandni raat mein har dard sanvar jaataa hai — Abdullah Javed

HomeAbdullah JavedGhazal
"chaandni raat mein har dard sanvar jaataa hai jaane kyaa kyaa sar-e-ehsaas bikhar jaataa hai dekhte ham bhi hain kuchh khvaab magar haae re dil har nae khvaab ki taabir se Dar jaataa hai maut kaa vaqt muayyan hai to phir baat hai kyaa kaun hai mujh mein jo har saans pe mar jaataa hai dil mein gaD jaati hai jab saaat-e-maazi ki salib vaqt ruk jaataa hai insaan guzar jaataa hai"
Urdu

چاندنی رات میں ہر درد سنور جاتا ہے جانے کیا کیا سر احساس بکھر جاتا ہے دیکھتے ہم بھی ہیں کچھ خواب مگر ہائے رے دل ہر نئے خواب کی تعبیر سے ڈر جاتا ہے موت کا وقت معین ہے تو پھر بات ہے کیا کون ہے مجھ میں جو ہر سانس پہ مر جاتا ہے دل میں گڑ جاتی ہے جب ساعت ماضی کی صلیب وقت رک جاتا ہے انسان گزر جاتا ہے

Hindi

चाँदनी रात में हर दर्द सँवर जाता है जाने क्या क्या सर-ए-एहसास बिखर जाता है देखते हम भी हैं कुछ ख़्वाब मगर हाए रे दिल हर नए ख़्वाब की ता'बीर से डर जाता है मौत का वक़्त मुअ'य्यन है तो फिर बात है क्या कौन है मुझ में जो हर साँस पे मर जाता है दिल में गड़ जाती है जब साअ'त-ए-माज़ी की सलीब वक़्त रुक जाता है इंसान गुज़र जाता है

chāñdnī raat meñ har dard sañvar jaatā hai
Abdullah Javed
Abdullah Javed
Abdullah Javed
poet37 quotes

More by Abdullah Javed

View all →
Quote
"yaad yuun hosh ganvaa baiThi hai jism se jaan judaa baiThi hai raah taknaa hai abas so jaao dhuup divaar pe aa baiThi hai aashiyaane kaa khudaa hi haafiz ghaat mein tez havaa baiThi hai dast-e-gul-chin se muravvat kaisi shaakh phulon ko ganvaa baiThi hai kaise aae kisi gulshan mein bahaar dasht mein aabla-paa baiThi hai shahr aaseb-zada lagtaa hai kuche kuche mein balaa baiThi hai chaar kamron ke makaan mein apne ik pachhal-paai bhi aa baiThi hai shaairi peT ki khaatir 'jaaved' biich baazaar ke aa baiThi hai"
Abdullah JavedAbdullah Javed
Quote
"har lamha marg-o-zist mein paikaar dekhnaa khinchi hui hai vaqt ne talvaar dekhnaa is dopahar ki dhuup mein saaya kahaan mile din Dhal chale to phir kahin divaar dekhnaa ab to safar ke sakht maraahil hain aur ham jab paas aae manzil-e-dildaar dekhnaa be-taabiyaan hon laakh magar us ke ru-ba-ru chhoDein na haath daaman-e-pindaar dekhnaa ai maslahat ki past zaminon ke baasiyo kitni bulandiyaan hain sar-e-daar dekhnaa zarra bhi aaftaab se kamtar nahin yahaan yaaro magar ba-dida-e-bedaar dekhnaa 'jaaved' ham hain aur hai ehsaas kaa khulus yaaron ke paas jhuuT ke tumaar dekhnaa"
Abdullah JavedAbdullah Javed
Quote
"ik sail-e-be-panaah ki surat ravaan hai vaqt tinke samajh rahe hain ki vahm-o-gumaan hai vaqt parkho to jaise tegh-e-do-dam hai khinchi hui Taalo to ek uDtaa huaa saa dhuaan hai vaqt jo dil hadaf huaa ho vo shaayad bataa sake naavak bhi aap aap hi chaDhti kamaan hai vaqt ham us ke saath hain ki vo hai apne saath saath kis ko khabar ki ham hain ravaan yaa ravaan hai vaqt taarikh kyaa hai vaqt ke qadmon ki gard hai qaumon ke auj-o-past ki ik daastaan hai vaqt agle sukhan-varon ne jise aasmaan kahaa sach puchhiye to aaj vahi aasmaan hai vaqt hamdam nahin rafiq nahin ham-navaa nahin lekin hamaaraa sab se baDaa raazdaan hai vaqt kal kaaenaat apne jilau mein liye hue 'jaaved' hast-o-bud kaa ik kaarvaan hai vaqt"
Abdullah JavedAbdullah Javed
Quote
"jaanib-e-dar dekhnaa achchhaa nahin raah shab bhar dekhnaa achchhaa nahin aashiqi ki sochnaa to Thiik hai aashiqi kar dekhnaa achchhaa nahin izn-e-jalva hai jhalak bhar ke liye aankh bhar kar dekhnaa achchhaa nahin ik tilismi shahr hai ye zindagi pichhe muD kar dekhnaa achchhaa nahin apne baahar dekh kar hans bol lein apne andar dekhnaa achchhaa nahin phir nai hijrat koi darpesh hai khvaab mein ghar dekhnaa achchhaa nahin sar badan par dekhiye 'jaaved' ji haath mein sar dekhnaa achchhaa nahin"
Abdullah JavedAbdullah Javed

More on Raat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri