"phir jahaan-e-aarzu ki dilkashi bahlaa gai aati-jaati kuchh ruton ki raagni bharmaa gai phir badan kaa ik ta'alluq chuTkiyaan lene lagaa ik hasin mauj-e-havaa phir raaste mahkaa gai ishrat-e-nazzaargi thi be-khudi-e-shauq tak uf khirad ki raushni manzar sabhi dhundlaa gai ajnabi se lams shaayad ajnabi hi rah gae be-hisi be-chehragi chehron pe yaksar chhaa gai aah vo ehsaas kaa aalam ki jab lab sil gae aap-biti aap palkon par machal kar aa gai aasmaan-e-fikr par yaadon ki ik qaus-e-quzah maaziyon kaa ruup daur-e-haal mein dikhlaa gai raaston ki dhuul mein thiin irtiqaa ki manzilein justuju kuchh zindagi ke raaste dikhlaa gai aati-jaati sab ruton kaa le rahi thi jaaeza rahrav-e-darmaanda ki aankh jo pathraa gai raah chalte husn ki parchhaaiyon ke ruup mein kuchh machalti rangaton ki tishnagi bharmaa gai"
chhaa gai soch ki ek be-kal ghaTaa — Krishn Murari
"chhaa gai soch ki ek be-kal ghaTaa dekh mausam ye shaayad hai barsaat kaa koi nazrein bachaa kar gayaa paas se koi nazrein churaa kar rahaa dekhtaa raqs mein thi khayaalon ki ik anjuman jhanjhanaane lagi shokh dilkash fazaa gungunaane lagi husn ki be-rukhi jab kisi ki vafaaon kaa charchaa huaa raqs karti rahin shokh tanhaaiyaan yaad kaa ek mausam suhaanaa lagaa thaa javaabon talak ek lambaa safar ajnabi se savaalon ne uljhaa diyaa bitte mausamon ki adaaein liye haadisa ek dil par guzartaa gayaa phir na guzri kabhi chain se zindagi teri bechain nazron ne kyaa kah diyaa"
چھا گئی سوچ کی ایک بے کل گھٹا دیکھ موسم یہ شاید ہے برسات کا کوئی نظریں بچا کر گیا پاس سے کوئی نظریں چرا کر رہا دیکھتا رقص میں تھی خیالوں کی اک انجمن جھنجھنانے لگی شوخ دل کش فضا گنگنانے لگی حسن کی بے رخی جب کسی کی وفاؤں کا چرچا ہوا رقص کرتی رہیں شوخ تنہائیاں یاد کا ایک موسم سہانا لگا تھا جوابوں تلک ایک لمبا سفر اجنبی سے سوالوں نے الجھا دیا بیتتے موسموں کی ادائیں لیے حادثہ ایک دل پر گزرتا گیا پھر نہ گزری کبھی چین سے زندگی تیری بے چین نظروں نے کیا کہہ دیا
छा गई सोच की एक बे-कल घटा देख मौसम ये शायद है बरसात का कोई नज़रें बचा कर गया पास से कोई नज़रें चुरा कर रहा देखता रक़्स में थी ख़यालों की इक अंजुमन झनझनाने लगी शोख़ दिलकश फ़ज़ा गुनगुनाने लगी हुस्न की बे-रुख़ी जब किसी की वफ़ाओं का चर्चा हुआ रक़्स करती रहीं शोख़ तन्हाइयाँ याद का एक मौसम सुहाना लगा था जवाबों तलक एक लम्बा सफ़र अजनबी से सवालों ने उलझा दिया बीतते मौसमों की अदाएँ लिए हादिसा एक दिल पर गुज़रता गया फिर न गुज़री कभी चैन से ज़िंदगी तेरी बेचैन नज़रों ने क्या कह दिया

More by Krishn Murari
View all →"zindagi bhar ham jise kahte rahe hain zindagi hai faqat tasvir-e-hasrat sar-basar tishna-labi chaahaton ke shokh naghmon se musalsal khelti aas ki masti fazaa mein duur tak lahraa gai phir udaasi shaam ki kuchh aur gahri ho gai phir kisi ghaaeb-shuda manzar ki hai jaadugari manzilon ki ik shagufta manzari ko naapti saanvli si ik thakan hai manzilon ke paas hi yuun musalsal mauj mein hai ek tufaan-e-nafi mutmain hai zakhm-e-dil se zakhm-e-dil ki taazgi yaad teri kuchh dabe paanv hi shaayad aa gai dastakein hain ab dar-e-dil par bahut khaamosh si munakis hai shokh nuqton par mizaaj-e-shaaeri ek sanjida tanavvo lahja lahja pukhtagi lamha lamha kuchh nai be-taabiyon se aashnaa nit-nae tevar badalti hai fazaa bhar aagahi in labon par saj gai harf-e-ijaazat ki tarah ik ghalat andaaz lahje ki hasin aavaargi gungunaate hain sitaare jhilmilaati loriyaan vaqt ko shaayad fazaa ki god mein niind aa gai bebasi kuchh is tarah likkhi hai chehre par mire aanktaa hai har bashar yaksar miri bechaargi ab sameTo daastaanon kaa bikhartaa silsila hai navaa-e-nim-shab ki saadhnaa khaamoshi si"
"piit ki chanchal agan thi daaera-dar-daaera raqs mein koi lagan thi daaera-dar-daaera aas ki sundar kiran thi daaera-dar-daaera shokhi-e-rang-e-chaman thi daaera-dar-daaera khud mein hi kitni magan thi daaera-dar-daaera justuju jo be-thakan thi daaera-dar-daaera chuTkiyaan letaa rahaa thaa haadisa ik qurb kaa naachti shital pavan thi daaera-dar-daaera ujli ujli raushni se khelti thi dam-ba-dam teri zulf-e-pur-shikan thi daaera-dar-daaera chehra chehra kuchh nai be-taabiyon se aashnaa soch ki dilbar thakan thi daaera-dar-daaera dam-ba-dam aankhon mein raqsaan nit-nae andaaz se shokhi-e-simin-badan thi daaera-dar-daaera chand naa-karda gunaahon ke tavaaf-e-shauq mein fikr-o-fan ki ik jhanan thi daaera-dar-daaera phir kisi harf-e-tahi kaa zaaiqa lab par liye ek chintaa tan-badan thi daaera-dar-daaera ik javaan si sansanaahaT kaa darakhshaan silsila aarzuon ki phaban thi daaera-dar-daaera ubhre sinon ki machalti marmarin si taazgi kis qadar tauba-shikan thi daaera-dar-daaera"
"na zer-e-paa zamin baandho na sar par aasmaan baandho faqat tark-e-tamannaa ki dilon mein daastaan baandho lataafat phir milegi kab hasin rangin shaamon ki isi nuqte pe Thahraa hai yahi dilkash samaan baandho badalti kuchh ruton par aas hai be-kal manaazir ki tum apni lazzat-e-husn-e-nazar ko darmiyaan baandho badan-bhar ik ta'alluq chuTkiyaan lene lage shaayad guzarte khushnumaa manzar kaa aks-e-shaadmaan baandho jahaan-e-shauq ki phir ishrat-e-aavaargi le kar machaltaa dilrubaa be-kal surur-e-jaavedaan baandho bikharti dhuul raahon ki machalti jaae rah rah kar masaafat ke junun mein ye ghubaar-e-kaarvaan baandho lataafat chaahaton ki muskuraati hai fazaaon mein vahi chanchal hasin dilkash hadis-e-dostaan baandho nazar ke zaaviyon se naap lo ye shauq ki duniyaa koi ummid ahl-e-husn se kyon raaegaan baandho"
"dar-khur-e-zist mohabbat ne banaayaa hai mujhe jaam raahat kaa tire gham ne pilaayaa hai mujhe ik ujaalaa ki machaltaa hai mire pahlu mein is ujaale ne andheron mein sajaayaa hai mujhe koi ummid nahin duur hai manzil meri apni hi sust-ravi ne ye bataayaa hai mujhe koi raahon mein mujhe DhunD rahaa hai shaayad manzil-e-shauq ne phir paas bulaayaa hai mujhe shaa’iri rah gai ab zehn kaa kiiDaa ban kar fikr-e-ash'aar ne din-raat sataayaa hai mujhe"
"chhanak chhanak si paael paael naache shokh nashili miTTi bikti jaae nagri nagri badan badan chamkili miTTi karvaT karvaT dard chhupaa kar palkon par sapne bikhraa kar ashkon se ham gundh rahe hain kaali niili piili miTTi chhoD ke mat tum jaanaa hargiz basti ke albele logo degi roz sadaaein tum ko basti ki rangili miTTi palkon kaa sangit sunaa kar chaahat ki khushbu lahraa kar man aangan mein dhuup bichhaae muTThi bhar chamkili miTTi dhaDkan dhaDkan mein bas jaae qurbat qurbat dil bahlaae dilbar dilbar raas rachaae pag pag sughaD sajili miTTi shahr-o-qarya ghuum gai hai man masti mein jhuum rahi hai mahlon ki mehraab bani hai gaanv ki sharmili miTTi umaD rahaa hai be-kal be-kal prem kaa dariyaa tufaan tufaan humak rahi hai aaj ghaDe ki kachchi kachchi piili miTTi kumhaaran ne chaak chalaayaa be-kal saa jaadu dikhlaayaa rup-rup mein Dhalti jaae chanchal chhail-chhabeli miTTi haule-haule chal ai raahi sanbhal sanbhal kar narm-ravi se main bhi thi sartaaj kisi ki bol rahi hai giili miTTi"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"