SHAWORDS

phir jahaan-e-aarzu ki dilkashi bahlaa gai — Krishn Murari

HomeKrishn MurariGhazal
"phir jahaan-e-aarzu ki dilkashi bahlaa gai aati-jaati kuchh ruton ki raagni bharmaa gai phir badan kaa ik ta'alluq chuTkiyaan lene lagaa ik hasin mauj-e-havaa phir raaste mahkaa gai ishrat-e-nazzaargi thi be-khudi-e-shauq tak uf khirad ki raushni manzar sabhi dhundlaa gai ajnabi se lams shaayad ajnabi hi rah gae be-hisi be-chehragi chehron pe yaksar chhaa gai aah vo ehsaas kaa aalam ki jab lab sil gae aap-biti aap palkon par machal kar aa gai aasmaan-e-fikr par yaadon ki ik qaus-e-quzah maaziyon kaa ruup daur-e-haal mein dikhlaa gai raaston ki dhuul mein thiin irtiqaa ki manzilein justuju kuchh zindagi ke raaste dikhlaa gai aati-jaati sab ruton kaa le rahi thi jaaeza rahrav-e-darmaanda ki aankh jo pathraa gai raah chalte husn ki parchhaaiyon ke ruup mein kuchh machalti rangaton ki tishnagi bharmaa gai"
Urdu

پھر جہان آرزو کی دل کشی بہلا گئی آتی جاتی کچھ رتوں کی راگنی بھرما گئی پھر بدن کا اک تعلق چٹکیاں لینے لگا اک حسیں موج ہوا پھر راستے مہکا گئی عشرت نظارگی تھی بے خودیٔ شوق تک اف خرد کی روشنی منظر سبھی دھندلا گئی اجنبی سے لمس شاید اجنبی ہی رہ گئے بے حسی بے چہرگی چہروں پہ یکسر چھا گئی آہ وہ احساس کا عالم کہ جب لب سل گئے آپ بیتی آپ پلکوں پر مچل کر آ گئی آسمان فکر پر یادوں کی اک قوس قزح ماضیوں کا روپ دور حال میں دکھلا گئی راستوں کی دھول میں تھیں ارتقا کی منزلیں جستجو کچھ زندگی کے راستے دکھلا گئی آتی جاتی سب رتوں کا لے رہی تھی جائزہ رہرو درماندہ کی آنکھ جو پتھرا گئی راہ چلتے حسن کی پرچھائیوں کے روپ میں کچھ مچلتی رنگتوں کی تشنگی بھرما گئی

Hindi

फिर जहान-ए-आरज़ू की दिलकशी बहला गई आती-जाती कुछ रुतों की रागनी भरमा गई फिर बदन का इक त'अल्लुक़ चुटकियाँ लेने लगा इक हसीं मौज-ए-हवा फिर रास्ते महका गई इशरत-ए-नज़्ज़ारगी थी बे-ख़ुदी-ए-शौक़ तक उफ़ ख़िरद की रौशनी मंज़र सभी धुँदला गई अजनबी से लम्स शायद अजनबी ही रह गए बे-हिसी बे-चेहरगी चेहरों पे यकसर छा गई आह वो एहसास का आलम कि जब लब सिल गए आप-बीती आप पलकों पर मचल कर आ गई आसमान-ए-फ़िक्र पर यादों की इक क़ौस-ए-क़ुज़ह माज़ियों का रूप दौर-ए-हाल में दिखला गई रास्तों की धूल में थीं इर्तिक़ा की मंज़िलें जुस्तुजू कुछ ज़िंदगी के रास्ते दिखला गई आती-जाती सब रुतों का ले रही थी जाएज़ा रहरव-ए-दरमान्दा की आँख जो पथरा गई राह चलते हुस्न की परछाइयों के रूप में कुछ मचलती रंगतों की तिश्नगी भरमा गई

phir jahān-e-ārzū kī dilkashī bahlā ga.ī
Krishn Murari
Krishn Murari
Krishn Murari
poet23 quotes

More by Krishn Murari

View all →
Quote
"zindagi bhar ham jise kahte rahe hain zindagi hai faqat tasvir-e-hasrat sar-basar tishna-labi chaahaton ke shokh naghmon se musalsal khelti aas ki masti fazaa mein duur tak lahraa gai phir udaasi shaam ki kuchh aur gahri ho gai phir kisi ghaaeb-shuda manzar ki hai jaadugari manzilon ki ik shagufta manzari ko naapti saanvli si ik thakan hai manzilon ke paas hi yuun musalsal mauj mein hai ek tufaan-e-nafi mutmain hai zakhm-e-dil se zakhm-e-dil ki taazgi yaad teri kuchh dabe paanv hi shaayad aa gai dastakein hain ab dar-e-dil par bahut khaamosh si munakis hai shokh nuqton par mizaaj-e-shaaeri ek sanjida tanavvo lahja lahja pukhtagi lamha lamha kuchh nai be-taabiyon se aashnaa nit-nae tevar badalti hai fazaa bhar aagahi in labon par saj gai harf-e-ijaazat ki tarah ik ghalat andaaz lahje ki hasin aavaargi gungunaate hain sitaare jhilmilaati loriyaan vaqt ko shaayad fazaa ki god mein niind aa gai bebasi kuchh is tarah likkhi hai chehre par mire aanktaa hai har bashar yaksar miri bechaargi ab sameTo daastaanon kaa bikhartaa silsila hai navaa-e-nim-shab ki saadhnaa khaamoshi si"
Krishn MurariKrishn Murari
Quote
"piit ki chanchal agan thi daaera-dar-daaera raqs mein koi lagan thi daaera-dar-daaera aas ki sundar kiran thi daaera-dar-daaera shokhi-e-rang-e-chaman thi daaera-dar-daaera khud mein hi kitni magan thi daaera-dar-daaera justuju jo be-thakan thi daaera-dar-daaera chuTkiyaan letaa rahaa thaa haadisa ik qurb kaa naachti shital pavan thi daaera-dar-daaera ujli ujli raushni se khelti thi dam-ba-dam teri zulf-e-pur-shikan thi daaera-dar-daaera chehra chehra kuchh nai be-taabiyon se aashnaa soch ki dilbar thakan thi daaera-dar-daaera dam-ba-dam aankhon mein raqsaan nit-nae andaaz se shokhi-e-simin-badan thi daaera-dar-daaera chand naa-karda gunaahon ke tavaaf-e-shauq mein fikr-o-fan ki ik jhanan thi daaera-dar-daaera phir kisi harf-e-tahi kaa zaaiqa lab par liye ek chintaa tan-badan thi daaera-dar-daaera ik javaan si sansanaahaT kaa darakhshaan silsila aarzuon ki phaban thi daaera-dar-daaera ubhre sinon ki machalti marmarin si taazgi kis qadar tauba-shikan thi daaera-dar-daaera"
Krishn MurariKrishn Murari
Quote
"chhaa gai soch ki ek be-kal ghaTaa dekh mausam ye shaayad hai barsaat kaa koi nazrein bachaa kar gayaa paas se koi nazrein churaa kar rahaa dekhtaa raqs mein thi khayaalon ki ik anjuman jhanjhanaane lagi shokh dilkash fazaa gungunaane lagi husn ki be-rukhi jab kisi ki vafaaon kaa charchaa huaa raqs karti rahin shokh tanhaaiyaan yaad kaa ek mausam suhaanaa lagaa thaa javaabon talak ek lambaa safar ajnabi se savaalon ne uljhaa diyaa bitte mausamon ki adaaein liye haadisa ek dil par guzartaa gayaa phir na guzri kabhi chain se zindagi teri bechain nazron ne kyaa kah diyaa"
Krishn MurariKrishn Murari
Quote
"na zer-e-paa zamin baandho na sar par aasmaan baandho faqat tark-e-tamannaa ki dilon mein daastaan baandho lataafat phir milegi kab hasin rangin shaamon ki isi nuqte pe Thahraa hai yahi dilkash samaan baandho badalti kuchh ruton par aas hai be-kal manaazir ki tum apni lazzat-e-husn-e-nazar ko darmiyaan baandho badan-bhar ik ta'alluq chuTkiyaan lene lage shaayad guzarte khushnumaa manzar kaa aks-e-shaadmaan baandho jahaan-e-shauq ki phir ishrat-e-aavaargi le kar machaltaa dilrubaa be-kal surur-e-jaavedaan baandho bikharti dhuul raahon ki machalti jaae rah rah kar masaafat ke junun mein ye ghubaar-e-kaarvaan baandho lataafat chaahaton ki muskuraati hai fazaaon mein vahi chanchal hasin dilkash hadis-e-dostaan baandho nazar ke zaaviyon se naap lo ye shauq ki duniyaa koi ummid ahl-e-husn se kyon raaegaan baandho"
Krishn MurariKrishn Murari
Quote
"chhanak chhanak si paael paael naache shokh nashili miTTi bikti jaae nagri nagri badan badan chamkili miTTi karvaT karvaT dard chhupaa kar palkon par sapne bikhraa kar ashkon se ham gundh rahe hain kaali niili piili miTTi chhoD ke mat tum jaanaa hargiz basti ke albele logo degi roz sadaaein tum ko basti ki rangili miTTi palkon kaa sangit sunaa kar chaahat ki khushbu lahraa kar man aangan mein dhuup bichhaae muTThi bhar chamkili miTTi dhaDkan dhaDkan mein bas jaae qurbat qurbat dil bahlaae dilbar dilbar raas rachaae pag pag sughaD sajili miTTi shahr-o-qarya ghuum gai hai man masti mein jhuum rahi hai mahlon ki mehraab bani hai gaanv ki sharmili miTTi umaD rahaa hai be-kal be-kal prem kaa dariyaa tufaan tufaan humak rahi hai aaj ghaDe ki kachchi kachchi piili miTTi kumhaaran ne chaak chalaayaa be-kal saa jaadu dikhlaayaa rup-rup mein Dhalti jaae chanchal chhail-chhabeli miTTi haule-haule chal ai raahi sanbhal sanbhal kar narm-ravi se main bhi thi sartaaj kisi ki bol rahi hai giili miTTi"
Krishn MurariKrishn Murari

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer