SHAWORDS

dam-e-marg baalin par aayaa to hotaa — Imdad Ali Bahr

HomeImdad Ali BahrGhazal
"dam-e-marg baalin par aayaa to hotaa mire munh mein paani chuvaayaa to hotaa ye sach hai vafaadaar koi nahin hai kisi din mujhe aazmaayaa to hotaa tasalli na detaa tashaffi na kartaa mire rone par muskuraayaa to hotaa mujhe apni furqat se maaraa to maaraa dam-e-naza mukhDaa dikhaayaa to hotaa ghalat hai ki murda nahin zinda hotaa tu mere janaaze par aayaa to hotaa vahin chaunk uThtaa main khvaab-e-lahad se miraa shaana tu ne hilaayaa to hotaa huaa iid ke din main qurbaan tujh par bulaa kar gale se lagaayaa to hotaa mire qatl par tum ne biiDaa uThaayaa mire haath kaa paan khaayaa to hotaa vo suntaa na suntaa havas to na rahti miraa haal hamdam sunaayaa to hotaa misi par bhi daaghon kaa samra na paayaa charaagh ik lahad par jalaayaa to hotaa gilaa hai mujhe tum se murghaan-e-gulshan kabhi dard meraa baTaayaa to hotaa kabhi mere jaanib se parvaaz karte koi haal-pursi ko aayaa to hotaa nahin ye bhi shikva na aae na aae gulon ko miraa gham sunaayaa to hotaa dar-o-baam kaa 'bahr' khvaahaan nahin main mire aashiyaane mein saayaa to hotaa"
Urdu

دم مرگ بالیں پر آیا تو ہوتا مرے منہ میں پانی چوایا تو ہوتا یہ سچ ہے وفادار کوئی نہیں ہے کسی دن مجھے آزمایا تو ہوتا تسلی نہ دیتا تشفی نہ کرتا مرے رونے پر مسکرایا تو ہوتا مجھے اپنی فرقت سے مارا تو مارا دم نزع مکھڑا دکھایا تو ہوتا غلط ہے کہ مردہ نہیں زندہ ہوتا تو میرے جنازے پر آیا تو ہوتا وہیں چونک اٹھتا میں خواب لحد سے مرا شانہ تو نے ہلایا تو ہوتا ہوا عید کے دن میں قربان تجھ پر بلا کر گلے سے لگایا تو ہوتا مرے قتل پر تم نے بیڑا اٹھایا مرے ہاتھ کا پان کھایا تو ہوتا وہ سنتا نہ سنتا ہوس تو نہ رہتی مرا حال ہمدم سنایا تو ہوتا مسی پر بھی داغوں کا ثمرہ نہ پایا چراغ اک لحد پر جلایا تو ہوتا گلا ہے مجھے تم سے مرغان گلشن کبھی درد میرا بٹایا تو ہوتا کبھی میرے جانب سے پرواز کرتے کوئی حال پرسی کو آیا تو ہوتا نہیں یہ بھی شکوہ نہ آئے نہ آئے گلوں کو مرا غم سنایا تو ہوتا در و بام کا بحرؔ خواہاں نہیں میں مرے آشیانے میں سایا تو ہوتا

Hindi

दम-ए-मर्ग बालीं पर आया तो होता मिरे मुँह में पानी चुवाया तो होता ये सच है वफ़ादार कोई नहीं है किसी दिन मुझे आज़माया तो होता तसल्ली न देता तशफ़्फ़ी न करता मिरे रोने पर मुस्कुराया तो होता मुझे अपनी फ़ुर्क़त से मारा तो मारा दम-ए-नज़अ' मुखड़ा दिखाया तो होता ग़लत है कि मुर्दा नहीं ज़िंदा होता तू मेरे जनाज़े पर आया तो होता वहीं चौंक उठता मैं ख़्वाब-ए-लहद से मिरा शाना तू ने हिलाया तो होता हुआ ईद के दिन मैं क़ुर्बान तुझ पर बुला कर गले से लगाया तो होता मिरे क़त्ल पर तुम ने बीड़ा उठाया मिरे हाथ का पान खाया तो होता वो सुनता न सुनता हवस तो न रहती मिरा हाल हमदम सुनाया तो होता मिसी पर भी दाग़ों का समरा न पाया चराग़ इक लहद पर जलाया तो होता गिला है मुझे तुम से मुर्ग़ान-ए-गुलशन कभी दर्द मेरा बटाया तो होता कभी मेरे जानिब से परवाज़ करते कोई हाल-पुर्सी को आया तो होता नहीं ये भी शिकवा न आए न आए गुलों को मिरा ग़म सुनाया तो होता दर-ओ-बाम का 'बहर' ख़्वाहाँ नहीं मैं मिरे आशियाने में साया तो होता

dam-e-marg bālīñ par aayā to hotā
I
Imdad Ali Bahr
Imdad Ali Bahr
poet175 quotes

More by Imdad Ali Bahr

View all →
Quote
"sina-kubi kar chuke gham kar chuke jite-ji ham apnaa maatam kar chuke dekhiye milte hain kis din yaar se iid bhi kar lein moharram kar chuke dhyaan un aankhon kaa jaane kaa nahin ye hiran paale hue ram kar chuke dil lagaa kar dukh uThaae be-shumaar dam-shumaari bhi koi dam kar chuke ab to zulfon ko na rakkho fard fard daftar-e-aalam ko barham kar chuke vaaizo jo chaaho farmaao hamein baiat-e-pir-e-mughaan ham kar chuke 'bahr' mustaghni hain fikr-o-sher se gauhar-e-maani faraaham kar chuke"
I
Imdad Ali Bahr
Quote
"har taraf majma-e-aashiqaan hai tere dam kaa ye saaraa samaan hai itnaa maghrur kyuun baaghbaan hai ye chaman chaar din mein khizaan hai ishq mein be-khabar ho gayaa huun kis se puchhun miraa dil kahaan hai kuchh nahin sujhti sair-e-gulshan meri aankhon se vo gul nihaan hai dhyaan aaThon-pahar hai usi kaa main yahaan huun miraa dil vahaan hai siine par rakh ke sotaa huun us ko us ki tasvir aaraam-e-jaan hai aansu bahne lage dekhte hi zulf-e-mahbub hai yaa dhuaan hai jaan parvaana hai us pari par sham-e-sozaan har ik ustukhvaan hai be-muravvat hai vo bevafaa hai saari mehnat miri raaegaan hai kyaa taDapte guzarte hi apne dard-e-dil mein hai lab par fughaan hai hijr mein kyuun nahin maut aati haae kyaa daagh-e-dil maraz-e-jaan hai DhunDhtaa huun main yusuf ko apne khaak mere pas-e-kaarvaan hai jaam-e-mul haath mein vo baghal mein 'bahr' apni ye qismat kahaan hai"
I
Imdad Ali Bahr
Quote
"khurshid-rukhon kaa saamnaa hai shabnam-sifat aabru havaa hai dil zakhmi-e-ishq hai sazaa hai bhar duun jo namak to phir mazaa hai ab to dil us par aa gayaa hai achchhaa hai buraa hai yaa bhalaa hai bainnul-aaad mein aadmi hai duniyaa ek beach ki siraa hai aisi hai malaahat us ke munh par rukhsaar kaa sabza lo nayaa hai iksir hai dil ki khaaksaari kushta ho jo nafas-e-kimiyaa hai munim na kar eatibaar-e-daulat iqbaal kaa qalb laa-baqaa hai vo dil na rahaa jaa naaz uThaaun main bhi huun khafaa jo vo khafaa hai kam hai jo sitam ho tujh par ai dil be-rahm se aur mil sazaa hai dil tum ko to phir kisi din pyaar koi tum se bhi sivaa hai achchhi nahin ye khalish raqibo kaanTe bo kar koi phalaa hai ham dekhein maze raqib luuTe yuun us se bhi to kyaa mazaa hai dam siine se kyuun nahin nikaltaa kyaa jism-e-nazaar khaar-e-paa hai daulat se kabhi na ser honge shaahon ko faqir ki duaa hai chhuptaa nahin koi apne dil mein aankhon mein vahi khaTak rahaa hai is ranj mein bhi nibaah deinge apnaa abhi itnaa hausla hai ai 'bahr' ghazal kahi jo tum ne ye tarz-e-kalaam 'mir' kaa hai"
I
Imdad Ali Bahr
Quote
"ifshaa hue asraar-e-junun jaama-dari se chhaape gae akhbaar miri be-khabari se dam naak mein aayaa hai ab is nauhagari se dil pak gayaa ai aah tiri be-asari se kyaa din hain jo gul khilte hain sho'le hain dahakte lu chalti hai baaghon mein nasim-e-sahari se sone ke nivaalon se na kar parvarish-e-ruh itni bhi mohabbat nahin karte safari se kab ahl-e-duval se hui maabud-parasti baatil hai agar sajda karein taaj-e-zari se har haal mein rahti hai khudaa par nazar apni ye martaba haasil hai hamein be-hunari se maghrur na ho chaand se rukhsaar par apne ye qumquma raushan hai charaagh-e-sahari se tu vo hai shah-e-husn agar baaj talab ho le huur se guldasta tabaq shaah-e-pari se munh chaDhte hain bad-asl tamiz un ko nahin hai daanton se laDi silk-e-guhar bad-guhari se aankhon se nikalvaaiye aankhein hirnon ki chiton ki kamar toDiye naazuk-kamari se naubat to kahin qatl-e-gunahgaar ki aai naqqaare bajaaungaa mein tiron ki sari se pusht-e-lab-e-shaffaaf se joban hai mison kaa sabze ne numu ki hai aqiq-e-shajari se piiri mein bhi ham se na hui khaana-nashini baaz aae na bazmon se na guzre guzri se qad tiir saa talvaar tavaazo' se huaa hai vo haath uThaate nahin be-daad-gari se jab chaaho chale aao ye vaa'da nahin achchhaa dil aankh churaataa hai bahut muntazari se ab zof-e-junun kucha-e-jaanaan mein bahaa de kab tak ye varam paanv par aashufta-sari se vo choT kaleje mein lagi hai ki na puchho taDpungaa tah-e-khaak bhi dard-e-jigari se rone kaa na le naam gham-e-yaar mein ai 'bahr' ulTe na zamaane kaa varaq lab ki tari se"
I
Imdad Ali Bahr
Quote
"aabla khaar-e-sar-e-mizhgaan ne phoDaa saanp kaa seli-e-zulf-e-rasaa ne kallaa toDaa saanp kaa panja-e-dandaan tiri kanghi ne moDaa saanp kaa kar ke gesu-e-kalaai haath toDaa saanp kaa kudki si mere sar par ishq-e-gesu hai savaar chob ki badli banaataa thaa main ghoDaa saanp kaa baar-e-firauni pe teri zulf agar baandhe kamar azhdar-e-musaa ke tausan par ho kuuDaa saanp kaa main huun vo ranjur-e-gesu 'aks agar meraa paDe mohra-e-har-e-ustukhvaan ban jaae phoDaa saanp kaa jab siyah botal se mai-rezi hui daur-e-firaaq main ye samjhaa zahr saaqi ne nichoDaa saanp kaa hai qadam us kaa havaa par paanv us kaa khaak par zulf ke mushki ko kab paataa hai ghoDaa saanp kaa aashiq-e-zulf-e-siyah ko is tarah taazir do saanp ki rassi banaao aur koDaa saanp kaa zulf-e-kaj-raftaar ki kab chaal chal saktaa hai vo aisi Thokar khaae sar ban jaae roDaa saanp kaa ek din ho jaaegaa raushan siyah-kaari kaa haal donon baghlon mein jaride hain ki joDaa saanp kaa jaantaa huun main tire raas-o-zanab ko ai falak mere Dasne ke liye paalaa hai joDaa saanp kaa kyaa ta'ajjub husn-e-jaanaan se agar puchhe gazand khaal mein bichchhu kaa joDaa zulfein joDaa saanp kaa saanp ke kaaTe ki lahr aae jo vasf-e-zulf mein 'bahr' ne phir to koi mazmun na chhoDaa saanp kaa"
I
Imdad Ali Bahr
Quote
"kiyaa salaam jo saaqi se ham ne jaam liyaa paDhe darud jo pir-e-mughaan kaa naam liyaa chah-e-zaqan mein giraa chaahtaa thaa dil meraa daraaz umr ho zulf-e-rasaa ne thaam liyaa kisi kaa zor zabardast par nahin chalnaa falak ne zulm kiyaa kis ne intiqaam liyaa nasib-var thi zulekhaa jo paayaa yusuf ko kaniz ho gai is shakl kaa ghulaam liyaa bharaa labon ne baraabar dam-e-masihaai jab us ke abruon ne hukm-e-qatl-e-aam liyaa mizaaj puchhaa kisi kaa to un kaa munh dekhaa kasak se haath mein aae agar salaam liyaa lagaayaa thaa kahin dil ham ne vo mazaa chakkhaa zabaan ne phir na kabhi aashiqi kaa naam liyaa bharaa hai aankh mein jaadu khulaa ishaare se zabaan kaa mizha-e-be-zabaan se kaam liyaa bahut kamar ke lachakne kaa hai khayaal un ko jo do qadam bhi chale paainchon ko thaam liyaa chaDhaa khumaar jo sar par utar gai izzat amaama rakh ke giro saaghar-e-mudaam liyaa uThaa ke daagh liyaa haq-e-sai kaa paisaa na murtashi ki tarah ham ne zar haraam liyaa havaa ko jaan di main ne zamin ko miTTi adaa kiyaa dam-e-rukhsat jo qarz daam liyaa muaaf ki hai khudaa ne zaiif par taklif sitam kiyaa agar ab dast-o-paa se kaam liyaa qasam na khaaungaa tison kalaam ki ai 'bahr' kisi kaa khvaab mein bosa to laa-kalaam liyaa"
I
Imdad Ali Bahr

More on Maa

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"hai jo ik maa'raka faisal nahin hone detaa jin vo ho ke mujhe botal nahin hone detaa qatl ik roz hi kartaa huun isi goshe mein aur saabit ise maqtal nahin hone detaa zid hai us ki ki har ik shaakh ho phir sabz hi sabz garche paidaa koi konpal nahin hone detaa raushni apne khayaalon hi se karni hogi koi raushan kahin mash'al nahin hone detaa chun-ki miTTi ki bhi ek apni alag khushbu hai main kahin bhi ise sandal nahin hone detaa ik parinda ki jo sahtaa hai havaaon kaa dabaao aur parvaaz ko paidal nahin hone detaa Dar hai us ko nazar aae na kahin zehn kaa 'aks vo miraa aaina saiqal nahin hone detaa tiraa qaanun hai jangal kaa ghanimat hai ki tu mire is shahr ko jangal nahin hone detaa chalo baat us ki sunein ek 'ajab mantiq se jo kisi baat ko muhmal nahin hone detaa"
M
M. Qamruddin
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar