SHAWORDS

dard jitne hain vahi baais-e-darmaan honge — Aslam Barabankvi

"dard jitne hain vahi baais-e-darmaan honge chaaraagar tere na sharminda-e-ehsaan honge dekhnaa gesu-e-jaanaan bhi pareshaan honge mausam-e-gul mein jo ham chaak-garebaan honge yuun tire ishq mein ham be-sar-o-saamaan honge apni hasti ke tasavvur se gurezaan honge daastaan ghair ki rangin banaane vaale dekhnaa mere fasaane ke bhi unvaan honge na rahegaa rah-e-ulfat mein khudi kaa ehsaas talab-e-husn mein jab be-sar-o-saamaan honge hasrat-o-yaas ke maare hain sabhi to ghunche baaghbaan ab na chaman mein gul-e-khandaan honge yahi ghamze yahi vaade yahi andaaz-e-vafaa yahi ik roz miri maut ke saamaan honge aaj hanste hain jo divaangi-e-dil pe miri ek din khud bhi vo angusht-ba-dandaan honge raat jo bazm-e-kharaabaat mein madhosh hue mohtasib ham ko yaqin hai vo musalmaan honge shauq-e-takmil-e-junun mujh ko liye jaataa hai honge ab zer-e-qadam jitne bayaabaan honge phir vahi vahshat-e-dil josh mein aai 'aslam' phir mire munis-o-gham-khvaar pareshaan honge"
Urdu

درد جتنے ہیں وہی باعث درماں ہوں گے چارہ گر تیرے نہ شرمندۂ احساں ہوں گے دیکھنا گیسوئے جاناں بھی پریشاں ہوں گے موسم گل میں جو ہم چاک گریباں ہوں گے یوں ترے عشق میں ہم بے سر و ساماں ہوں گے اپنی ہستی کے تصور سے گریزاں ہوں گے داستاں غیر کی رنگین بنانے والے دیکھنا میرے فسانے کے بھی عنواں ہوں گے نہ رہے گا رہ الفت میں خودی کا احساس طلب حسن میں جب بے سر و ساماں ہوں گے حسرت و یاس کے مارے ہیں سبھی تو غنچے باغباں اب نہ چمن میں گل خنداں ہوں گے یہی غمزے یہی وعدے یہی انداز وفا یہی اک روز مری موت کے ساماں ہوں گے آج ہنستے ہیں جو دیوانگئ دل پہ مری ایک دن خود بھی وہ انگشت بدنداں ہوں گے رات جو بزم خرابات میں مدہوش ہوئے محتسب ہم کو یقیں ہے وہ مسلماں ہوں گے شوق تکمیل جنوں مجھ کو لئے جاتا ہے ہوں گے اب زیر قدم جتنے بیاباں ہوں گے پھر وہی وحشت دل جوش میں آئی اسلمؔ پھر مرے مونس و غم خوار پریشاں ہوں گے

Hindi

दर्द जितने हैं वही बाइ'स-ए-दरमाँ होंगे चारागर तेरे न शर्मिंदा-ए-एहसाँ होंगे देखना गेसू-ए-जानाँ भी परेशाँ होंगे मौसम-ए-गुल में जो हम चाक-गरेबाँ होंगे यूँ तिरे इश्क़ में हम बे-सर-ओ-सामाँ होंगे अपनी हस्ती के तसव्वुर से गुरेज़ाँ होंगे दास्ताँ ग़ैर की रंगीन बनाने वाले देखना मेरे फ़साने के भी उनवाँ होंगे न रहेगा रह-ए-उल्फ़त में ख़ुदी का एहसास तलब-ए-हुस्न में जब बे-सर-ओ-सामाँ होंगे हसरत-ओ-यास के मारे हैं सभी तो ग़ुंचे बाग़बाँ अब न चमन में गुल-ए-ख़ंदाँ होंगे यही ग़म्ज़े यही वा'दे यही अंदाज़-ए-वफ़ा यही इक रोज़ मिरी मौत के सामाँ होंगे आज हँसते हैं जो दीवानगी-ए-दिल पे मिरी एक दिन ख़ुद भी वो अंगुश्त-ब-दंदाँ होंगे रात जो बज़्म-ए-ख़राबात में मदहोश हुए मोहतसिब हम को यक़ीं है वो मुसलमाँ होंगे शौक़-ए-तकमील-ए-जुनूँ मुझ को लिए जाता है होंगे अब ज़ेर-ए-क़दम जितने बयाबाँ होंगे फिर वही वहशत-ए-दिल जोश में आई 'असलम' फिर मिरे मूनिस-ओ-ग़म-ख़्वार परेशाँ होंगे

dard jitne haiñ vahī bā.is-e-darmāñ hoñge
Aslam Barabankvi
Aslam Barabankvi
Aslam Barabankvi
poet15 quotes

More by Aslam Barabankvi

View all →
Quote
"kar ke ulfat yaar se pachhtaaein kyaa gardish-e-taqdir se ghabraaein kyaa jab nahin qadr-e-khulus-e-ahl-e-dil nazr karne ke liye phir laaein kyaa jo guzarti hai guzar jaane bhi do chaaraagar ko haal-e-dil batlaaein kyaa dekh kar be-saaz-o-saamaani miri kah rahe hain tere ghar ham aaein kyaa sun ke larzaan the zamin-o-aasmaan daastaan-e-dard-e-dil dohraaein kyaa jab nahin miltaa kisi pahlu qaraar dil ko le jaa kar kahin bahlaaein kyaa husn rusvaa ho na ai 'aslam' kahin raazdaan ko raaz-e-dil batlaaein kyaa"
Aslam BarabankviAslam Barabankvi
Quote
"kyon na qurbaan main huun is takraar par pyaar aataa hai tire inkaar par naaz be-jaa hai abhi guftaar par faisla baaqi hai jab kirdaar par baam par shaayad vo aaein be-naqaab chashm-e-hasrat hai dar-o-divaar par har kali hoti hai sadqe subh-o-shaam tere gesu aur tire rukhsaar par khuun se main ne bhi sinchaa hai chaman haq hai meraa bhi gul-o-gulzaar par ishq mein dair-o-haram ko bhuul jaa sar jhukaa de aastaan-e-yaar par ham vafaadaari ki khaatir mar-miTe yaar kaa lutf-o-karam aghyaar par husn ke haathon mein aai shaakh-e-gul ishq ki nazrein rahin talvaar par chehra-e-naahid-o-parvin munfail hai nazar ek matla-e-anvaar par zakhm 'aslam' phir hare hone lage hai masihaa kaa karam bimaar par"
Aslam BarabankviAslam Barabankvi
Quote
"dard-e-gham-e-firaaq kaa darmaan na ho sakaa zulmat-kade mein dil ke charaaghaan na ho sakaa hosh-o-khirad se daur-e-junun ki hudud mein kuchh ehtimaam-e-jashn-e-bahaaraan na ho sakaa un ki khushi ke vaaste main muskuraa diyaa lekin shagufta dil kaa gulistaan na ho sakaa sham-e-hayaat bujhne ko har chand hai magar afsaana-e-hayaat kaa unvaan na ho sakaa aai bahaar aa ke chaman se guzar gai phir bhi rafu-e-chaak-e-garebaan na ho sakaa naaseh ki koshishein to huiin raaegaan magar 'aslam' tamaam umr musalmaan na ho sakaa"
Aslam BarabankviAslam Barabankvi
Quote
"dil mast hai lutf-e-nigah-e-naaz to dekho hai kitnaa hasin ishq kaa aaghaaz to dekho kitni kashish-angez hai aavaaz to dekho kitnaa hai hasin husn kaa eajaaz to dekho bijli hai ki siine mein mire shoala-e-dil hai us ki nigah-e-naaz kaa eajaaz to dekho masrur hai sarmaaya-e-hasti ko miTaa kar ye hausla-e-aashiq-e-jaanbaaz to dekho aashiq ke liye jaan-e-tamannaa hai har ik lafz us ke lab-e-rangin kaa ye eajaaz to dekho dil le liyaa us ki nigah-e-naaz ne 'aslam' ik sehr-saraapaa hai vo andaaz to dekho"
Aslam BarabankviAslam Barabankvi
Quote
"mohabbat mein teri vafaa chaahtaa huun vafaa tujh se o dilrubaa chaahtaa huun nahin taaqat-e-zabt yaarab mujhe ab main ahvaal dil kaa kahaa chaahtaa huun fanaa ho ke raah-e-mohabbat mein ai jaan ba-faiz-e-tamanna baqaa chaahtaa huun zaraa dekh lo aa ke pahli nazar se ki main dard-e-dil kuchh sivaa chaahtaa huun bahut gham-zada huun bahut gham-zada huun main ab ek dard-aashnaa chaahtaa huun miraa haal 'aslam' koi un se puchhe ki main ishq mein un se kyaa chaahtaa huun"
Aslam BarabankviAslam Barabankvi

More on Khudi

View all →
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"tire jamaal se ham runumaa nahin hue hain chamak rahe hain magar aaina nahin hue hain dhaDak rahaa hai tu ik ism ki hai ye barakat vagarna vaaqiye is dil mein kyaa nahin hue hain bataa na paaein to khud tum samajh hi jaao ki ham bilaa javaaz to be-maajraa nahin hue hain tiraa kamaal ki aankhon mein kuchh zabaan pe kuchh hamein to moajize aise ataa nahin hue hain ye mat samajh ki koi tujh se munharif hi nahin abhi ham ahl-e-junun lab-kushaa nahin hue hain ba-naam-e-zauq-e-sukhan khud-numaai aap karein ham is maraz mein abhi mubtalaa nahin hue hain hami vo jin kaa safar maavaraa-e-vaqt-o-vajud hami vo khud se kabhi jo rihaa nahin hue hain khud-aagahi bhi khaDi maangti hai apnaa hisaab junun ke qarz bhi ab tak adaa nahin hue hain kisi ne dil jo dukhaayaa kabhi to ham 'irfaan' udaas ho gae lekin khafaa nahin hue hain"
Irfan SattarIrfan Sattar