SHAWORDS

dard siine mein sulaa detaa hai — Naseem Ajmal

HomeNaseem AjmalGhazal
"dard siine mein sulaa detaa hai harf honTon se haTaa detaa hai khud banaataa hai miraa manzar-e-shauq phir tah-e-khaak chhupaa detaa hai DhunDh laataa hai kabhi mujh se mujhe phir mujhi mein vo milaa detaa hai mere hone ki numaaish kar ke apne hone kaa pata detaa hai saare aalam mein andheraa kar ke dil mein shamein vo jalaa detaa hai ghaur se dekh zaraa shaam ke vaqt rukh se parda vo haTaa detaa hai mujh ko kar detaa hai mujh se hi judaa phir vo dariyaa mein milaa detaa hai kaise har raat kaa rone vaalaa mujh ko jiine ki duaa detaa hai vo jo chaahe to tire shaair ki hamd mashhur banaa detaa hai"
Urdu

درد سینے میں سلا دیتا ہے حرف ہونٹوں سے ہٹا دیتا ہے خود بناتا ہے مرا منظر شوق پھر تہ خاک چھپا دیتا ہے ڈھونڈھ لاتا ہے کبھی مجھ سے مجھے پھر مجھی میں وہ ملا دیتا ہے میرے ہونے کی نمائش کر کے اپنے ہونے کا پتہ دیتا ہے سارے عالم میں اندھیرا کر کے دل میں شمعیں وہ جلا دیتا ہے غور سے دیکھ ذرا شام کے وقت رخ سے پردہ وہ ہٹا دیتا ہے مجھ کو کر دیتا ہے مجھ سے ہی جدا پھر وہ دریا میں ملا دیتا ہے کیسے ہر رات کا رونے والا مجھ کو جینے کی دعا دیتا ہے وہ جو چاہے تو ترے شاعر کی حمد مشہور بنا دیتا ہے

Hindi

दर्द सीने में सुला देता है हर्फ़ होंटों से हटा देता है ख़ुद बनाता है मिरा मंज़र-ए-शौक़ फिर तह-ए-ख़ाक छुपा देता है ढूँढ लाता है कभी मुझ से मुझे फिर मुझी में वो मिला देता है मेरे होने की नुमाइश कर के अपने होने का पता देता है सारे आलम में अंधेरा कर के दिल में शमएँ वो जला देता है ग़ौर से देख ज़रा शाम के वक़्त रुख़ से पर्दा वो हटा देता है मुझ को कर देता है मुझ से ही जुदा फिर वो दरिया में मिला देता है कैसे हर रात का रोने वाला मुझ को जीने की दुआ देता है वो जो चाहे तो तिरे शाइ'र की हम्द मशहूर बना देता है

dard siine meñ sulā detā hai
Naseem Ajmal
Naseem Ajmal
Naseem Ajmal
poet43 quotes

More by Naseem Ajmal

View all →
Quote
"nazar sarshaar us ki fazaa bedaar us ki bahut baatein suni hain sar-e-baazaar us ki kahaan kaTtaa miraa sar magar talvaar us ki main chhoTaa saa nagina baDi baazaar us ki havaa us kaa takallum shafaq dastaar us ki suni hai main ne aahaT hazaaron baar us ki kahaani kah rahi hai nigaah-e-yaar us ki nazar aai vo surat giri divaar us ki fazaa ik shabnami si badan ke paar us ki yahaan kyaa main nahin huun ye sab paikaar us ki ajab hamd-o-sanaa hai sukhan ke paar us ki dikhaa de koi 'ajmal' jhalak ik baar us ki"
Naseem AjmalNaseem Ajmal
Quote
"kahaan-kahaan tujhe DhunDun kahaan duhaai duun kisi kaa jurm ho apni to main safaai duun ye kusht-o-khun kaa manzar nafas-nafas lekin asir-e-jaan ko bhalaa kis tarah rihaai duun main ik sadaa huun to taDpun tiri zabaan ke biich huun ik khayaal to parvaaz mein dikhaai duun kabhi to phailun in aankhon mein daastaan ban kar kahaan talak lab-e-khaamosh se duhaai duun badan mein chikhtaa phirtaa huun tire raat gae nahin yaqin ki tujh ko na main sunaai duun tiri vafaa ke bahut tazkire kiye ab to ye ji mein hai tujhe ilzaam-e-bevafaai duun tujhe shafaq mein bharun chaand chaand chamkaaun sahar mein duur talak rang-aazmaai duun bas ek baar nazar aa miyaan-e-shoala-o-shaam phir is ke baad na main umr bhar dikhaai duun kahaan talak tere laulaak par main chhaayaa rahun kahaan talak tiri palkon pe main dikhaai duun ghazal nahin na sahi marsiya likhun 'ajmal' qalam hai sard ise dil ki raushnaai duun"
Naseem AjmalNaseem Ajmal
Quote
"naghma thaa yaa ki giit sunaai nahin diyaa aisaa thaa gahraa rang dikhaai nahin diyaa ubhri thi ek shakl fasil-e-nigaah par phir us kaa koi naqsh dikhaai nahin diyaa main kheltaa rahaa unhin tughyaaniyon ke biich tufaan kaa shor kuchh bhi sunaai nahin diyaa jab dil mein aa gayaa mire ghar-baar chhoD kar phir aisaa kyaa huaa ki dikhaai nahin diyaa taaron ki dhuup chhaanv mein soyaa tamaam raat jo khvaab dekhnaa thaa dikhaai nahin diyaa aahistagi se vo miri jaan mein utar gayaa hangaama aisaa thaa ki sunaai nahin diyaa Takraa ke khud se rah gai meri nigaah-e-shauq maujon ke aar-paar dikhaai nahin diyaa har nok-e-khaar ko main dikhaataa lahu kaa rang sahraa ne izn-e-aabla-paai nahin diyaa halchal machaa di us ne miri zaat mein magar kuchh hausla-e-sang-kushaai nahin diyaa us ki sadaa navaah-e-dil-e-yaasman ki thi yaani ki dars-e-shoala-navaai nahin diyaa baiThaa huaa hai gham ki tarah dil ki raah mein us ne bichhaD ke dard-e-judaai nahin diyaa vo chaand jis ko chaand kahein kaaenaat kaa aisaa to koi chaand dikhaai nahin diyaa kyaa naqsh-e-paa-e-gul hain jo taktaa hai ghaur se mujh ko to kuchh zamin pe dikhaai nahin diyaa 'ajmal' jamaal-e-yaar ki raanaai kuchh na puchh aks-e-rukh-e-khayaal dikhaai nahin diyaa"
Naseem AjmalNaseem Ajmal
Quote
"koi aahaT na koi Dagar saamne ek aks-e-safar sar-basar saamne aasmaan par lahu gul bikhartaa huaa aur ubhartaa huaa meraa sar saamne vo akelaa hazaaron se laDtaa rahaa jang hoti rahi raat bhar saamne nannhi-munni duaaon kaa haasil hai kyaa luT gayaa saaraa rakht-e-safar saamne TuuT kar saare manzar bikharne lage be-tahaashaa aDe baam-o-dar saamne kashtiyaan TuuT kar sab kinaare lagin kaise aaseb kaa hai safar saamne koi autaar to is zamin par mile aae koi to paighaambar saamne faasla mere qadmon mein manzil kaa thaa varna rahtaa kahaan ye safar saamne TukDe TukDe badan raqs kartaa huaa ik zaraa saa udhar baam par saamne ik jhalak sabz miTTi ki aankhon mein bas shoala shoala shafaq lamha bhar saamne sar pe buDhaa gagan kab se rakkhaa huaa raqs-e-shams-o-qamar aankh bhar saamne koi mujh mein mujhe qaid kartaa huaa pheink kar kitne laal-o-guhar saamne kyaa karun meraa man thaa khalaaon mein gum vo dikhaataa rahaa sab hunar saamne siina siina safar ye tilism-e-hunar dekh 'ajmal' hai raftaar bhar saamne"
Naseem AjmalNaseem Ajmal
Quote
"badan Thahraa dikhaai de rahaa hai zaraa gahraa dikhaai de rahaa hai har ik gungaa hai us ki anjuman mein har ik bahraa dikhaai de rahaa hai baDaa sunsaan saa hai us kaa kucha bahut pahraa dikhaai de rahaa hai kabhi utraa thaa yaan main paaniyon mein jahaan sahraa dikhaai de rahaa hai hai kaisaa maajraa kuchh tum bhi dekho ye kyaa chehraa dikhaai de rahaa hai abhi Duubaa hi thaa main aansuon mein ki phir sahraa dikhaai de rahaa hai miri aavaaz ke bujhte diye mein tiraa chehraa dikhaai de rahaa hai har ik yaan uD rahaa hai aandhiyon mein magar Thahraa dikhaai de rahaa hai jahaan mahfuz saari raunaqein hain vahin sahraa dikhaai de rahaa hai koi uTThegaa tufaan dil-zamin se qadam gahraa dikhaai de rahaa hai koi rishta nahin hai aaine se magar chehraa dikhaai de rahaa hai vo mujh mein aa gayaa main us ke andar jahaan Thahraa dikhaai de rahaa hai zaraa chhaTne to do rangon ke baadal dhuaan gahraa dikhaai de rahaa hai abhi mat chheDnaa 'ajmal' ko dekho 'ajab chehraa dikhaai de rahaa hai"
Naseem AjmalNaseem Ajmal

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"raakh ke Dher pe kyaa shoala-bayaani karte ek qisse ki bhalaa kitni kahaani karte husn itnaa thaa ki mumkin hi na thi khud-nigari ek imkaan ki kab tak nigaraani karte shola-e-jaan ko bujhaate yunhi qatra qatra khud ko ham aag banaate tujhe paani karte phuul saa tujh ko mahaktaa huaa rakhte shab bhar apne saanson se tujhe raat ki raani karte naddiyaan dekhein to bas sharm se paani ho jaaein chashm-e-khun-basta se paidaa vo ravaani karte sab se kahte ki ye qissa hai puraanaa saahab aah ki aanch se tasvir puraani karte dar-o-divaar badalne mein kahaan ki mushkil ghar jo hotaa to bhalaa naql-e-makaani karte koi aa jaataa kabhi yunhi agar dil ke qarib ham tiraa zikr pae-yaad-dahaani karte sach to ye hai ki tire hijr kaa ab ranj nahin kyaa dikhaave ke liye ashk-fishaani karte dil ko har lahza hi di aql pe ham ne tarjih yaar-e-jaani ko kahaan dushman-e-jaani karte shab isi tarah basar hoti hai meri 'irfaan' harf-e-khush-rang ko andoh-e-maaani karte"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar