"kyuun yaad ye sab qaht ke asbaab na aae jab ham ne duaa ki thi ki sailaab na aae ham ko to utarnaa hai samundar ki tahon mein haath aae ki ab gauhar-e-naayaab na aae tadbir ke mehvar pe rahaa mein yunhi raqsaan taabir ke markaz pe mire khvaab na aae baahar jo uThe shor to khiDki se na jhaanko aankhon pe tumhaari kahin tezaab na aae elaan kiyaa uDti hui khaak ne har samt manzar pe koi khitta-e-shaadaab na aae main ne jo kahaa tukhm-e-vafaa hain mire aansu kahne lage miTTi mein unhein daab na aae nikle hain sar-e-shaam liye mashal-e-fan ham nazdik koi kaaghzi mahtaab na aae"
dekhaa jo saaya shab mein ye samjhaa nigaah ne — Mahtab Alam
"dekhaa jo saaya shab mein ye samjhaa nigaah ne shaayad vo aaj aa gae vaada nibaahane viraan si is navaah mein aataa hi kaun thaa aabaad kar diyaa hai ise qatl-gaah ne un qaatilon pe kaun muqadma chalaaegaa jin ko liyaa panaah mein aalam-panaah ne har baat pe jo mujh se ye kahte hain chup raho kyaa apne husn ko bhi na deinge saraahne qaaem unhin faqiron ke dam se thi saltanat jin ko kiyaa hai mulk-badar sarbaraah ne achchhaa huaa sahar ne ulaT di naqaab-e-fikr bhaTkaa diyaa thaa raat mujhe vaah vaah ne kaaghaz agar siyaah karein to karein harif suraj ugaae hain miri fikr-o-nigaah ne"
دیکھا جو سایہ شب میں یہ سمجھا نگاہ نے شاید وہ آج آ گئے وعدہ نباہنے ویراں سی اس نواح میں آتا ہی کون تھا آباد کر دیا ہے اسے قتل گاہ نے ان قاتلوں پہ کون مقدمہ چلائے گا جن کو لیا پناہ میں عالم پناہ نے ہر بات پہ جو مجھ سے یہ کہتے ہیں چپ رہو کیا اپنے حسن کو بھی نہ دیں گے سراہنے قائم انہیں فقیروں کے دم سے تھی سلطنت جن کو کیا ہے ملک بدر سربراہ نے اچھا ہوا سحر نے الٹ دی نقاب فکر بھٹکا دیا تھا رات مجھے واہ واہ نے کاغذ اگر سیاہ کریں تو کریں حریف سورج اگائے ہیں مری فکر و نگاہ نے
देखा जो साया शब में ये समझा निगाह ने शायद वो आज आ गए वा'दा निबाहने वीराँ सी इस नवाह में आता ही कौन था आबाद कर दिया है इसे क़त्ल-गाह ने उन क़ातिलों पे कौन मुक़दमा चलाएगा जिन को लिया पनाह में आलम-पनाह ने हर बात पे जो मुझ से ये कहते हैं चुप रहो क्या अपने हुस्न को भी न देंगे सराहने क़ाएम उन्हीं फ़क़ीरों के दम से थी सल्तनत जिन को किया है मुल्क-बदर सरबराह ने अच्छा हुआ सहर ने उलट दी नक़ाब-ए-फ़िक्र भटका दिया था रात मुझे वाह वाह ने काग़ज़ अगर सियाह करें तो करें हरीफ़ सूरज उगाए हैं मिरी फ़िक्र-ओ-निगाह ने

More by Mahtab Alam
View all →"ghazal kaa meri khaaka dekhtaa hai jo us gul kaa saraapaa dekhtaa hai palaT kar jab masihaa dekhtaa hai mire zakhmon ko hanstaa dekhtaa hai tilismi hain nae insaan ki aankhein ki ghar mein rah ke duniyaa dekhtaa hai vahi kirdaar zinda hai jo apni kahaani ko adhuraa dekhtaa hai ye sun kar meri nindein uD gai hain koi meraa bhi sapnaa dekhtaa hai jo uDte hain uDein 'ghaalib' ke purze tamaashaai tamaashaa dekhtaa hai samundar buund lagtaa hai kisi ko koi zarre mein sahraa dekhtaa hai na jaane kis mein hai kitni basirat na jaane kaun kitnaa dekhtaa hai"
"phulon mein jhalak husn-e-rukh-e-yaar ki nikli ham khush hain koi shakl to didaar ki nikli alfaaz se khushbu tire kirdaar ki nikli jab baat masihaa tire guftaar ki nikli nilaam hue chaand har ik shahr mein lekin raunaq na kahin misr ke baazaar ki nikli honTon ki hansi bin gae jo zakhm the dil mein surat koi jab aur na izhaar ki nikli dekhaa to ye samjhe kisi darvesh kaa ghar hai puchhaa to vo kuTiyaa bhi zamindaar ki nikli phir phuul barasne lage lafzon ke dahan se phir baat kisi ke lab-o-rukhsaar ki nikli zanjir ki tangi thi asiraan-e-vafaa the aavaaz bhi zindaan se na jhankaar ki nikli"
"dar takhayyul ke muqaffal nahin hone detaa main tujhe aankh se ojhal nahin hone detaa niind aati hai to aankhon mein jagah detaa huun apni palkon ko main bojhal nahin hone detaa kis ko sairaab karegaa vo chhalaktaa baadal jo mari pyaas ko jal-thal nahin hone detaa chhin letaa hai musavvir ke sabhi hosh-o-havaas husn tasvir mukammal nahin hone detaa kis ko iflaas ne rakkhaa hai shagufta-khaatir ye to bachchon ko bhi chanchal nahin hone detaa koi kaandhe pe mire haath dhare hai 'mahtaab' ye takhayyul mujhe paagal nahin hone detaa"
"marhabaa tum bhi zarurat se mile kaun hai ab jo mohabbat se mile zindagi ne jo diye ham ko sabaq vo kahaan pand-o-nasihat se mile dil milaane se bhalaa kyaa haasil jab tabi'at na tabi'at se mile haae vo shahr-e-amaan jis mein ham roz ik taaza qayaamat se mile ye jo palkon pe saje hain moti sab hamein us dar-e-daulat se mile kaun hogaa vo ba-juz aaina shakl jis ki tiri surat se mile aaj pheinki gai ham par kuchh khaak aaj ham apni haqiqat se mile ham ne samjhaa hai unhein pyaar ke phuul zakhm jo sang-e-malaamat se mile the vo ujlat mein gae ye kah kar jis ko fursat ho vo fursat se mile"
"daagh-e-sina markaz-e-tanvir hai dil kaa chhaalaa chaand ki tasvir hai zindagi kyaa hai koi samjhaae to khvaab hai yaa khvaab ki taa'bir hai chain se zindaan mein baiThe ab junun paanv mein chakkar nahin zanjir hai phunk deingi nafratein ghar aap kaa naam darvaaze pe kyuun tahrir hai ghar kaa ik naqsha banaa leti hai roz ye jo dil mein hasrat-e-taa'mir hai ham amaan paate the jis ke saae mein vo shajar ab dhuup ki tasvir hai kis ke vaa'de par karein ham e'tibaar kis ke maathe pe vafaa tahrir hai"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"