SHAWORDS

dekhtaa kyaa hai tu hairat se hamaaraa chehra — Siya Sachdev

HomeSiya SachdevGhazal
"dekhtaa kyaa hai tu hairat se hamaaraa chehra ham ne muddat se sajaayaa na sanvaaraa chehra ye to achchhaa hai ki be-rang hai aansu varna kis qadar daagh liye phirtaa hamaaraa chehra roz hotaa hai guzar ek nai aandhi se aur aT jaataa hai phir dhuul se saaraa chehra zindagi ek hi chehre pe guzaari ham ne ham ne pahnaa na kabhi ham ne utaaraa chehra daagh lag jaae agar koi bhi peshaani par aaina bhi nahin kartaa hai gavaaraa chehra"
Urdu

دیکھتا کیا ہے تو حیرت سے ہمارا چہرہ ہم نے مدت سے سجایا نہ سنوارا چہرہ یہ تو اچھا ہے کی بے رنگ ہے آنسو ورنہ کس قدر داغ لیے پھرتا ہمارا چہرہ روز ہوتا ہے گزر ایک نئی آندھی سے اور اٹ جاتا ہے پھر دھول سے سارا چہرہ زندگی ایک ہی چہرے پہ گزاری ہم نے ہم نے پہنا نہ کبھی ہم نے اتارا چہرہ داغ لگ جائے اگر کوئی بھی پیشانی پر آئنہ بھی نہیں کرتا ہے گوارا چہرہ

Hindi

देखता क्या है तू हैरत से हमारा चेहरा हम ने मुद्दत से सजाया न सँवारा चेहरा ये तो अच्छा है की बे-रंग है आँसू वर्ना किस क़दर दाग़ लिए फिरता हमारा चेहरा रोज़ होता है गुज़र एक नई आँधी से और अट जाता है फिर धूल से सारा चेहरा ज़िंदगी एक ही चेहरे पे गुज़ारी हम ने हम ने पहना न कभी हम ने उतारा चेहरा दाग़ लग जाए अगर कोई भी पेशानी पर आइना भी नहीं करता है गवारा चेहरा

dekhtā kyā hai tū hairat se hamārā chehra
Siya Sachdev
Siya Sachdev
Siya sachdev
poet16 quotes

More by Siya Sachdev

View all →
Quote
"aarzuon ko anaa-gir nahin kar sakte khvaab ko paaon ki zanjir nahin kar sakte kyaa sitam hai ki muqaddar mein likhaa hai sab kuchh phir bhi ham shikva-e-taqdir nahin kar sakte jab bulaaegi hamein maut chale jaaeinge hukm aisaa hai ki taakhir nahin kar sakte ye safar vo hai ki jo chhuT gayaa chhuT gayaa phir use paane ki tadbir nahin kar sakte jang mein kaise Tikeinge vo bhalaa hasti ki jo kisi shaakh ko shamshir nahin kar sakte aap to khair baDe aadmi kahlaate hain ham to chhoTon ki bhi tahqir nahin kar sakte sab pe paabandi usulon ki 'siyaa' laazim hai sukhan-o-sher ko jaagir nahin kar sakte"
Siya SachdevSiya Sachdev
Quote
"main jis din se akeli ho gai huun main kaisi thi main kaisi ho gai huun nahin kuchh yaad rahtaa hain mujhe ab bichhaD kar tum se pagli ho gai huun tasavvur ne tire mujh ko chhuaa phir achaanak se main achchhi ho gai huun tiraa gham mujh ko raas aane lagaa hai bikhar kar phir ikaTThi ho gai huun pareshaani ye mujh se hans ke boli tire ghar ki main bachchi ho gai huun jo meraa ho ke meraa ho na paayaa na ho kar bhi usi ki ho gai huun mujhe phir lauT ke jaanaa hai us tak jo meraa thaa usi ki ho gai huun jise dekho vo hi kahtaa hai mujh se saraapaa ik udaasi ho gai huun 'siyaa' kuchh din se bojhal hai bahut dil main ro ro kar ke halki ho gai huun"
Siya SachdevSiya Sachdev
Quote
"qalam mein ashk bhar kar likh rahi huun dard kaaghaz par bikhere jaa rahi huun hasraton ko sard kaaghaz par taDap aurat ke dil ki sirf ik aurat samajhti hai bas apni khvaahishon ko likh rahe hain mard kaaghaz par chalo maanaa ki kah lene se dukh halkaa hi hotaa hai magar kuchh hi palon mein itnaa saaraa dard kaaghaz par yunhi bas aaj main ne ik puraani Diary kholi jami thi kab se yaadon ki puraani gard kaaghaz par nisaai karb likhne kaa hunar ham ko hi aataa hai hukumat apni saabit kar rahe hain mard kaaghaz par tabhi jaa kar ghazal ko ik nae paikar mein Dhaalaa hai lahu ki surkh bundein jab giri hai zard kaaghaz par nami se gal bhi sakte hain sharar se jal bhi sakte hain bharosaa kar rahi hain kyon 'siyaa' be-dard kaaghaz par"
Siya SachdevSiya Sachdev
Quote
"jab meri kahaani mein vo kirdaar nahin ab jaa maan liyaa pahle saa meaar nahin ab le tere hi kahne pe tujhe chhoD diyaa hai kyon aur kahaan kaise ki takraar nahin ab kuchh shauq na hasrat na tamannaa na guzaarish duniyaa se miraa koi sarokaar nahin ab vahshat bhi tabiat mein hai aur josh-e-junun bhi Takraane ko sar saamne divaar nahin ab ab zabt nahin baaqi hai dil bhar chukaa meraa ye taane ye bigDi hui guftaar nahin ab ab koi bhi daavaa nahin kar saktaa hai mujh par duniyaa mein koi bhi meraa haqdaar nahin ab is dil ko 'siyaa' rog lagaanaa nahin achchhaa bas aur udaasi bhare ashaar nahin ab"
Siya SachdevSiya Sachdev

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar