SHAWORDS

dekhtaa rahtaa huun main teri ghazaali aankhein — Khar Dehlavi

HomeKhar DehlaviGhazal
"dekhtaa rahtaa huun main teri ghazaali aankhein dekh to tu bhi zaraa meri savaali aankhein chashm-e-aahu se na nargis se hai tashbih durust hain misaal aap hi vo apni niraali aankhein barhami husn ko kuchh aur jilaa deti hai vo jamaali teraa chehra vo jalaali aankhein aa ke har roz tasavvur mein banaa jaati hai ek rangin si tasvir khayaali aankhein khat paDhe yaa na paDhe aae na aae vo shokh 'khaar' kyuun bhej na dein dekhne vaali aankhein"
Urdu

دیکھتا رہتا ہوں میں تیری غزالی آنکھیں دیکھ تو تو بھی ذرا میری سوالی آنکھیں چشم آہو سے نہ نرگس سے ہے تشبیہ درست ہیں مثال آپ ہی وہ اپنی نرالی آنکھیں برہمی حسن کو کچھ اور جلا دیتی ہے وہ جمالی تیرا چہرہ وہ جلالی آنکھیں آ کے ہر روز تصور میں بنا جاتی ہے ایک رنگین سی تصویر خیالی آنکھیں خط پڑھے یا نہ پڑھے آئے نہ آئے وہ شوخ خارؔ کیوں بھیج نہ دیں دیکھنے والی آنکھیں

Hindi

देखता रहता हूँ मैं तेरी ग़ज़ाली आँखें देख तो तू भी ज़रा मेरी सवाली आँखें चश्म-ए-आहू से न नर्गिस से है तश्बीह दुरुस्त हैं मिसाल आप ही वो अपनी निराली आँखें बरहमी हुस्न को कुछ और जिला देती है वो जमाली तेरा चेहरा वो जलाली आँखें आ के हर रोज़ तसव्वुर में बना जाती है एक रंगीन सी तस्वीर ख़याली आँखें ख़त पढ़े या न पढ़े आए न आए वो शोख़ 'ख़ार' क्यूँ भेज न दें देखने वाली आँखें

dekhtā rahtā huuñ maiñ terī ġhazālī āñkheñ
Khar Dehlavi
Khar Dehlavi
Khar Dehlavi
poet24 quotes

More by Khar Dehlavi

View all →
Quote
"vahi hai nafs-e-mazmun sirf tadbirein badalti hain huzur-e-dost kyaa kyaa apni taqrirein badalti hain ye nagri husn vaalon ki ajab nagri hai ai hamdam ki is nagri mein aahon ki bhi taasirein badalti hain na itraa ai dil-e-naadaan kisi ke ahd-o-paimaan par ki qaul o fel kyaa logon ki tahrirein badalti hain khudaai kaa agar karte hain daavaa but nahin bejaa nigaah-e-lutf se dekhein to taqdirein badalti hain koi saffaak jab didon mein diide Daal detaa hai to dil se dil nahin ulfat ki jaagirein badalti hain kisi kaafir ke yaad aate hain andaaz-o-adaa jis dam nazar ke saamne kitni hi tasvirein badalti hain kisi par barq girti hai koi chaDhtaa hai suuli par ba-qadar-e-zauq-e-mujrim 'khaar' taazirein badalti hain"
Khar DehlaviKhar Dehlavi
Quote
"haijaan mein talaash-e-sukun kar rahaa huun main yuun apne gham ko aur fuzun kar rahaa huun main vo sun rahe hain aur tabassum hai zer-e-lab un se bayaan haal-e-zabun kar rahaa huun main ab is se baDh ke aur ho vahshat kaa kyaa subut taalif nuskha-haa-e-junun kar rahaa huun main ik dushman-e-vafaa se baDhaai hai rasm-o-raah khud apni aarzuon kaa khuun kar rahaa huun main ab vaadi-e-junun mein qadam rakh chukaa hai ishq tashhir-e-daagh-haa-e-darun kar rahaa huun main mashur ho rahe hain vo sun kar miraa kalaam dam un pe jaise koi fusun kar rahaa huun main maabud hai vo bas miraa matlub hi nahin sajda us aastaane pe yuun kar rahaa huun main shaayad ki aab-e-tegh hi aab-e-hayaat ho hadd-e-adab se khud ko barun kar rahaa huun main siina bhi meraa haath bhi mere tumhein gharaz zad-kub apne siina ko kyuun kar rahaa huun main chupke se sah rahaa huun sitam tere bevafaa meri khataa to jab ho ki chuun kar rahaa huun main zoam-e-khudi mein jis pe na jaane kaa ahd thaa us dar pe 'khaar' sar ko nigun kar rahaa huun main"
Khar DehlaviKhar Dehlavi
Quote
"sozish-e-gham ba-ru-e-kaar aai aah bhi lab pe shoala-baar aai chashm-e-giryaan ki aabyaari se dil ke daaghon pe phir bahaar aai dast-e-vahshat ki kaar-farmaai taa-ba-daamaan-e-taar-taar aai tere divaane kyaa bhalaa jaanein kab khizaan aai kab bahaar aai kasmapursi kaa uf-re ye aalam yaad ham ko jafaa-e-yaar aai dekho vo chhaai uudi uudi ghaTaa mai-gusaaron ki gham-gusaar aai su-e-gulshan jo aaj aa nikle yaar ki yaad baar baar aai bhini bhini kisi badan ki mahak bu-e-gesu-e-mushk-baar aai ghuncha o gul kaa dekh kar jauban yaad-e-mahbub-e-gul-azaar aai hai javaani khud apni mashshaata husn ko kis qadar nikhaar aai 'khaar' ulfat ki baat jaane do zindagi kis ko saazgaar aai"
Khar DehlaviKhar Dehlavi
Quote
"kahaa kisi ne ki hai chhalaavaa kisi ne tashbih di pari se vo aaj mahfil mein jalva-aaraa hue hain is shaan-e-dilbari se koi ishaara na kuchh kinaaya kahi hai ik baat saadgi se abhi ho naadaan nasib-e-aa’daa kahin uThaao na zak kisi se nahin ki dil aashnaa nahin hai rumuz-o-aadaab-e-'aashiqi se kuchh is mein tark-e-vafaa nahin hai uThaaein gar haath zindagi se liyaa kaf-e-paa kaa main ne bosa kuchh is mein tark-e-adab nahin thaa chalo haTaao qusur meraa khataa bhi hoti hai aadmi se mariz kaa ab labon pe dam hai shifaa ki ummid is ki kam hai jo ab bhi aao baDaa karam hai ki saans hain chand aakhiri se nahin bhale un ke taur ye bhi koi balaa hogi aur ye bhi na ho koi tarz-e-jaur ye bhi ki aa gae baaz kajravi se baDaa hi pur-lutf hogaa manzar kareinge us dam salaam jhuk kar ki dekhte hoge pesh-e-daavar hamein pashemaan se multaji se milegaa aghyaar ko bahaana uThaaegaa ungliyaan zamaana jinhein hai paas-e-vafaa ye maanaa vo munh na moDeinge bandagi se savaal saail kaa yuun na moDo javaab se us kaa dil na toDo dil-e-shikasta ko balki joDo tum apne altaaf-e-khusravi se sunaaein kyaa maajraa-e-ulfat hai ek 'aalam mein us ki shohrat tumhaare jalve hamaari vahshat hain didani se shanidani se 'ajib hai rog 'aashiqi kaa kare bhi koi to kyaa mudaavaa na 'khaar' aisaa mariz dekhaa taDap uThe dard ki kami se"
Khar DehlaviKhar Dehlavi

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb