SHAWORDS

dhund kaa aankhon par hogaa pardaa ik din — Ejaz Obaid

HomeEjaz ObaidGhazal
"dhund kaa aankhon par hogaa pardaa ik din ho jaaeinge ham sab be-chehraa ik din jis muTThi mein phuul hai us ko band rakho khil kar ye jugnu ban jaaegaa ik din aankhein mal mal kar dekheinge khvaab hai kyaa aise rang dikhaaegi duniyaa ik din chaand-sitaare kahin Duboe jaaeinge khushbu par lag jaaegaa pahraa ik din ho jaaeinge khatm khazaane ashkon ke yuun niklegaa apnaa divaala ik din us ke paas ugaa do koi aur darakht peD ye ho jaaegaa hariyaalaa ik din"
Urdu

دھند کا آنکھوں پر ہوگا پردا اک دن ہو جائیں گے ہم سب بے چہرا اک دن جس مٹھی میں پھول ہے اس کو بند رکھو کھل کر یہ جگنو بن جائے گا اک دن آنکھیں مل مل کر دیکھیں گے خواب ہے کیا ایسے رنگ دکھائے گی دنیا اک دن چاند ستارے کہیں ڈبوئے جائیں گے خوشبو پر لگ جائے گا پہرا اک دن ہو جائیں گے ختم خزانے اشکوں کے یوں نکلے گا اپنا دیوالہ اک دن اس کے پاس اگا دو کوئی اور درخت پیڑ یہ ہو جائے گا ہریالا اک دن

Hindi

धुँद का आँखों पर होगा पर्दा इक दिन हो जाएँगे हम सब बे-चेहरा इक दिन जिस मुट्ठी में फूल है उस को बंद रखो खिल कर ये जुगनू बन जाएगा इक दिन आँखें मल मल कर देखेंगे ख़्वाब है क्या ऐसे रंग दिखाएगी दुनिया इक दिन चांद-सितारे कहीं डुबोए जाएँगे ख़ुशबू पर लग जाएगा पहरा इक दिन हो जाएँगे ख़त्म ख़ज़ाने अश्कों के यूँ निकलेगा अपना दीवाला इक दिन उस के पास उगा दो कोई और दरख़्त पेड़ ये हो जाएगा हरियाला इक दिन

dhuñd kā āñkhoñ par hogā pardā ik din
Ejaz Obaid
Ejaz Obaid
Ejaz Obaid
poet22 quotes

More by Ejaz Obaid

View all →
Quote
"thiin ik sukut se zaahir mohabbatein apni ab aansuon ne bhi bakhshein inaayatein apni ki barg-haa-e-khizaan daada-jun uDaae hue kashaan kashaan liye phirti hain vahshatein apni sabhi ko shak hai ki khud ham mein bevafaai hai kahaan kahaan na hui hain shikaayatein apni chale jahaan se the ab aao lauT jaaein vahin nikaalin raahon ne ham se adaavatein apni kuchh aur kar degi bojhal fazaa ko khaamoshi chalo ki shor machaaein sharaartein apni hamaaraa jo bhi taalluq thaa us ke dam se thaa lo aaj khatm huiin sab riqaabatein apni"
Ejaz ObaidEjaz Obaid
Quote
"dusron ki aankh le kar bhi pashemaani hui ab bhi ye duniyaa hamein lagti hai pahchaani hui ashk ki be-rang kheti muddaton mein lahlahaai pahle kitnaa qaht thaa ab kuchh faraavaani hui khud ko ham pahchaan paae ye bahut achchhaa huaa jism ke haijaan mein ruhon ki 'uryaani hui main to ik khushbu kaa jhonkaa tere daaman kaa hi thaa bu-e-gul se aa milaa kyuun tujh ko hairaani hui us kaa baazaar-e-havas mein qadr-daan hi kaun thaa jins-e-dil ki phir yahaan kyuun itni arzaani hui"
Ejaz ObaidEjaz Obaid
Quote
"ham ne aankh se dekhaa kitne suraj nikle Duub gae lekin taaron se puchho kab nikle chamke Duub gae do saae pahle aakaash tale saahil par baiThe the lahron ne lipTaanaa chaahaa aur bechaare Duub gae peDon par jo naam likhe the vo to ab bhi baaqi hain lekin jitne bhi taalaab mein patthar pheinke Duub gae unche ghar aakaash chhupaa kar apne aap pe naazaan hain chaaron or khule aakaash ke suraj pichhe Duub gae ab to hamein ik sher kaa honaa bhi naa-mumkin lagtaa hai ab to din ki niili jhiil mein raat ke taare Duub gae"
Ejaz ObaidEjaz Obaid
Quote
"kis se milne jaao ab kis se mulaaqaatein karo tum akele ho dil-e-tanhaa se hi baatein karo phir yuun hi mil baiThein ham aur dukh bhari baatein karein haath uThaa kar ye duaa maango munaajaatein karo sab parinde apne apne jangalon mein kho gae ab to hilti Daaliyon se baiTh kar baatein karo ittifaaqan ham tumhaare saae se guzrein kabhi baadalo tum pyaar ke lamhon ki barsaatein karo ab to jaise is imaarat ko bhi chup si lag gai khiDkiyo darvaazo chahko gaao kuchh baatein karo"
Ejaz ObaidEjaz Obaid

More on Chaand

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar