SHAWORDS

dhuup si umr basar karnaa hai — Mustafa Shahab

HomeMustafa ShahabGhazal
"dhuup si umr basar karnaa hai ek divaar ko sar karnaa hai aankh to sirf shahaadat degi dil ko tasdiq-e-sahar karnaa hai ab fasilon pe ugaanaa hai gulaab fauj ko shahr-badar karnaa hai sirf jugnu saa chamaknaa hai 'shahaab' kab mujhe kaar-e-khizar karnaa hai"
Urdu

دھوپ سی عمر بسر کرنا ہے ایک دیوار کو سر کرنا ہے آنکھ تو صرف شہادت دے گی دل کو تصدیق سحر کرنا ہے اب فصیلوں پہ اگانا ہے گلاب فوج کو شہر بدر کرنا ہے صرف جگنو سا چمکنا ہے شہابؔ کب مجھے کار خضر کرنا ہے

Hindi

धूप सी उम्र बसर करना है एक दीवार को सर करना है आँख तो सिर्फ़ शहादत देगी दिल को तस्दीक़-ए-सहर करना है अब फ़सीलों पे उगाना है गुलाब फ़ौज को शहर-बदर करना है सिर्फ़ जुगनू सा चमकना है 'शहाब' कब मुझे कार-ए-ख़िज़र करना है

dhuup sī umr basar karnā hai
Mustafa Shahab
Mustafa Shahab
Mustafa Shahab
poet43 quotes

More by Mustafa Shahab

View all →
Quote
"qadam qadam par tumhaari yuun to inaayatein bhi bahut hui hain mujhe miri be-niyaaziyon par nadaamatein bhi bahut hui hain ye mat samajhnaa ki aansuon hi se bhiig jaati hain us ki palkein ki baarhaa chashm-e-nam se us ki karaamatein bhi bahut hui hain ajab tamaashaa hai zulm sah kar bhi saare mazlum mutmain hain unhin ki jaanib se qaatilon ki zamaanatein bhi bahut hui hain mohabbaton mein khamoshiyaan hi javaab hoti hain mo'tariz kaa agarche kuchh be-iraada mujh se vazaahatein bhi bahut hui hain hui hai izhaar-e-aarzu mein khataa-e-taakhir is liye bhi rah-e-tamannaa ujaalne mein tavaaltein bhi bahut hui hain 'shahaab' saahil se baandh rakkho abhi puraani vo naav apni ki jas pe tufaani naddiyon mein masaafatein bhi bahut hui hain"
Mustafa ShahabMustafa Shahab
Quote
"ik shama kaa saaya thaa ki mehraab mein Duubaa ik main ki tire hijr ke girdaab mein Duubaa meri shab-e-taarik kaa chehra huaa raushan suraj saa koi shaam ko mahtaab mein Duubaa hai dida-e-be-khvaab miraa kitnaa farebi jab dekhiye lagtaa hai kisi khvaab mein Duubaa dil thaa ki koi khel mein pheinkaa huaa patthar maujon se jo laDtaa huaa taalaab mein Duubaa khultaa hai faqat itnaa vo az-raah-e-muravvat miltaa hai magar majlisi aadaab mein Duubaa paataal ki gahraai se ubhraa miraa aansu chupke se phir ik kuza-e-be-aab mein Duubaa thaa jis kaa falak-bos fasilon mein tahaffuz vo ghar bhi miraa vaqt ke sailaab mein Duubaa"
Mustafa ShahabMustafa Shahab
Quote
"puraane ghar mein nayaa ghar basaanaa chaahtaa hai vo sukhe phuul mein khushbu jagaanaa chaahtaa hai na jaane kyuun tire maasum jhuuT ko aakhir zamaana sach ki tarah aazmaanaa chaahtaa hai abhi tapaas se niklaa nahin tiraa saadhu ki phir se ik nai dhuni ramaanaa chaahtaa hai ye aab-dida Thahar jaae jhiil ki surat ki ek chaand kaa TukDaa nahaanaa chaahtaa hai khud apni aankh mein paani utaarne vaalaa hamaari aankh ko sahraa banaanaa chaahtaa hai tujhe to baandh ke rakkhaa hai nisti ne 'shahaab' tu hai ki hadd-e-fusun ko miTaanaa chaahtaa hai"
Mustafa ShahabMustafa Shahab
Quote
"use dekhaa to har be-chehragi kaasa uThaa laai tamannaa apne khaali haath mein duniyaa uThaa laai mujhe to apni saari khetiyaan sairaab karni thiin magar vo mauj apne saath ik sahraa uThaa laai rifaaqat ko miri tanhaai bhuli-bisri yaadon se koi saaya uThaa laai koi chehra uThaa laai unhein khushbu ki chaahat mein bahut narmi se chhunaa thaa havaa-e-shaam to phulon ki komaltaa uThaa laai vahaan to aab-e-shirin ki kai labrez jhilein thiin to phir kyuun tishnagi meri mujhe pyaasaa uThaa laai kabhi in vaadiyon mein duur tak raste firozaan the 'shahaab' ik sar-phiri mauj-e-havaa kohraa uThaa laai"
Mustafa ShahabMustafa Shahab
Quote
"dil ik duniyaa basaa letaa hai gar koi nahin aataa faqat mahsus kartaa hai nazar koi nahin aataa khabar achchhi buri taaza puraani ho na ho phir bhi hamaari mahfilon mein be-khabar koi nahin aataa jo pichhe chhoD aae hain usi pe lauT jaaeinge khulegaa jab ki in raston pe ghar koi nahin aataa kabhi shaatir se shaayad is liye bhi jiit saktaa huun ki mujh ko chaal chalne kaa hunar koi nahin aataa bure vaqton ne aisaa gher rakkhaa hai ki barson se idhar achchhe dinon kaa naama-bar koi nahin aataa guzar jaao 'shahaab' is pur-khatar kaanTon ke jangal se ki is ke baad phir aisaa safar koi nahin aataa"
Mustafa ShahabMustafa Shahab

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud