"yaar tujh ko miraa khayaal to hai ishq mein itni dekh-bhaal to hai gham nahin gar khushi nahin haasil furqat-e-dost kaa malaal to hai tujh pe guzri hai kyaa khabar hai mujhe tere jaisaa hi meraa haal to hai meraa haami jahaan nahin to kyaa shukr hai rabb-e-zul-jalaal to hai hai agar zoam-e-bartari tum ko ye bhi ik surat-e-zavaal to hai mere pahlu mein tu nahin na sahi mere shaane pe teri shaal to hai zindagi mein yahi tamannaa thi dam-e-aakhir tiraa visaal to hai us ki tamsil hi nahin hai 'asad' meraa mahbub be-misaal to hai"
divaar-e-takalluf hai to mismaar karo naa — Aijaz Asad
"divaar-e-takalluf hai to mismaar karo naa gar us se mohabbat hai to izhaar karo naa mumkin hai tumhaare liye ho jaaun main aasaan tum khud ko mire vaaste dushvaar karo naa gar yaad karoge to chalaa aaungaa ik din tum dil ki guzargaah ko hamvaar karo naa baahar ke mahaazon ki tumhein fath mubaarak ab nafs ke shaitaan ko giraftaar karo naa kahnaa hai agar kuchh to pas-o-pesh karo mat khul ke kabhi jazbaat kaa izhaar karo naa har rishta-e-jaan toD ke aayaa huun yahaan tak tum bhi miri khaatir koi isaar karo naa 'aijaaz' tumhaare liye saahil pe khaDaa huun dariyaa-e-vafaa mere liye paar karo naa"
دیوار تکلف ہے تو مسمار کرو نا گر اس سے محبت ہے تو اظہار کرو نا ممکن ہے تمہارے لئے ہو جاؤں میں آساں تم خود کو مرے واسطے دشوار کرو نا گر یاد کرو گے تو چلا آؤں گا اک دن تم دل کی گزر گاہ کو ہموار کرو نا باہر کے محاذوں کی تمہیں فتح مبارک اب نفس کے شیطاں کو گرفتار کرو نا کہنا ہے اگر کچھ تو پس و پیش کرو مت کھل کے کبھی جذبات کا اظہار کرو نا ہر رشتۂ جاں توڑ کے آیا ہوں یہاں تک تم بھی مری خاطر کوئی ایثار کرو نا اعجازؔ تمہارے لئے ساحل پہ کھڑا ہوں دریائے وفا میرے لئے پار کرو نا
दीवार-ए-तकल्लुफ़ है तो मिस्मार करो ना गर उस से मोहब्बत है तो इज़हार करो ना मुमकिन है तुम्हारे लिए हो जाऊँ मैं आसाँ तुम ख़ुद को मिरे वास्ते दुश्वार करो ना गर याद करोगे तो चला आऊँगा इक दिन तुम दिल की गुज़रगाह को हमवार करो ना बाहर के महाज़ों की तुम्हें फ़त्ह मुबारक अब नफ़्स के शैताँ को गिरफ़्तार करो ना कहना है अगर कुछ तो पस-ओ-पेश करो मत खुल के कभी जज़्बात का इज़हार करो ना हर रिश्ता-ए-जाँ तोड़ के आया हूँ यहाँ तक तुम भी मिरी ख़ातिर कोई ईसार करो ना 'एजाज़' तुम्हारे लिए साहिल पे खड़ा हूँ दरिया-ए-वफ़ा मेरे लिए पार करो ना

More by Aijaz Asad
View all →"kisi ghar kaa bahut nuqsaan hotaa hai to daulat-mand kaa saamaan hotaa hai darun-e-dil agar imaan hotaa hai to phir jiinaa baDaa aasaan hotaa hai hatheli par jo sar rakkhe laDaai mein usi ki jiit kaa imkaan hotaa hai badan kaa bojh ham Dhote hi rahte hain marein to ghair kaa ehsaan hotaa hai pate ki baat kah saktaa hai vo paagal koi hushiyaar bhi anjaan hotaa hai gharibi haath par rakhti hai khaane ko amiron kaa hi dastar-khvaan hotaa hai 'asad' aa jaa ki ham ko chain aa jaae ye ghar tere binaa sunsaan hotaa hai"
"gham-e-vafaa ko pas-e-pusht Daalnaa hogaa khaTak rahaa hai jo kaanTaa nikaalnaa hogaa faqir-e-ishq huun kuchh de ke Taalnaa hogaa bas ik nigaah kaa sikka uchhaalnaa hogaa savaal dosto azmat kaa hai saron kaa nahin hamein vaqaar kaa parcham sambhaalnaa hogaa ghazab ki pyaas lagi saamnaa saraab kaa hai so reg-e-sahraa se paani nikaalnaa hogaa use bataao ki faaqa hai aaj apnaa bhi magar faqir ko izzat se Taalnaa hogaa ye intizaar salaamat rahe vo aaegaa magar hai shart ki dil ko sambhaalnaa hogaa tumhaare dil ki zamin jal chuki magar 'aijaaz' isi se nakhl-e-mohabbat nikaalnaa hogaa"
"duniyaa mein kise aag lagaani nahin aati afsos magar sab ko bujhaani nahin aati taa-hadd-e-nazar dasht hai kyuun baiThe hue ho lagtaa hai tumhein khaak uDaani nahin aati vo shokh hai baaton mein lagaa rahtaa hai aksar suntaa huun mujhe baat banaani nahin aati bistar ki zarurat hi nahin niind ko pyaare kyaa jism ki chaadar hi bichhaani nahin aati bujhti hi nahin aag lagi hai jo jigar mein lekin mire ashkon mein ravaani nahin aati khushbu se mahakti hi nahin raat hamaari khvaabon mein agar raat ki raani nahin aati naadaan miri mez ke shishe pe gire hain ashkon ko bhi tasvir banaani nahin aati main khud bhi khilaunon kaa taraf-daar rahungaa jab tak mire bachchon pe javaani nahin aati main sirf haqiqat hi bayaan kartaa huun 'aijaaz' afsaana nahin aataa kahaani nahin aati"
"laazmi to nahin vali ho jaae aadmi kaash aadmi ho jaae kyuun na badnaam-e-aashiqi ho jaae jab lagi dil ki dil lagi ho jaae roz kaa TuTnaa bikharnaa kyuun jo bhi honaa hai aaj hi ho jaae lamha lamha jiyun tujhe jaanaan tu agar meri zindagi ho jaae meri aankhein chhalakne lagti hain gar koi dost ajnabi ho jaae ghar hamaaraa dhuaan dhuaan saa hai khol khiDki ki raushni ho jaae kaun 'aijaaz' par karegaa use apne andar agar kami ho jaae"
"gulon pe shabnam nahin lahu hai ye kaisi saughaat-e-rang-o-bu hai bahaar khanjar-ba-dast aai har ek manzar lahu lahu hai koi tamannaa nahin hai mujh ko sukun-e-dil ki hi aarzu hai main ik muddat se laapata huun mujhe khud apni hi justuju hai ye be-dili ki namaaz teri gumaan hotaa hai be-vuzu hai is ko aksar main sochtaa huun miri ghazal ki jo aabru hai miraa nahin hai 'asad' ye chehra to kaun shishe mein ru-ba-ru hai"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"