SHAWORDS

dil ke maaron se dil-lagi chaahe — Farooq Rahman

HomeFarooq RahmanGhazal
"dil ke maaron se dil-lagi chaahe maut qiston mein zindagi chaahe main to chaahun use qayaamat tak vo mulaaqaat sarsari chaahe shahr kaa shahr mere qadmon mein dil magar yaar ki gali chaahe sab ki marzi se ji ke dekh liyaa ab vahi kar jo teraa ji chaahe main samundar kaa kyaa karun 'faaruq' pyaas chaDhti hui nadi chaahe"
Urdu

دل کے ماروں سے دل لگی چاہے موت قسطوں میں زندگی چاہے میں تو چاہوں اسے قیامت تک وہ ملاقات سرسری چاہے شہر کا شہر میرے قدموں میں دل مگر یار کی گلی چاہے سب کی مرضی سے جی کے دیکھ لیا اب وہی کر جو تیرا جی چاہے میں سمندر کا کیا کروں فاروقؔ پیاس چڑھتی ہوئی ندی چاہے

Hindi

दिल के मारों से दिल-लगी चाहे मौत क़िस्तों में ज़िंदगी चाहे मैं तो चाहूँ उसे क़यामत तक वो मुलाक़ात सरसरी चाहे शहर का शहर मेरे क़दमों में दिल मगर यार की गली चाहे सब की मर्ज़ी से जी के देख लिया अब वही कर जो तेरा जी चाहे मैं समुंदर का क्या करूँ 'फ़ारूक़' प्यास चढ़ती हुई नदी चाहे

dil ke māroñ se dil-lagī chāhe
Farooq Rahman
Farooq Rahman
Farooq rahman
poet8 quotes

More by Farooq Rahman

View all →
Quote
"duur tak suuni paDi hai rahguzar dekhegaa kaun apni manzil hi nahin to raahbar dekhegaa kaun chaandni ki bad-du'aa apnaa asar dikhlaa gai kis qadar taarikiyaan hain chaand par dekhegaa kaun jaagti aankhon pe aakhir niind ghaalib aa gai ab tumhaaraa raasta bhi raat-bhar dekhegaa kaun apne ghar kaa saaz-o-saamaan ham ne girvi rakh diyaa hanste hanste zahr piine kaa hunar dekhegaa kaun jaan kaa khatra to hai hi jaal bhi kamzor hai machhliyon ke shauq mein paani magar dekhegaa kaun ab ghazal ke naam par 'faaruq' kuchh bhi pesh kar log sab masruf hain zer-o-zabar dekhegaa kaun"
Farooq RahmanFarooq Rahman
Quote
"milaa ke haath masarrat kashid ki jaae vo saamne nazar aae to 'iid ki jaae junun-e-'ishq kahaan naap-tol jaane hai agar hui hai mohabbat shadid ki jaae vahaan to amn ke sajdon ki nur-paashi thi kahaa thaa kis ne ki masjid shahid ki jaae chalan vafaa kaa tumhaari sarisht mein hi nahin to kis umiid pe tum se umiid ki jaae khulus-o-pyaar se patthar pighalte dekhe hain anaa hai dushman-e-jaanaan murid ki jaae rivaayaton kaa bhi apnaa mizaaj hai 'faaruq' ghazal zaruri nahin hai jadid ki jaae"
Farooq RahmanFarooq Rahman

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar