SHAWORDS

dil mein baiThaa thaa ek Dar shaayad — Jafar Sahni

HomeJafar SahniGhazal
"dil mein baiThaa thaa ek Dar shaayad aaj bhi hai vo ham-safar shaayad haath patthar se ho gae khaali peD par hai nahin samar shaayad DhunDhtaa thaa vajud apnaa vo thaa idhar ab gayaa udhar shaayad surkhiyaan ug rahi hain daaman par ho gayaa haath khuun se tar shaayad phuul ulfat ke khil rahe hon jahaan hogaa aisaa bhi ik nagar shaayad bekali baDh gai hai dariyaa ki kah gayaa jhuk ke kuchh shajar shaayad dard kaa ho gayaa hai maskan vo log kahte hain jis ko ghar shaayad mil ke un se khushi hui mujh ko vo bhi honge to khush magar shaayad rote rote hansi miri khvaahish mil gai ik nai khabar shaayad din kaa kaTnaa muhaal hai to sahi raat ho jaaegi basar shaayad aag paani mein jo lagaataa hai vo bhi hogaa koi bashar shaayad sehn-e-dil se khushi nahin guzri raasta thaa vo pur-khatar shaayad dhuup ke ghar ghaTaa gai 'jaafar' khushk karne ko baal-o-par shaayad"
Urdu

دل میں بیٹھا تھا ایک ڈر شاید آج بھی ہے وہ ہم سفر شاید ہاتھ پتھر سے ہو گئے خالی پیڑ پر ہے نہیں ثمر شاید ڈھونڈھتا تھا وجود اپنا وہ تھا ادھر اب گیا ادھر شاید سرخیاں اگ رہی ہیں دامن پر ہو گیا ہاتھ خوں سے تر شاید پھول الفت کے کھل رہے ہوں جہاں ہوگا ایسا بھی اک نگر شاید بیکلی بڑھ گئی ہے دریا کی کہہ گیا جھک کے کچھ شجر شاید درد کا ہو گیا ہے مسکن وہ لوگ کہتے ہیں جس کو گھر شاید مل کے ان سے خوشی ہوئی مجھ کو وہ بھی ہوں گے تو خوش مگر شاید روتے روتے ہنسی مری خواہش مل گئی اک نئی خبر شاید دن کا کٹنا محال ہے تو سہی رات ہو جائے گی بسر شاید آگ پانی میں جو لگاتا ہے وہ بھی ہوگا کوئی بشر شاید صحن دل سے خوشی نہیں گزری راستہ تھا وہ پر خطر شاید دھوپ کے گھر گھٹا گئی جعفرؔ خشک کرنے کو بال و پر شاید

Hindi

दिल में बैठा था एक डर शायद आज भी है वो हम-सफ़र शायद हाथ पत्थर से हो गए ख़ाली पेड़ पर है नहीं समर शायद ढूँढता था वजूद अपना वो था इधर अब गया उधर शायद सुर्ख़ियाँ उग रही हैं दामन पर हो गया हाथ ख़ूँ से तर शायद फूल उल्फ़त के खिल रहे हों जहाँ होगा ऐसा भी इक नगर शायद बेकली बढ़ गई है दरिया की कह गया झुक के कुछ शजर शायद दर्द का हो गया है मस्कन वो लोग कहते हैं जिस को घर शायद मिल के उन से ख़ुशी हुई मुझ को वो भी होंगे तो ख़ुश मगर शायद रोते रोते हँसी मिरी ख़्वाहिश मिल गई इक नई ख़बर शायद दिन का कटना मुहाल है तो सही रात हो जाएगी बसर शायद आग पानी में जो लगाता है वो भी होगा कोई बशर शायद सेहन-ए-दिल से ख़ुशी नहीं गुज़री रास्ता था वो पुर-ख़तर शायद धूप के घर घटा गई 'जाफ़र' ख़ुश्क करने को बाल-ओ-पर शायद

dil meñ baiThā thā ek Dar shāyad
Jafar Sahni
Jafar Sahni
Jafar Sahni
poet27 quotes

More by Jafar Sahni

View all →
Quote
"shar ki baaton mein tamaazat kaa nishaan ho ki na ho aag lagti hai to siine mein dhuaan ho ki na ho shauq ko apne zaraa tez-qadam hi rakhnaa thaamne haath kabhi baad-e-ravaan ho ki na ho sail ke ghaiz se larzaan hai tasavvur kaa badan bahte paani ke takallum se gumaan ho ki na ho dil ke khaane mein kashish khuub mili hai raushan us ki mahfil kaa samaan rashk-e-jinaan ho ki na ho dard-mandi ki fazaa ham to kareinge qaaem sehn-e-dil-daar liye aks-e-fughaan ho ki na ho apni palkon pe chalo aaj nami kuchh bhar lein shabnami husn mein tar phir se jahaan ho ki na ho mujh ko maujud to har moD pe vo lagtaa hai chaand taaron ki nigaarish se ayaan ho ki na ho soch rahti hai aqidat se sharaabor sadaa narm lahje mein duaa vird-e-zabaan ho ki na ho main to mashkuk nahin us ki vafaa se 'jaafar' ek mauhum ishaare mein bhi haan ho ki na ho"
Jafar SahniJafar Sahni
Quote
"har samt uDi gard mire shahr-e-gumaan mein mahsur tamannaa hai zamaane ke dhuaan mein sannaaTe kaa jo qissa sunaane mein magan hai raqsaan thaa kabhi shor usi ujDe makaan mein khushiyon ko badan par jo lapeTe hue kal thaa hai aaj sharaabor vahi dard nihaan mein maadum huaa gul kaa nishaan sahn-e-chaman se khushbu hai magar ab bhi basi baad-e-ravaan mein har khvaab ki taabir nazar aai hiraasaan naapaid huaa josh-e-junun mard-e-javaan mein fardaa ki gali mein vo baDaa kaam karegi ik zid hai khilaune ki jo maasum fughaan mein guzri hui saaat ko palaTne mein lagaa hai kuchh baat nazar aai use kaar-e-ziyaan mein pur-kaif hui 'saahni' har saans ki aahaT mauhum ishaara jo milaa vaqt-e-giraan mein"
Jafar SahniJafar Sahni
Quote
"har taraf mauj-e-balaa ki si ravaani dekhi ashk ki god mein majbur kahaani dekhi ham badalte hi rahe ishq mein mausam ke magar ghar ki chaukhaT pe sadaa gard puraani dekhi dard ke sahn ko dushman nahin jaanaa ham ne is mein dilkash nai duniyaa ki nishaani dekhi dasht-e-vahshat ki numaaish kaa havaala de kar shahr-e-dildaar ke tevar ki javaani dekhi chaand taaron ke tale haath mein khanjar thaame muskuraati si kahin ek divaani dekhi ek aavaaz nai kaan mein gunji us dam jab bhi tasvir zamaane ki suhaani dekhi khush-libaasi pe havaaon ki na jaanaa 'jaafar' us ke halqe mein pareshaan si raani dekhi"
Jafar SahniJafar Sahni
Quote
"zard pattaa jo Daal se niklaa hasraton ke vabaal se niklaa apnaa vahm-o-gumaan qavi kar ke vaqt-e-aakhir zavaal se niklaa zindagi kaa tavil hangaama laal suraj ke thaal se niklaa log chup the magar vo afsaana vaqt ke qil-o-qaal se niklaa mahv-e-hairat hai aaj tak manzil raasta kaisi chaal se niklaa vo zamaan aur makaan se aage thaa mutmain har khayaal se niklaa kaise tai ho bachaa huaa rasta sher baiThaa hai jaal se niklaa lo baghal mein sameT kar rakh lo haath ThanDaa hai shaal se niklaa kaisaa mubham javaab ai 'jaafar' mere vaazeh savaal se niklaa"
Jafar SahniJafar Sahni
Quote
"chaandni shab bhar Tahalti chhat pe tanhaa rah gai pyaar ki har yaad-e-rangin be-sahaaraa ho gai josh dariyaa kaa banaa thaa qahr kashti ke liye bebasi mein naa-tavaan patvaar rusvaa ho gai daastaan-e-zindagi ki jab kiran khaamosh thi tab havaa bhi sun ke chup saaraa fasaana rah gai phuul patte jab chaman se dar-ba-dar hone lage pur sakun sarsabz duniyaa ban ke sahraa rah gai har gali mein lutf kaa dariyaa ravaan thaa 'saahni' meri khvaahish aisi rut mein phir bhi tanhaa rah gai"
Jafar SahniJafar Sahni

More on Raat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri