SHAWORDS

dil mein yaad-e-gham-e-be-karaan rah gai — Ameer Dehlvi

HomeAmeer DehlviGhazal
"dil mein yaad-e-gham-e-be-karaan rah gai marne vaalaa gayaa daastaan rah gai nazm-e-gulshan ki paabandiyaan al-amaan be-zabaani hi ban ke zabaan rah gai 'ishq ki aag kahti hai duniyaa jise ban ke siine mein soz-e-nihaan rah gai 'umr bhar tiir ban kar khanakti rahi yaad pahlu mein un ki jahaan rah gai ai 'amir' uTh ke baalin se vo kyaa gae zindagi 'ishq ki be-amaan rah gai"
Urdu

دل میں یاد غم بے کراں رہ گئی مرنے والا گیا داستاں رہ گئی نظم گلشن کی پابندیاں الاماں بے زبانی ہی بن کے زباں رہ گئی عشق کی آگ کہتی ہے دنیا جسے بن کے سینے میں سوز نہاں رہ گئی عمر بھر تیر بن کر کھنکتی رہی یاد پہلو میں ان کی جہاں رہ گئی اے امیرؔ اٹھ کے بالیں سے وہ کیا گئے زندگی عشق کی بے اماں رہ گئی

Hindi

दिल में याद-ए-ग़म-ए-बे-कराँ रह गई मरने वाला गया दास्ताँ रह गई नज़्म-ए-गुलशन की पाबंदियाँ अल-अमाँ बे-ज़बानी ही बन के ज़बाँ रह गई 'इश्क़ की आग कहती है दुनिया जिसे बन के सीने में सोज़-ए-निहाँ रह गई 'उम्र भर तीर बन कर खनकती रही याद पहलू में उन की जहाँ रह गई ऐ 'अमीर' उठ के बालीं से वो क्या गए ज़िंदगी 'इश्क़ की बे-अमाँ रह गई

dil meñ yād-e-ġham-e-be-karāñ rah ga.ī
A
Ameer Dehlvi
Ameer Dehlvi
poet6 quotes

More by Ameer Dehlvi

View all →
Quote
"nigaah-e-mast-e-saaqi kaa ishaara paa ke piitaa huun hudud-e-hosh ki manzil se baahar jaa ke piitaa huun ghaTaaein jhuum kar aati hain jab maikhaane ki jaanib main apni khubi-e-taqdir par itraa ke piitaa huun dar-e-pir-e-mughaan se izn-e-baada 'aam hote hi tabi'at mast ho jaati hai main lahraa ke piitaa huun bahar-aalam hai ehsaas-e-khataa ummid-e-rahmat par kabhi ghabraa ke piitaa huun kabhi sharmaa ke piitaa huun 'amir'-e-dehlavi mai-khaana-e-'ghaalib' se main aksar sharaab-e-fan khum-e-she'r-o-sukhan mein laa ke piitaa huun"
A
Ameer Dehlvi
Quote
"vahi main huun vahi hangaama-e-gham tum nahin aae gavaahi de rahe hain ashk-e-shabnam tum nahin aae hai mere vaaste har aankh pur-nam tum nahin aae zamaana kar rahaa hai meraa maatam tum nahin aae pata deti rahi hichki tumhaari aamad-aamad kaa magar jab tak nahin niklaa miraa dam tum nahin aae shab-e-furqat tulu'-e-subh ke lamhe bhi aa pahunche sitaaron ki chamak bhi ho gai kam tum nahin aae 'amir'-e-dehlavi ne jaan de di hijr ke maare magar ai mere munis mere hamdam tum nahin aae"
A
Ameer Dehlvi

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar