SHAWORDS

duniyaa bhi 'ajab qaafila-e-tishna-labaan hai — Anwar Masood

HomeAnwar MasoodGhazal
"duniyaa bhi 'ajab qaafila-e-tishna-labaan hai har shakhs saraabon ke ta'aaqub mein ravaan hai tanhaa tiri mahfil mein nahin huun ki mire saath ik lazzat-e-paabandi-e-izhaar-o-bayaan hai haq baat pe hai zahr bhare jaam ki taazir ai ghairat-e-imaan lab-e-suqraat kahaan hai kheton mein samaati nahin phuli hui sarson baaghon mein abhi tak vahi hangaam-e-khizaan hai ehsaas miraa hijr-gazida hai azal se kyaa mujh ko agar koi qarib-e-rag-e-jaan hai jo dil ke samundar se ubhartaa hai yaqin hai jo zehn ke saahil se guzartaa hai gumaan hai phulon pe ghaTaaon ke to saae nahin 'anvar' aavaara-e-gulzaar nasheman kaa dhuaan hai"
Urdu

دنیا بھی عجب قافلۂ تشنہ لباں ہے ہر شخص سرابوں کے تعاقب میں رواں ہے تنہا تری محفل میں نہیں ہوں کہ مرے ساتھ اک لذت پابندیٔ اظہار و بیاں ہے حق بات پہ ہے زہر بھرے جام کی تعزیر اے غیرت ایماں لب سقراط کہاں ہے کھیتوں میں سماتی نہیں پھولی ہوئی سرسوں باغوں میں ابھی تک وہی ہنگام خزاں ہے احساس مرا ہجر گزیدہ ہے ازل سے کیا مجھ کو اگر کوئی قریب رگ جاں ہے جو دل کے سمندر سے ابھرتا ہے یقیں ہے جو ذہن کے ساحل سے گزرتا ہے گماں ہے پھولوں پہ گھٹاؤں کے تو سائے نہیں انورؔ آوارۂ گلزار نشیمن کا دھواں ہے

Hindi

दुनिया भी 'अजब क़ाफ़िला-ए-तिश्ना-लबाँ है हर शख़्स सराबों के त'आक़ुब में रवाँ है तन्हा तिरी महफ़िल में नहीं हूँ कि मिरे साथ इक लज़्ज़त-ए-पाबंदी-ए-इज़हार-ओ-बयाँ है हक़ बात पे है ज़हर भरे जाम की ता'ज़ीर ऐ ग़ैरत-ए-ईमाँ लब-ए-सुक़रात कहाँ है खेतों में समाती नहीं फूली हुई सरसों बाग़ों में अभी तक वही हंगाम-ए-ख़िज़ाँ है एहसास मिरा हिज्र-गज़ीदा है अज़ल से क्या मुझ को अगर कोई क़रीब-ए-रग-ए-जाँ है जो दिल के समुंदर से उभरता है यक़ीं है जो ज़ेहन के साहिल से गुज़रता है गुमाँ है फूलों पे घटाओं के तो साए नहीं 'अनवर' आवारा-ए-गुलज़ार नशेमन का धुआँ है

duniyā bhī 'ajab qāfila-e-tishna-labāñ hai
Anwar Masood
Anwar Masood
Anwar Masood
poet77 quotes

More by Anwar Masood

View all →
Quote
"kaisi kaisi aayatein mastur hain nuqte ke biich kyaa ghane jangal chhupe baiThe hain ik daane ke biich rafta rafta rakhna rakhna ho gai miTTi ki geind ab khalijon ke sivaa kyaa rah gayaa naqshe ke biich main to baahar ke manaazir se abhi faarigh nahin kyaa khabar hai kaun se asraar hain parde ke biich ai dil-e-naadaan kisi kaa ruThnaa mat yaad kar aan Tapkegaa koi aansu bhi is jhagDe ke biich saare akhbaaron mein dekhun haal apne burj kaa ab mulaaqaat us se hogi kaun se hafte ke biich main ne 'anvar' is liye baandhi kalaai par ghaDi vaqt puchheinge kai mazdur bhi raste ke biich"
Anwar MasoodAnwar Masood
Quote
"main dekh bhi na sakaa mere gird kyaa gayaa thaa ki jis maqaam pe main thaa vahaan ujaalaa thaa durust hai ki vo jangal ki aag thi lekin vahin qarib hi dariyaa bhi ik guzartaa thaa tum aa gae to chamakne lagi hain divaarein abhi abhi to yahaan par baDaa andheraa thaa labon pe khair tabassum bikhar bikhar hi gayaa ye aur baat ki hansne ko dil tarastaa thaa sunaa hai log bahut se mile the raste mein miri nazar se to bas ek shakhs guzraa thaa ulajh paDi thi muqaddar se aarzu meri dam-e-firaaq use roknaa bhi chaahaa thaa mahak rahaa hai chaman ki tarah vo aaina ki jis mein tu ne kabhi apnaa ruup dekhaa thaa ghaTaa uThi hai to phir yaad aa gayaa 'anvar' 'ajib shakhs thaa aksar udaas rahtaa thaa"
Anwar MasoodAnwar Masood
Quote
"ishaaraton ki vo sharhein vo tajziya bhi gayaa jo gird-e-matn banaa thaa vo haashiya bhi gayaa vo dil-rubaa se jo sapne the le uDiin nindein dhanak-nagar se vo dhundlaa saa raabta bhi gayaa 'ajib lutf thaa naadaaniyon ke 'aalam mein samajh mein aaiin to baaton kaa vo maza bhi gayaa hamein bhi banne sanvarne kaa dhyaan rahtaa thaa vo ek shakhs ki thaa ek aaina bhii, gayaa baDaa sukun milaa aaj us ke milne se chalo ye dil se tavaqqo' kaa vasvasa bhi gayaa gulon ko dekh ke ab raakh yaad aati hai khayaal kaa vo suhaanaa talaazma bhi gayaa musaafirat pe main teshe ke sang niklaa thaa jidhar gayaa huun mire saath raasta bhi gayaa hamein to ek nazar nashr kar gai 'anvar' hamaare haath se dil kaa musavvada bhi gayaa"
Anwar MasoodAnwar Masood
Quote
"ab kahaan aur kisi chiiz ki jaa rakkhi hai dil mein ik teri tamannaa jo basaa rakkhi hai sar-ba-kaf main bhi huun shamshir-ba-kaf hai tu bhi tu ne kis din pe ye taqrib uThaa rakkhi hai dil sulagtaa hai tire sard ravayye se miraa dekh is barf ne kyaa aag lagaa rakkhi hai aaina dekh zaraa kyaa main ghalat kahtaa huun tu ne khud se bhi koi baat chhupaa rakkhi hai jaise tu hukm kare dil miraa vaise dhaDke ye ghaDi tere ishaaron se milaa rakkhi hai mutmain mujh se nahin hai jo raiyat meri ye miraa taaj rakhaa hai ye qabaa rakkhi hai gauhar-e-ashk se khaali nahin aankhein 'anvar' yahi punji to zamaane se bachaa rakkhi hai"
Anwar MasoodAnwar Masood
Quote
"bajaT main ne dekhe hain saare tire anokhe anokhe khasaare tire alalle-talalle udhaare tire bhalaa kaun qarze utaare tire giraani ki saughaat haasil miraa mahaasil tire goshvaare tire mushiron kaa jamghaT salaamat rahe bahut kaam jis ne sanvaare tire miri saada-lauhi samajhti nahin hisaabi kitaabi ishaare tire kai istilaahon mein gundhe hue kinaae tire isti'aare tire tu arbon ki kharbon ki baatein kare 'adad kaun itne shumaare tire tujhe kuchh gharibon ki parvaa nahin vaDere hain pyaare dulaare tire idhar se liyaa kuchh udhar se liyaa yunhi chal rahe hain idaare tire"
Anwar MasoodAnwar Masood
Quote
"use to paas-e-khulus-e-vafaa zaraa bhi nahin magar ye aas kaa rishta ki TuTtaa bhi nahin ghire hue hain khamoshi ki barf mein kab se kisi ke paas koi tesha-e-sadaa bhi nahin maaal-e-ghunch-o-gul hai miri nigaahon mein mujhe tabassum-e-kaazib kaa hausla bhi nahin tulu-e-subh-e-azal se main DhunDhtaa thaa jise milaa to hai pa miri samt dekhtaa bhi nahin miri sadaa se bhi raftaar tez thi us ki mujhe gila bhi nahin hai jo vo rukaa bhi nahin bikhar gai hai nigaahon ki raushni varna nazar na aae vo itnaa to faasla bhi nahin sunaa hai aaj kaa mauzu-e-majlis-e-tanqid vo sher hai ki abhi main ne jo kahaa bhi nahin simaT rahe hain sitaaron ke faasle 'anvar' paDosiyon ko magar koi jaantaa bhi nahin"
Anwar MasoodAnwar Masood

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud