SHAWORDS

ek patjhaD saa hai lagaa mujh mein — Ashu Mishra

HomeAshu MishraGhazal
"ek patjhaD saa hai lagaa mujh mein phir koi gul nahin khilaa mujh mein zabt mein mubtalaa miri aankhein ek dariyaa saa sukhtaa mujh mein ghar ki khiDki se jhonkne vaalaa meri aankhon se jhaanktaa mujh mein dil-shikasta mein bhar gai silan koi shiddat se ro rahaa mujh mein teri yaadein bhi kar gaiin hijrat ab to kuchh bhi nahin bachaa mujh mein"
Urdu

ایک پت جھڑ سا ہے لگا مجھ میں پھر کوئی گل نہیں کھلا مجھ میں ضبط میں مبتلا مری آنکھیں ایک دریا سا سوکھتا مجھ میں گھر کی کھڑکی سے جھونکنے والا میری آنکھوں سے جھانکتا مجھ میں دل شکستہ میں بھر گئی سیلن کوئی شدت سے رو رہا مجھ میں تیری یادیں بھی کر گئیں ہجرت اب تو کچھ بھی نہیں بچا مجھ میں

Hindi

एक पतझड़ सा है लगा मुझ में फिर कोई गुल नहीं खिला मुझ में ज़ब्त में मुब्तला मिरी आँखें एक दरिया सा सूखता मुझ में घर की खिड़की से झोंकने वाला मेरी आँखों से झाँकता मुझ में दिल-शिकस्ता में भर गई सीलन कोई शिद्दत से रो रहा मुझ में तेरी यादें भी कर गईं हिजरत अब तो कुछ भी नहीं बचा मुझ में

ek patjhaḌ sā hai lagā mujh meñ
Ashu Mishra
Ashu Mishra
Ashu Mishra
poet33 quotes

More by Ashu Mishra

View all →
Quote
"tujh ko andaaze nahin raah ki dushvaari ke ham to qaail hain tiri qaafila-saalaari ke ye tire saath mein rone se khulaa hai mujh par hain tiri aankh mein sab ashk adaakaari ke bevafaai bhi agar ki to bataayaa us ko main ne aadaab nibhaae hain vafaadaari ke jashn main ne bhi manaayaa thaa shajar kaTne kaa us ne vo faaede ginvaae mujhe aari ke dasht kaa dasht jin aankhon pe luTaa baiThaa thaa ham bhi pichhe the usi aahu-e-taataari ke ab mujhe yaad nahin pairahan-e-ishq-o-vafaa haan magar naqsh tire vasl ki gul-kaari ke"
Ashu MishraAshu Mishra
Quote
"ek patthar rakh liyaa hai sina-e-sad-chaak par zabt kaa pahra lagaayaa dida-e-namnaak par kaun hai jis par nahin khultaa miraa dast-e-hunar kis ki miTTi ek muddat se rakhi hai chaak par chaar din mein hi haqiqat ki zamin par aa giraa chaar din mein bhi uDaa thaa ishq ke aflaak par ye khizaan peDon se patte dil se khushiyaan le gai zor kuchh bhi chal na paayaa mausam-e-saffaak par saanehe paDte raheinge sach ke raste mein hazaar ungliyaan uThti raheingi lahja-e-bebaak par jo bhi aayaa vo tiri aankhon kaa ho ke rah gayaa ye bhanvar ab tak na khul paae kisi tairaak par"
Ashu MishraAshu Mishra
Quote
"aise khulte hain falak par ye sitaare shab ke jis tarah phuul hon saare ye bahaar-e-shab ke teri tasvir banaa kar tiri zulfon ke liye ham ne kaaghaz pe kai rang utaare shab ke vo musavvir jo banaataa hai sahar kaa chehra us se kahnaa ki abhi dard ubhaare shab ke kyaa kisi shakhs ki hijrat mein jali hain raatein kyuun sharaaron se chamakte hain sitaare shab ke ye tire hijr ne tohfe mein diye hain ham ko ye jo maasum se rishte hain hamaare shab ke ek muddat se hamein niind na aai 'aashu' umr ik kaaT di ham ne bhi sahaare shab ke"
Ashu MishraAshu Mishra
Quote
"laakhon ki bhiiD mein bhi koi ham-nafas na ho allaah teri khalq kaa matlab qafas na ho rang-e-jamaal-e-ishq se kunachi bhari ho par tasvir khinchne ke liye canvas na ho kahiye ki kaise dil lage aisi jagah jahaan baatein to be-hisaab hon baaton mein ras na ho main ishq kar rahaa huun magar sochtaa bhi huun pichhle baras jo ho chukaa ab ke baras na ho hairat hai ek umr ki baarish ke baavajud aankhon mein koi shakl hai jo Tas se mas na ho 'mishraa' ji aise shakhs se rahte hain dur-dur jis mein ki rang-e-ishq ho rang-e-havas na ho"
Ashu MishraAshu Mishra

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi