Quote
"tujh ko andaaze nahin raah ki dushvaari ke ham to qaail hain tiri qaafila-saalaari ke ye tire saath mein rone se khulaa hai mujh par hain tiri aankh mein sab ashk adaakaari ke bevafaai bhi agar ki to bataayaa us ko main ne aadaab nibhaae hain vafaadaari ke jashn main ne bhi manaayaa thaa shajar kaTne kaa us ne vo faaede ginvaae mujhe aari ke dasht kaa dasht jin aankhon pe luTaa baiThaa thaa ham bhi pichhe the usi aahu-e-taataari ke ab mujhe yaad nahin pairahan-e-ishq-o-vafaa haan magar naqsh tire vasl ki gul-kaari ke"
