SHAWORDS

ghaar thaa ghaar ki tanhaai thi aage main thaa — Aqeel Abbas

HomeAqeel AbbasGhazal
"ghaar thaa ghaar ki tanhaai thi aage main thaa daf'atan aag si lahraai thi aage main thaa usi Table pe jahaan baiTh ke khaate the kabhi tu kisi aur ke saath aai thi aage main thaa raat khiDki se koi chiiz giri kamre mein mom-batti si vo tharraai thi aage main thaa zindagi main tujhe raste se uThaa laayaa huun tu kisi aur se Takraai thi aage main thaa pesh-rau koi sar-e-raah-e-najaf thaa hi nahin pichhe pichhe miri maulaai thi aage main thaa"
Urdu

غار تھا غار کی تنہائی تھی آگے میں تھا دفعتاً آگ سی لہرائی تھی آگے میں تھا اسی ٹیبل پہ جہاں بیٹھ کے کھاتے تھے کبھی تو کسی اور کے ساتھ آئی تھی آگے میں تھا رات کھڑکی سے کوئی چیز گری کمرے میں موم بتی سی وہ تھرائی تھی آگے میں تھا زندگی میں تجھے رستے سے اٹھا لایا ہوں تو کسی اور سے ٹکرائی تھی آگے میں تھا پیش رو کوئی سر راہ نجف تھا ہی نہیں پیچھے پیچھے مری مولائی تھی آگے میں تھا

Hindi

ग़ार था ग़ार की तन्हाई थी आगे मैं था दफ़'अतन आग सी लहराई थी आगे मैं था उसी टेबल पे जहाँ बैठ के खाते थे कभी तू किसी और के साथ आई थी आगे मैं था रात खिड़की से कोई चीज़ गिरी कमरे में मोम-बत्ती सी वो थर्राई थी आगे मैं था ज़िंदगी मैं तुझे रस्ते से उठा लाया हूँ तू किसी और से टकराई थी आगे मैं था पेश-रौ कोई सर-ए-राह-ए-नजफ़ था ही नहीं पीछे पीछे मिरी मौलाई थी आगे मैं था

ġhaar thā ġhaar kī tanhā.ī thī aage maiñ thā
Aqeel Abbas
Aqeel Abbas
Aqeel Abbas
poet43 quotes

More by Aqeel Abbas

View all →
Quote
"manzar ki ok se baDi ochhi lapak uThi ham jhaD chuke to peD ki Daali lachak uThi paani ki pesh-raft ne sukhaa bhagaa diyaa baarish ke baad ghaas ki TukDi lahak uThi gori ne paanv raah ke patthar pe rakh diyaa yaani kamar ke zor se gaagar chhalak uThi naddi kaa zor ab koi chhaati pe rok le pusta banaa rahe the ki miTTi sarak uThi puure badan se qaafile harakat mein aa gae raanon mein surkh aab ki saazish bidak uThi gardan ke joD par tire bose ki bastagi ik lams aur kaan ki lau tak damak uThi"
Aqeel AbbasAqeel Abbas

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar