SHAWORDS

galiyon mein aahaTon ke machalne kaa vaqt thaa — Ameer Imam

HomeAmeer ImamGhazal
"galiyon mein aahaTon ke machalne kaa vaqt thaa ik aur shaam raat mein Dhalne kaa vaqt thaa us vaqt phir hamaare qadam laDkhaDaa gae jo vaqt laDkhaDaa ke sanbhalne kaa vaqt thaa aankhon se khvaab raat se taare havaa se tum ik dusre se sab ke nikalne kaa vaqt thaa ik raat darmiyaan rakhi thi jami hui pighli nahin go us ke pighalne kaa vaqt thaa log ek dusre se bichhaDte chale gae vo raaston ke raah badalne kaa vaqt thaa ye to tumhaare khelne khaane ke roz the ye to tumhaare phulne-phalne kaa vaqt thaa"
Urdu

گلیوں میں آہٹوں کے مچلنے کا وقت تھا اک اور شام رات میں ڈھلنے کا وقت تھا اس وقت پھر ہمارے قدم لڑکھڑا گئے جو وقت لڑکھڑا کے سنبھلنے کا وقت تھا آنکھوں سے خواب رات سے تارے ہوا سے تم اک دوسرے سے سب کے نکلنے کا وقت تھا اک رات درمیان رکھی تھی جمی ہوئی پگھلی نہیں گو اس کے پگھلنے کا وقت تھا لوگ ایک دوسرے سے بچھڑتے چلے گئے وہ راستوں کے راہ بدلنے کا وقت تھا یہ تو تمہارے کھیلنے کھانے کے روز تھے یہ تو تمہارے پھولنے پھلنے کا وقت تھا

Hindi

गलियों में आहटों के मचलने का वक़्त था इक और शाम रात में ढलने का वक़्त था उस वक़्त फिर हमारे क़दम लड़खड़ा गए जो वक़्त लड़खड़ा के सँभलने का वक़्त था आँखों से ख़्वाब रात से तारे हवा से तुम इक दूसरे से सब के निकलने का वक़्त था इक रात दरमियान रखी थी जमी हुई पिघली नहीं गो उस के पिघलने का वक़्त था लोग एक दूसरे से बिछड़ते चले गए वो रास्तों के राह बदलने का वक़्त था ये तो तुम्हारे खेलने खाने के रोज़ थे ये तो तुम्हारे फूलने-फलने का वक़्त था

galiyoñ meñ āhaToñ ke machalne kā vaqt thā
Ameer Imam
Ameer Imam
Ameer Imam
poet131 quotes

More by Ameer Imam

View all →
Quote
"koi khushi na koi ranj mustaqil hogaa fanaa ke rang se har rang muttasil hogaa ajab hai ishq ajab-tar hain khvaahishein is ki kabhi kabhi to bichhaDne talak ko dil hogaa badan mein ho to gila kyaa tamaash-bini kaa yahaan to roz tamaashaa-o-aab-o-gil hogaa abhi to aur bhi chehre tumhein pukaareinge abhi vo aur bhi chehron mein muntaqil hogaa ziyaan mazid hai asbaab DhunDhte rahnaa huaa hai jo vo na hone pe mushtamil hogaa tamaam-raat bhaTaktaa phiraa hai saDkon par hui hai subh abhi shahr muzmahil hogaa"
Ameer ImamAmeer Imam
Quote
"ham be-vafaa hain tum ho vafaa-daar khush raho sarkaar khush raho miri sarkaar khush raho le jaao apni zulf ke saae sameT kar ham ko bahut hai saaya-e-divaar khush raho hone pe apne aap ke israar kab kiyaa hone se khud hamein bhi hai inkaar khush raho ham to faqat hain bhiiD baDhaane ke vaaste tam ho binaa-e-raunaq-e-baazaar khush raho tum khush raho ki ab koi khatra nahin tumhein ham ho chuke hain khud mein giraftaar khush raho tum auraton pe ham ne hamesha sitam kiye ham mard hain sadaa ke jafaa-kaar khush raho be-vajh gham kaa Dhong rachaane se faaeda yuun bhi hain sab tumhaare parastaar khush raho insaan bhi ham kharaab hain shaa'ir bhi hain kharaab be-kaar ye ghazal hai ye ash'aar khush raho"
Ameer ImamAmeer Imam
Quote
"hai kaun kis ki zaat ke andar likheinge ham nahr-e-ravaan ko pyaas kaa manzar likheinge ham ye saara shahr aalaa-e-hikmat likhe use khanjar agar hai koi to khanjar likheinge ham ab tum sipaas-naama-e-shamshir likh chuke ab dastaan-e-laasha-e-be-sar likheinge ham rakkhi hui hai donon ki buniyaad ret par sahraa-e-be-karaan ko samundar likheinge ham is shahr-e-be-charaagh ki aandhi na ho udaas tujh ko havaa-e-kucha-e-dil-bar likheinge ham kyaa husn un labon mein jo pyaase nahin rahe sukhe hue labon ko gul-e-tar likheinge ham ham se gunaahgaar bhi us ne nibhaa liye jannat se yuun zamin ko behtar likheinge ham"
Ameer ImamAmeer Imam
Quote
"bahte dariyaaon tak aaeinge uThaa leinge tumhein mere honThon se khabar-daar churaa leinge tumhein jam' ho jaae zaraa aur khamoshi dil mein ham isi dil ki khamoshi se banaa leinge tumhein daa’vedaaron ki yahaan bhiiD lagi hai lekin masnad-e-dil pe bahar-haal biThaa leinge tumhein qatra-e-khun ho to khanjar pe rakheinge tum ko aur aansu ho to palkon pe sajaa leinge tumhein vaqt ke haathon se bachtaa hai yahaan kaun magar sakht hairat hai ki ik roz ye aa leinge tumhein abhi kuchh aur zamaane pe 'ayaan ho jaaein dekhnaa saare zamaane se chhupaa leinge tumhein tum bhi ik roz kisi aur mein paa loge hamein ham bhi ik roz kisi aur mein paa leinge tumhein"
Ameer ImamAmeer Imam
Quote
"rang tamaam bhar chuki subh-ba-khair zindagi mujh mein qazaa nikhar chuki subh-ba-khair zindagi tere bhi zakhm bhar diye aur havaa-e-vaqt ab mere bhi zakhm bhar chuki subh-ba-khair zindagi dil mein kisi khayaal ki raat havaa chali bahut ab vo havaa Thahar chuki subh-ba-khair zindagi bujh gae sab charaagh khud qissa-e-maa tamaam-shud pahli kiran utar chuki subh-ba-khair zindagi aaina-e-khalaa mein ab main bhi bahut sanvar chukaa tu bhi bahut sanvar chuki subh-ba-khair zindagi raat nahin guzar saki mujh se jo ek 'umr tak raat vo ab guzar chuki subh-ba-khair zindagi yaad nahin hai shakl jo ye to usi ki shakl hai shakl tiri ubhar chuki subh-ba-khair zindagi"
Ameer ImamAmeer Imam
Quote
"rudaad-e-jaan kahein jo zaraa dam mile hamein us dil ke raaste mein kai kham mile hamein labbaik pahle ham ne kahaa thaa rasul-e-husn ho kaar-zaar-e-ishq to parcham mile hamein aae ik aisaa zakhm jo bharnaa na ho kabhi yaani har ek zakhm kaa marham mile hamein din mein jahaan saraab mile the hamein vahaan aai jo raat qatra-e-shabnam mile hamein tum jaise aur log bhi honge jahaan mein ye baat aur hai ki bahut kam mile hamein jab saath the to mil ke bhi milnaa na ho sakaa jab se bichhaD gae ho to paiham mile hamein aur phir hamein bhi khud pe bahut pyaar aa gayaa us ki taraf khaDe hue jab ham mile hamein jo umr-bhar kaa saath nibhaataa na mil sakaa vaise to zindagi mein bahut gham mile hamein"
Ameer ImamAmeer Imam

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud