SHAWORDS

gham-e-'aziz koi to 'kunaal' hogaa mujhe — Kunal Barkade

HomeKunal BarkadeGhazal
"gham-e-'aziz koi to 'kunaal' hogaa mujhe bas ek baar huaa to malaal hogaa mujhe banaaun naav to meri jagah bachaa lenaa ye mat samajhnaa ki meraa khayaal hogaa mujhe usi jagah usi taarikh us Thikaane par ye teraa gham hai jo har ek saal hogaa mujhe main shahr aag lagaane chalun to Darnaa mat tiri salaamati kaa to khayaal hogaa mujhe ghaDi ke kaanTe main ulTe ghumaataa thaa ki 'kunaal' yaqin thaa guzraa samay bhi bahaal hogaa mujhe"
Urdu

غم عزیز کوئی تو کنالؔ ہوگا مجھے بس ایک بار ہوا تو ملال ہوگا مجھے بناؤں ناؤ تو میری جگہ بچا لینا یہ مت سمجھنا کہ میرا خیال ہوگا مجھے اسی جگہ اسی تاریخ اس ٹھکانے پر یہ تیرا غم ہے جو ہر ایک سال ہوگا مجھے میں شہر آگ لگانے چلوں تو ڈرنا مت تری سلامتی کا تو خیال ہوگا مجھے گھڑی کے کانٹے میں الٹے گھماتا تھا کہ کنالؔ یقیں تھا گزرا سمے بھی بحال ہوگا مجھے

Hindi

ग़म-ए-'अज़ीज़ कोई तो 'कुनाल' होगा मुझे बस एक बार हुआ तो मलाल होगा मुझे बनाऊँ नाव तो मेरी जगह बचा लेना ये मत समझना कि मेरा ख़याल होगा मुझे उसी जगह उसी तारीख़ उस ठिकाने पर ये तेरा ग़म है जो हर एक साल होगा मुझे मैं शहर आग लगाने चलूँ तो डरना मत तिरी सलामती का तो ख़याल होगा मुझे घड़ी के काँटे मैं उल्टे घुमाता था कि 'कुनाल' यक़ीं था गुज़रा समय भी बहाल होगा मुझे

ġham-e-'azīz koī to 'kunāl' hogā mujhe
Kunal Barkade
Kunal Barkade
Kunal Barkade
poet15 quotes

More by Kunal Barkade

View all →
Quote
"ulajh kar khud mein hi ik din ye dhaagaa Tuut jaaegaa zabardasti nibhaane se bhi rishta Tuut jaaegaa huaa kyaa thaa hamaare saath kahne mein hai jokhim ye bataate vaqt phir se dil dubaara Tuut jaaegaa pareshaan gham se ho kar khud-kushi hogi kisi ki aur kabhi gham khud-kushi kar leinge itnaa Tuut jaaegaa nae kirdaar ki ho ibtidaa bas is liye ik din ki shaakh-e-zindagi se koi pattaa Tuut jaaegaa hazaaron dil hain be-rahmi se toDe jis se ai qismat hamaare dil se mil kar vo hathauDaa TuuT jaaegaa"
Kunal BarkadeKunal Barkade
Quote
"dil ke ehsaas mein bhi jaan to ho sakti hai gar banaaein ghazal insaan to ho sakti hai ye laDaai hai mohabbat ki jo nafrat se yahaan ik qalam jang kaa saamaan to ho sakti hai ungliyaan meri musalsal jahaan chalti jaaein teri ye zulf vo maidaan to ho sakti hai na ho aabaad magar husn baDhaane ke liye shahr-e-dil ki gali viraan to ho sakti hai auron ke naam se bhi saahib-e-divaan hon par mere me'yaar ki pahchaan to ho sakti hai shahriyat milni nahin pyaar ko us ke dil mein kuchh dinon ke liye mehmaan to ho sakti hai dard ki mere davaa to na banaai kisi ne kuchh madad 'mir' kaa divaan to ho sakti hai"
Kunal BarkadeKunal Barkade

More on Maa

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud