SHAWORDS

ghubaar-e-raah mein samt-e-safar usi se mili — Khan Ateeq Afridi

"ghubaar-e-raah mein samt-e-safar usi se mili vasila koi ho manzil magar usi se mili dil-o-nigaah ko aafaaqiyat bhi di us ne mire hunar ko ziyaa-e-hunar usi se mili na chhoDaa haath se daamaan-e-'azmat-e-aslaaf mujhe bulandi-e-zauq-e-nazar usi se mili bharosaa mujh ko thaa maan baap ki du'aaon par yaqin kijiye dastaar-e-sar usi se mili jise sharik-e-gham-e-zindagi banaa na sake tamaam 'umr ko ye chashm-e-tar usi se mili tamaam raat guzaari khayaal mein jis ke sahar hui to hamaari nazar usi se mili bulandiyaan mire qadmon ko chumti hain 'atiq' magar ye quvvat-e-parvaaz-e-par usi se mili"
Urdu

غبار راہ میں سمت سفر اسی سے ملی وسیلہ کوئی ہو منزل مگر اسی سے ملی دل و نگاہ کو آفاقیت بھی دی اس نے مرے ہنر کو ضیائے ہنر اسی سے ملی نہ چھوڑا ہاتھ سے دامان عظمت اسلاف مجھے بلندیٔ ذوق نظر اسی سے ملی بھروسا مجھ کو تھا ماں باپ کی دعاؤں پر یقین کیجیے دستار سر اسی سے ملی جسے شریک غم زندگی بنا نہ سکے تمام عمر کو یہ چشم تر اسی سے ملی تمام رات گزاری خیال میں جس کے سحر ہوئی تو ہماری نظر اسی سے ملی بلندیاں مرے قدموں کو چومتی ہیں عتیقؔ مگر یہ قوت پرواز پر اسی سے ملی

Hindi

ग़ुबार-ए-राह में सम्त-ए-सफ़र उसी से मिली वसीला कोई हो मंज़िल मगर उसी से मिली दिल-ओ-निगाह को आफ़ाक़ियत भी दी उस ने मिरे हुनर को ज़िया-ए-हुनर उसी से मिली न छोड़ा हाथ से दामान-ए-'अज़्मत-ए-अस्लाफ़ मुझे बुलंदी-ए-ज़ौक़-ए-नज़र उसी से मिली भरोसा मुझ को था माँ बाप की दु'आओं पर यक़ीन कीजिए दस्तार-ए-सर उसी से मिली जिसे शरीक-ए-ग़म-ए-ज़िंदगी बना न सके तमाम 'उम्र को ये चश्म-ए-तर उसी से मिली तमाम रात गुज़ारी ख़याल में जिस के सहर हुई तो हमारी नज़र उसी से मिली बुलंदियाँ मिरे क़दमों को चूमती हैं 'अतीक़' मगर ये क़ुव्वत-ए-पर्वाज़-ए-पर उसी से मिली

ġhubār-e-rāh meñ samt-e-safar usī se milī
Khan Ateeq Afridi
Khan Ateeq Afridi
Khan Ateeq Afridi
poet13 quotes

More by Khan Ateeq Afridi

View all →
Quote
"baraae-naam sahi saaebaan nahin miltaa khulus tujh saa kahin mujh ko maan nahin miltaa pasand hain mujhe ab tak nasihatein us ki ki baap jaisaa koi mehrbaan nahin miltaa ta'ajjub un ko hai kyon meri khud-kalaami par ki mujh ko apne sivaa raaz-daan nahin miltaa paron mein quvvat-e-parvaaz hi na ho jis ke vo laakh chaahe use aasmaan nahin miltaa nigaahein DhunDhti rahti hain us ke lahje ko ghafur jaisaa koi khush-bayaan nahin miltaa tamaam ‘aalam-e-islaam muntazir hai 'atiq' ho jis ke siine mein 'azm-e-javaan nahin miltaa"
Khan Ateeq AfridiKhan Ateeq Afridi
Quote
"ghar mein rahun to apni hi tanhaaiyaan Dasein niklun jo shahr mein to shanaasaaiyaan Dasein vo loch vo shabaab vo andaaz-e-dilkashi jaaun jab us ke paas to angDaaiyaan Dasein vo paas ho to subh-e-bahaaraan hai zindagi vo duur ho to mujh ko ye angnaaiyaan Dasein tark-e-ta'alluqaat kaa ehsaas jaag jaae aa aa ke yaad us ki jab achhaaiyaan Dasein gumnaam rah ke jin ki du'aaein thiin mere saath shohrat mili mujhe to vo parchhaaiyaan Dasein us se nazar mile to ubhar aae dil ki choT vo pher le nigaah to purvaaiyaan Dasein dil TuTne ke raaz se vaaqif nahin koi phir bhi qabile vaalon ki daanaaiyaan Dasein kuchh log be-hisi ke samundar mein gharq hain mujh ko shu'ur-o-fikr ki gahraaiyaan Dasein jab apnaa khuun bhi na ho apnaa to phir 'atiq' mujh ko mire khulus ki rusvaaiyaan Dasein"
Khan Ateeq AfridiKhan Ateeq Afridi
Quote
"maan mujhe apni du'aaon ke asar mein rakhnaa naam meraa sar-e-fihrist-e-hunar mein rakhnaa maanaa dushvaar salibon kaa safar hotaa hai phir bhi tum khud ko salibon ke safar mein rakhnaa chaahte ho jo numaaish na ho daagh-e-dil ki siikh lo ghar ki har ik baat ko ghar mein rakhnaa dushmani jaal bichhaae hue baiThi hai yahaan kitnaa dushvaar hai chehron ko nazar mein rakhnaa jab bhi saae ki zarurat kaa ho ehsaas tumhein apni aankhon ko faqat sabz shajar mein rakhnaa sar-bulandi kaa agar shauq hai dil mein yaaro kuchh na kuchh taaqat-e-parvaaz bhi par mein rakhnaa shaa'iri ke liye ab ye bhi zaruri hai 'atiq' qaum kaa dard bhi tum apne jigar mein rakhnaa"
Khan Ateeq AfridiKhan Ateeq Afridi
Quote
"ye shohraton ke safar bhi 'ajib hote hain ki gham-gusaar-e-mohabbat raqib hote hain jo kaahili mein qanaa'at nasib hote hain vahi zamaane mein dukh ke naqib hote hain talaash-e-dard ho jin ko sukun-e-dil ke liye vo ahl-e-gham bhi 'ajib-o-gharib hote hain jo dil mein jazba-e-ikhlaas hi nahin rakhte na jaane kyon vahi mere habib hote hain hamesha sach ki taraazu mein khud ko jo tolein kisi bhi vaqt vo nazr-e-salib hote hain jo vaaldain ki khidmat se mustafiz na hon vo bachche kitne baDe kam-nasib hote hain kuchh aise log bhi hote hain zindagi mein 'atiq' jo duur hote hue bhi qarib hote hain"
Khan Ateeq AfridiKhan Ateeq Afridi
Quote
"apne ghar se us ke ghar kaa faasla thaa mukhtasar zindagi darkaar thi go raasta thaa mukhtasar zindagi kaa zindagi se raabta thaa mukhtasar us ne dekhaa main ne dekhaa vaaqi'a thaa mukhtasar aap bhi apne kiye par kuchh pashemaan se lage main bhi ye sochaa kiyaa ik haadisa thaa mukhtasar aisi raatein aaj bhi aankhon mein kaTti hain miri zindagi kaa jin se shaayad vaasta thaa mukhtasar mere maazi kaa ta'alluq mere mustaqbil ke saath ik haqiqat thi magar ik faasla thaa mukhtasar ik haqiqat thaa magar huun aaj be-taa’bir khvaab ab kahaani huun kabhi ik vaaqi'a thaa mukhtasar aaj un aankhon ne mere dil mein phir jhaankaa 'atiq' aaj un aankhon mein phir ik hausla thaa mukhtasar"
Khan Ateeq AfridiKhan Ateeq Afridi
Quote
"kab samundar huun kahaan dariyaa huun main apne hi kirdaar mein Duubaa huun main meri fitrat hai sadaaqat ki amiin sach ko sach kahne se kab jhijkaa huun main raat din kyon ho ta'aaqub mein mire chhu na paaoge bahut unchaa huun main jis kahaani kaa main ik kirdaar thaa vo kahaani ab samajh paayaa huun main saari duniyaa ik taraf main ik taraf lo kharido kis qadar sastaa huun main aaj bhi insaaniyat ke naam par mil ke ik insaan se royaa huun main toDnaa yuun mujh ko mushkil hai 'atiq' sach ki unchi shaakh pe phaltaa huun main"
Khan Ateeq AfridiKhan Ateeq Afridi

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar