SHAWORDS

haadse umr-bhar aazmaate rahe — Devesh Dixit Dev

"haadse umr-bhar aazmaate rahe choT khaa khaa ke ham muskuraate rahe yuun guzartaa rahaa zindagi kaa safar bin tumhaare qadam Dagmagaate rahe aandhiyon se adaavat rahi umr-bhar ham havaaon mein dipak jalaate rahe hajj-o-tirath ko jaane se kyaa faaeda gar buzurgon kaa dil ham dukhaate rahe baanT degi siyaasat hamein do taraf ham jo mandir aur masjid banaate rahe 'dev' piine kaa jis ko saliqa na thaa mai-kade un ki qismat mein aate rahe"
Urdu

حادثے عمر بھر آزماتے رہے چوٹ کھا کھا کے ہم مسکراتے رہے یوں گزرتا رہا زندگی کا سفر بن تمہارے قدم ڈگمگاتے رہے آندھیوں سے عداوت رہی عمر بھر ہم ہواؤں میں دیپک جلاتے رہے حج و تیرتھ کو جانے سے کیا فائدہ گر بزرگوں کا دل ہم دکھاتے رہے بانٹ دے گی سیاست ہمیں دو طرف ہم جو مندر اور مسجد بناتے رہے دیوؔ پینے کا جس کو سلیقہ نہ تھا میکدے ان کی قسمت میں آتے رہے

Hindi

हादसे उम्र-भर आज़माते रहे चोट खा खा के हम मुस्कुराते रहे यूँ गुज़रता रहा ज़िंदगी का सफ़र बिन तुम्हारे क़दम डगमगाते रहे आंधियों से अदावत रही उम्र-भर हम हवाओं में दीपक जलाते रहे हज्ज-ओ-तीरथ को जाने से क्या फ़ाएदा गर बुज़ुर्गों का दिल हम दुखाते रहे बाँट देगी सियासत हमें दो तरफ़ हम जो मंदिर और मस्जिद बनाते रहे 'देव' पीने का जिस को सलीक़ा न था मय-कदे उन की क़िस्मत में आते रहे

hādse umr-bhar āzmāte rahe
Devesh Dixit Dev
Devesh Dixit Dev
Devesh Dixit Dev
poet14 quotes

More by Devesh Dixit Dev

View all →
Quote
"andar bilkul kaDve lekin baahar miThe hote hain unche qad ke log yahaan par aksar niche hote hain be-shak sehat ko ghaatak hon koi farq nahin paDtaa baazaaron mein vo hi bikte phal jo miThe hote hain dhire dhire jaam pilaa ai saaqi aisi jaldi kyon sab ke apne piine ke kuchh taur-tariqe hote hain jin ke andar hotaa hai kuchh koi shor nahin karte lekin bajne vaale bartan aksar riite hote hain kaanTe jaisi fitrat hoti saare aise logon ki munh ke miThe chehre se jo phuul sarikhe hote hain"
Devesh Dixit DevDevesh Dixit Dev
Quote
"zamaane mein kisi se ab vafaaein kaun kartaa hai yahaan sab zakhm dete hain davaaein kaun kartaa hai gila-shikva nahin koi magar sab kuchh samajhtaa huun bujhaane ko diye mere havaaein kaun kartaa hai luTaa ho kaarvaan jis kaa ujaalon ke ishaaron se andheri raat chalne ki khataaein kaun kartaa hai yahaan insaan ki chhoDo parinde bhi samajhte hain mohabbat kaun kartaa hai jafaaein kaun kartaa hai kisi se bhuul kar apnaa kabhi mat dard-e-dil kahnaa yahaan maan ke alaava ab duaaein kaun kartaa hai"
Devesh Dixit DevDevesh Dixit Dev
Quote
"ye aankhein raah takti hain tumhein ye man bulaataa hai chale aao tumhein suunaa miraa aangan bulaataa hai barasti roz hain aankhein ye baarish hi nahin rukti tumhein bhige hue ashkon kaa ye daaman bulaataa hai jahaan peingein baDhaate the shajar vo yaad karte hain vo jhule puchhte hain ab tumhein saavan bulaataa hai gulistaan jab se ujDaa hai bahaarein bhi nahin lauTin fazaa aavaaz deti hai tumhein upvan bulaataa hai dar-o-divaar aur raahein sabhi sadme mein rahte hain sanvarte the jahaan pahle vahi darpan bulaataa hai chale aao ki ab tanhaaiyaan jiine nahin detin tumhein ujDe hue dil kaa ye sunaa-pan bulaataa hai"
Devesh Dixit DevDevesh Dixit Dev
Quote
"bahut chaahaa ki kuchh kah dein zabaan phir bhi nahin kholi kisi ke saamne dil ki kabhi 'arzi nahin kholi tumhaari yaad aai to uDegi niind raaton ki isi Dar se zamaana ho gayaa khiDki nahin kholi hamaari bebasi paDh kar gile sab duur ho jaate magar afsos tum ne aakhiri chiTThi nahin kholi kamaanaa vyarth hai us kaa amiri vyarth hai us ki munaasib vaqt par jis ne agar muTThi nahin kholi bharosa uTh gayaa jab se yahaan chaaragaron se phir kabhi zakhmon se ham ne bhuul kar paTTi nahin kholi vahi ab dam jo bhartaa hai samundar naap lene kaa kabhi langar se us ne aaj tak kashti nahin kholi hazaaron parchiyaan yaadon ki hain dil ki tijori mein magar kanjus man ne ek bhi parchi nahin kholi"
Devesh Dixit DevDevesh Dixit Dev

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar