"mire shauq-e-justuju kaa kise e'tibaar hotaa sar-e-raah manzilon tak na agar ghubaar hotaa main tujhe khudaa samajh kar na gunaahgaar hotaa agar ek be-niyaazi hi tiraa ashaar hotaa jo sitam-zadon kaa yaa-rab koi gham-gusaar hotaa to gham-e-hayaat itnaa na dilon pe baar hotaa miri zindagi mein shaamil jo na teraa pyaar hotaa to nashaat-e-do-jahaan bhi mujhe naagavaar hotaa yahi mahr o maah o anjum ko gila hai mujh se yaa-rab ki unhein bhi chain miltaa jo mujhe qaraar hotaa na sukun-e-dil ki chaahat mein taDap 'adib' itnaa kisi aur ko tu miltaa jo kahin qaraar hotaa"
ham ne armaan-e-bahaaraan na nikalte dekhaa — Adeeb Saharanpuri
"ham ne armaan-e-bahaaraan na nikalte dekhaa baagh ko baad-e-bahaari se bhi jalte dekhaa iltifaat-e-nigah-e-naaz se ho kar mahrum ham ne kis kis ko nigaahein na badalte dekhaa jaam mein 'aks-e-jamaal-e-rukh-e-saaqi thaa ki aaj chaandni raat mein khurshid nikalte dekhaa ham ne andaaz vafaaon ke hazaaron badle rang bedaad-garon kaa na badalte dekhaa khuld bhi jis ke na hone se jahannum hoti shaikh saahab ko usi chiiz se jalte dekhaa faaslon ke koi maa'naa hi mohabbat mein nahin chaand ko bahr ke pahlu mein machalte dekhaa ham se puchho gham-e-mahbub ki lazzat ki 'adib' ham ne is zahr ko taasir badalte dekhaa"
ہم نے ارمان بہاراں نہ نکلتے دیکھا باغ کو باد بہاری سے بھی جلتے دیکھا التفات نگہ ناز سے ہو کر محروم ہم نے کس کس کو نگاہیں نہ بدلتے دیکھا جام میں عکس جمال رخ ساقی تھا کہ آج چاندنی رات میں خورشید نکلتے دیکھا ہم نے انداز وفاؤں کے ہزاروں بدلے رنگ بیداد گروں کا نہ بدلتے دیکھا خلد بھی جس کے نہ ہونے سے جہنم ہوتی شیخ صاحب کو اسی چیز سے جلتے دیکھا فاصلوں کے کوئی معنی ہی محبت میں نہیں چاند کو بحر کے پہلو میں مچلتے دیکھا ہم سے پوچھو غم محبوب کی لذت کہ ادیبؔ ہم نے اس زہر کو تاثیر بدلتے دیکھا
हम ने अरमान-ए-बहाराँ न निकलते देखा बाग़ को बाद-ए-बहारी से भी जलते देखा इल्तिफ़ात-ए-निगह-ए-नाज़ से हो कर महरूम हम ने किस किस को निगाहें न बदलते देखा जाम में 'अक्स-ए-जमाल-ए-रुख़-ए-साक़ी था कि आज चाँदनी रात में ख़ुर्शीद निकलते देखा हम ने अंदाज़ वफ़ाओं के हज़ारों बदले रंग बेदाद-गरों का न बदलते देखा ख़ुल्द भी जिस के न होने से जहन्नुम होती शैख़ साहब को उसी चीज़ से जलते देखा फ़ासलों के कोई मा'ना ही मोहब्बत में नहीं चाँद को बहर के पहलू में मचलते देखा हम से पूछो ग़म-ए-महबूब की लज़्ज़त कि 'अदीब' हम ने इस ज़हर को तासीर बदलते देखा
More by Adeeb Saharanpuri
View all →"ik khalish ko haasil-e-umr-e-ravaan rahne diyaa jaan kar ham ne unhein naa-mehrbaan rahne diyaa aarzu-e-qurb bhi bakhshi dilon ko ishq ne faasla bhi mere un ke darmiyaan rahne diyaa kitni divaaron ke saae haath phailaate rahe ishq ne lekin hamein be-khaanumaan rahne diyaa apne apne hausle apni talab ki baat hai chun liyaa ham ne tumhein saaraa jahaan rahne diyaa kaun is tarz-e-jafaa-e-aasmaan ki daad de baagh saaraa phunk Daalaa aashiyaan rahne diyaa ye bhi kyaa jiine mein jiinaa hai baghair un ke 'adib' shama gul kar di gai baaqi dhuaan rahne diyaa"
"bakhshe phir us nigaah ne armaan nae nae mahsus ho rahe hain dil o jaan nae nae yuun qaid-e-zindagi ne rakhaa muztarib hamein jaise hue hon daakhil-e-zindaan nae nae kis kis se is amaanat-e-din ko bachaaiye milte hain roz dushman-e-imaan nae nae raahat ki justuju mein khushi ki talaash mein gham paalti hai umr-e-gurezaan nae nae masjid mein aur zikr buton kaa janaab-e-shaikh shaayad hue hain aap musalmaan nae nae dam bhar dam-e-ajal ko na haasil huaa faraagh hote rahe charaagh farozaan nae nae khaana-kharaab ham se jahaan mein kahaan 'adib' aabaad kar rahe hain bayaabaan nae nae"
"manzilein na bhuleinge raah-rau bhaTakne se shauq ko taalluq hi kab hai paanv thakne se zindagi ke rishte bhi duur duur tak nikle ruuh jaag uThti hai phuul ke mahakne se kitne tiir khaae hain kitne gham uThaae hain baaz hi nahin aataa dil magar dhaDakne se ek saaghar-e-labrez aur surat-e-suqraat jaavedaan nahin hote sirf zahr chakhne se kaar-e-aashiyaan-bandi aur ho gayaa mahbub jauhar-e-talab chamkaa bijliyaan kaDakne se garm ho ke pachhtaae baad-e-tund ke jhonke raushni charaaghon ki baDh gai bhaDakne se ai adib-e-pur-goi farz to nahin koi kyaa bari hai khaamoshi ol-fol bakne se"
"nahin kisi ki tavajjoh khud-aagahi ki taraf koi kisi ki taraf hai koi kisi ki taraf tumhaaraa jalva-e-maasum dekh le ik baar khayaal jis kaa na jaataa ho bandagi ki taraf mizaaj-e-shaikh-o-barhaman ki barhami maalum ki ab hayaat kaa rukh hai khud-aagahi ki taraf nazar vo log ujaale mein khud na aae kabhi bulaa rahe hain jo duniyaa ko raushni ki taraf jataa rahe hain hamin ko na dekhnaa apnaa vo dekh dekh ke mahfil mein har kisi ki taraf hazaar baar iraada kiye baghair bhi ham chale hain uTh ke to aksar gae usi ki taraf buton ne munh na lagaayaa 'adib' ko shaayad jhuke hue hain jabhi to ye shaikh-ji ki taraf"
"vo pau phaTi vo kiran se kiran mein aag lagi vo shab ki zulf-e-shikan-dar-shikan mein aag lagi sulag uThi vo ridaa-e-nujum-o-kaahkashaan vo dekh daaman-e-charkh-e-kuhan mein aag lagi nashaat-e-garmi-e-mahfil thi jis ki taabaani isi charaagh se kyuun anjuman mein aag lagi hazaar shams-o-qamar bujh gae pa ye na bujhi ye kis diye se patangon ke man mein aag lagi tamaam umr ke aansu use bujhaa na sake jo dil se taa-ba-jigar dam-zadan mein aag lagi bhulaa sakegi na duniyaa ye haadisa ki 'adib' charaagh-e-laala-o-gul se chaman mein aag lagi"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"kyaa manzil-e-gham simaT gai hai ik aah mein raah kaT gai hai phir saamne hai pahaaD si raat phir shaam se niind uchaT gai hai pahlu mein ye kaisaa dard uThaa hai ye kaun si raah kaT gai hai aap aae nahin to maut kambakht aa aa ke palaT palaT gai hai uTh uTh ke mariz-e-gham ne puchhaa kyaa hijr ki raat kaT gai hai phir 'saif' havaa-e-yaad-e-rafta har gham ki naqaab ulaT gai hai"