"juun fauj ki maftuh ho zanjir mein aave alfaaz kaa lashkar miri tahrir mein aave ik khaas inaayat hai ki dete nahin mujh ko vo dard ki jo panja-e-tadbir mein aave yaksar rag-e-mansur ki himmat se pare hai vo ilm ki ik arsa-e-taqtir mein aave jo chaahe bhare main ne musavvir se kahaa thaa kuchh rang-e-mohabbat miri tasvir mein aave vo baat khushaa detaa hai dil jis ki gavaahi ye kyaa ki kaho agli asaatir mein aave jo hukm tumhaaraa hai vo vaajib hai bilaa-shak jo arz hamaari hai vo taazir mein aave hai garche bahut mere liye khvaab ki duniyaa kuchh aur maza khvaab ki taabir mein aave jis paas mudaavaa nahin kuchh aab-o-havaa kaa laazim hai mire halqa-e-taqrir mein aave mumkin nahin aadam ke liye shaan-e-khudaai haan yuun ki magar aaya-e-tathir mein aave"
har ghaDi fikr-e-raasti kyaa hai — Akhtar Saeed
"har ghaDi fikr-e-raasti kyaa hai ik musibat hai zindagi kyaa hai ghup andheraa hai mere chaaron-or is mein thoDi si raushni kyaa hai bahut uljhaa huaa hisaab hai ye meraa khaataa hai kyaa bahi kyaa hai naam hain nafs ki parastish ke dosti kyaa hai dushmani kyaa hai shahr mein rah ke dekhiye ik din duur jangal mein raahebi kyaa hai saari baaton kaa main musannif huun mere aage likhi suni kyaa hai main ne dekhaa hai khuun ki shamon se gum-rahi kyaa hai rah-ravi kyaa hai ahd-e-piri mein apni lauh-e-zamir saaf ho gar to khusravi kyaa hai ye tazaadaat ye saraab ye dil zindagi kyaa hai aadmi kyaa hai band ashkaal mein muqayyad huun aql kis kaam aagahi kyaa hai sochtaa huun to kuchh nahin khultaa jaantaa huun magar badi kyaa hai dil mein vasvaas yaa-ali kyuun hai sar-e-mahjub yaa-nabi kyaa hai"
ہر گھڑی فکر راستی کیا ہے اک مصیبت ہے زندگی کیا ہے گھپ اندھیرا ہے میرے چاروں اور اس میں تھوڑی سی روشنی کیا ہے بہت الجھا ہوا حساب ہے یہ میرا کھاتا ہے کیا بہی کیا ہے نام ہیں نفس کی پرستش کے دوستی کیا ہے دشمنی کیا ہے شہر میں رہ کے دیکھیے اک دن دور جنگل میں راہبی کیا ہے ساری باتوں کا میں مصنف ہوں میرے آگے لکھی سنی کیا ہے میں نے دیکھا ہے خوں کی شمعوں سے گم رہی کیا ہے رہروی کیا ہے عہد پیری میں اپنی لوح ضمیر صاف ہو گر تو خسروی کیا ہے یہ تضادات یہ سراب یہ دل زندگی کیا ہے آدمی کیا ہے بند اشکال میں مقید ہوں عقل کس کام آگہی کیا ہے سوچتا ہوں تو کچھ نہیں کھلتا جانتا ہوں مگر بدی کیا ہے دل میں وسواس یا علیؑ کیوں ہے سر محجوب یا نبی کیا ہے
हर घड़ी फ़िक्र-ए-रास्ती क्या है इक मुसीबत है ज़िंदगी क्या है घुप अंधेरा है मेरे चारों-ओर इस में थोड़ी सी रौशनी क्या है बहुत उलझा हुआ हिसाब है ये मेरा खाता है क्या बही क्या है नाम हैं नफ़्स की परस्तिश के दोस्ती क्या है दुश्मनी क्या है शहर में रह के देखिए इक दिन दूर जंगल में राहेबी क्या है सारी बातों का मैं मुसन्निफ़ हूँ मेरे आगे लिखी सुनी क्या है मैं ने देखा है ख़ूँ की शम्ओं' से गुम-रही क्या है रह-रवी क्या है अहद-ए-पीरी में अपनी लौह-ए-ज़मीर साफ़ हो गर तो ख़ुसरवी क्या है ये तज़ादात ये सराब ये दिल ज़िंदगी क्या है आदमी क्या है बंद अश्काल में मुक़य्यद हूँ अक़्ल किस काम आगही क्या है सोचता हूँ तो कुछ नहीं खुलता जानता हूँ मगर बदी क्या है दिल में वसवास या-अली क्यूँ है सर-ए-महजूब या-नबी क्या है

More by Akhtar Saeed
View all →"khubi-e-tarz-e-maqaalaat se kyaa hotaa hai baat karte rahe ham baat se kyaa hotaa hai raat kaT jaae to phir raat chali aaegi raat kaT jaaegi ik raat se kyaa hotaa hai kisi jaanib se javaab aae to kuchh baat chale kaavish-e-husn-e-savaalaat se kyaa hotaa hai jab ki taqtir-e-rag-e-jaan se bandhi hai taqdir be-khabar zikr-o-munaajaat se kyaa hotaa hai daan diije ki mire gham kaa mudaavaa hove ranj hotaa hai hisaabaat se kyaa hotaa hai dil ki vusat se hai aasaani-e-anfaas vale vusat-e-sahn-e-mahallaat se kyaa hotaa hai saamne aao kisi roz to kuchh baat karein umr-bhar hall-e-muammaat se kyaa hotaa hai zaat hi mazhar-e-meaar-e-haq-o-baatil hai vo ghalat kahte hain ki zaat se kyaa hotaa hai jaan nikal jaaegi to faisla deinge che khuub saahibo aisi mukaafaat se kyaa hotaa hai"
"hamaare paas hai hikmat na raaz kyaa kiije sivaae dard-e-dil-e-jaan-gudaaz kyaa kiije inaayatein hain agarche hazaar-haa lekin bane na baat to banda-navaaz kyaa kiije na zarb-o-taar se rishta na dil-fareb-e-dam mire khayaal ko aalam hai saaz kyaa kiije ze-ru-e-fiqh jo sab se ziyaada hai maatub hamaari us se bhi hai saaz-baaz kyaa kiije jo jaante hain nahin jaante na jaane hain jo hai ayaan yahaan vo bhi hai raaz kyaa kiije jahaan guzaarish-e-ahvaal par hon taazirein sivaae jurat-e-arz-e-niyaaz kyaa kiije khulaa ik umr ki koshish se ye ki likkhaa hai hamaare naam nasheb-o-faraaz kyaa kiije buraa ho lazzat-e-takhil kaa ki rahti hai haqiqaton mein talaash-e-majaaz kyaa kiije hazaar dard hai aur jaan-e-naa-tavaan meri ilaaj hai na gale kaa javaaz kyaa kiije"
"daanaa hue buzurg hue rahnumaa hue vo din ki ham the sham-e-majaalis havaa hue un ko nahin dimaagh-e-talazzuz jahaan mein jo ibtidaa se vaqf-e-gham-e-intihaa hue khurshed ki nigaah se shabnam hai mushtahar vo aashnaa hue hain to sab aashnaa hue manzil hai shahryaari-e-aalam to dekhnaa is raah mein hazaaron qabile fanaa hue had se ziyaada ham ne khushaamad buton ki ki ye log baDhte baDhte bil-aakhir khudaa hue is kaa bhi kuchh hisaab kareinge ba-roz-e-hashr naale azal se kitne sipurd-e-sabaa hue karte rahe huzur pe takiya akhir tak ham aasare ke hone se be-aasraa hue kis din hamaaraa hirs-o-havaa se bari thaa dil kis roz ham se apne farize adaa hue"
"be-chaargi-e-dosh hai aur baar-e-garaan hai izhaar pe paabandi hai aur munh mein zabaan hai hotaa hai yahaan roz mire dard kaa saudaa ai tegh-ba-kaf roz-e-mukaafaat kahaan hai aazaad karo khuun ko baazaar mein laao sadiyon se ye mahkum ragon hi mein ravaan hai haan rang-e-bahaaraan hai magar us ke lahu se jo dast-ba-dil mohr-ba-lab dard-ba-jaan hai har samt hai baazaar khulaa hirs-o-havas kaa har shahr mein har kuche mein vaaiz ki dukaan hai kal kis ko zabaan band karoge zaraa socho kal dekhoge ham ko ki zabaan hai na dahaan hai kis shahr-e-khamoshaan mein chale aae hain ham log ne zor-e-sinaan hai na kahin shor-e-fughaan hai har dard ki had hoti hai yuun lagtaa hai jaise is dard kaa koi na zamaan hai na makaan hai"
"miri nigaah mein hai khaak sim-o-zar kaa fusun subut-e-moajiza-e-raftagaan-e-aalam huun diyaa hai mujh ko magar be-surur hangaama milaa hai mujh ko magar vaqf-e-iztiraab-e-sukun na chaand mein hai chamak apni aur na shabnam mein karun to kis kaa zamaane mein e'tibaar karun jo dil mein baat hai alfaaz mein nahin aati so ek baat hai dil ki lagi kahun na kahun sazaa hai meri raho us dayaar mein ki jahaan garaan hai aab-e-musaffaa magar hai arzaan khuun savaal-e-aql vahi hai javaab-e-jehl vahi hazaar baar karun das hazaar baar sunun khafaa hai rang-e-gul-o-mauja-e-sabaa mujh se ki baandhtaa huun dil-e-be-qaraar kaa mazmun mujhe to apne pe ik lamha e'tibaar nahin nigaar-e-dahr tujhe garche baa-vafaa samjhun hazaar raaste pinhaan hain reg-e-sahraa mein jo dam mein dam ho to is dasht ki havaa dekhun khulaa hai aal-e-mohammad ke faiz se mujh par ki aadmi ko bhi hai ikhtiyaar-e-kun-fayakun buland baad-e-shahaadat bhi hai ye nok-e-sinaan sar-e-imaam kisi haal bhi nahin hai nigun"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"