SHAWORDS

hijrat karo to rishta-o-saamaan chhoD kar — Ehya Bhojpuri

HomeEhya BhojpuriGhazal
"hijrat karo to rishta-o-saamaan chhoD kar varna na jaao tum kabhi maidaan chhoD kar yuun to laDaai jhagDe ki aadat nahin mujhe phir bhi ghalat kiyaa thaa garebaan chhoD kar ab koi milne-julne ko aataa nahin hai ghar main bhi huun band kamre mein daalaan chhoD kar achchhe bure se paak yahaan koi shai nahin tum faaeda ginaa karo nuqsaan chhoD kar khushbu bikhernaa miri fitrat hai dosto khushbu bikhertaa huun main gul-daan chhoD kar"
Urdu

ہجرت کرو تو رشتہ و سامان چھوڑ کر ورنہ نہ جاؤ تم کبھی میدان چھوڑ کر یوں تو لڑائی جھگڑے کی عادت نہیں مجھے پھر بھی غلط کیا تھا گریبان چھوڑ کر اب کوئی ملنے جلنے کو آتا نہیں ہے گھر میں بھی ہوں بند کمرے میں دالان چھوڑ کر اچھے برے سے پاک یہاں کوئی شے نہیں تم فائدہ گنا کرو نقصان چھوڑ کر خوشبو بکھیرنا مری فطرت ہے دوستو خوشبو بکھیرتا ہوں میں گلدان چھوڑ کر

Hindi

हिजरत करो तो रिश्ता-ओ-सामान छोड़ कर वर्ना न जाओ तुम कभी मैदान छोड़ कर यूँ तो लड़ाई झगड़े की आदत नहीं मुझे फिर भी ग़लत किया था गरेबान छोड़ कर अब कोई मिलने-जुलने को आता नहीं है घर मैं भी हूँ बंद कमरे में दालान छोड़ कर अच्छे बुरे से पाक यहाँ कोई शय नहीं तुम फ़ाएदा गिना करो नुक़सान छोड़ कर ख़ुशबू बिखेरना मिरी फ़ितरत है दोस्तो ख़ुशबू बिखेरता हूँ मैं गुल-दान छोड़ कर

hijrat karo to rishta-o-sāmān chhoḌ kar
Ehya Bhojpuri
Ehya Bhojpuri
Ehya Bhojpuri
poet38 quotes

More by Ehya Bhojpuri

View all →
Quote
"tabsira kyon kar rahe ho baarhaa ajdaad par faisla hogaa tumhaaraa aaj ki buniyaad par baat teri mil-milaa kar Thiik hai naqqaad par she'r achchhaa yaa buraa hai munhasir hai daad par sab hifaazat kar rahein hain mustaqil divaar ki jab ki hamla ho rahaa hai mustaqil buniyaad par kaise nikloge bhalaa apne gunah ke jaal se tum ne to ilzaam saaraa rakh diyaa sayyaad par dar-ba-dar phirnaa paDegaa 'aashiqon ko 'umr bhar zulm sahnaa laazmi hai vaaris-e-farhaad par maan ke pairon ke tale jannat ki ne'mat hai magar baap kaa saaya bhi 'ahyaa' chaahiye aulaad par"
Ehya BhojpuriEhya Bhojpuri
Quote
"kaise kabhi kisi ko dikhaaegaa aaina jab ek dusre ko laDaaegaa aaina jis raushni pe aks kaa daar-o-madaar hai us raushni ko kaun dikhaaegaa aaina fitrat mein us ki naaz-khiraami nahin to phir kyunkar kisi ke naaz uThaaegaa aaina samjho ki aaine kaa janaaza nikal gayaa jis din amir-e-shahr ko bhaaegaa aaina aisaa nahin ki sirf sanvaaregaa shakhsiyat ehsaan bhi na tum pe jataaegaa aaina pardaa paDaa ho aankhon pe mumkin to hai magar mumkin nahin ki aib chhupaaegaa aaina kah do anaa-parast se 'ahyaa' ki jald hi main aur ham ke darmiyaan aaegaa aaina"
Ehya BhojpuriEhya Bhojpuri
Quote
"haathon ki lakiron kaa likhaa kaaT rahe hain ham apne gunaahon ki sazaa kaaT rahe hain miTti nahin taarikh se koi bhi ibaarat taarikh likhegi ki likhaa kaaT rahe hain hai aaj ki faslon mein adaavat hi adaavat kyaa boyaa thaa ham ne yahaan kyaa kaaT rahe hain ham phuul hain mahkeinge jidhar jaaeinge lekin is baagh mein rahne ki sazaa kaaT rahe hain gaate the kabhi vo bhi mohabbat ke taraane mauqa jo milaa hai to galaa kaaT rahe hain aasaan banaanaa hai mohabbat ki Dagar ko chun chun ke so ham lafz-e-vafaa kaaT rahe hain"
Ehya BhojpuriEhya Bhojpuri

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri