"haathon ki lakiron kaa likhaa kaaT rahe hain ham apne gunaahon ki sazaa kaaT rahe hain miTti nahin taarikh se koi bhi ibaarat taarikh likhegi ki likhaa kaaT rahe hain hai aaj ki faslon mein adaavat hi adaavat kyaa boyaa thaa ham ne yahaan kyaa kaaT rahe hain ham phuul hain mahkeinge jidhar jaaeinge lekin is baagh mein rahne ki sazaa kaaT rahe hain gaate the kabhi vo bhi mohabbat ke taraane mauqa jo milaa hai to galaa kaaT rahe hain aasaan banaanaa hai mohabbat ki Dagar ko chun chun ke so ham lafz-e-vafaa kaaT rahe hain"
kaise kabhi kisi ko dikhaaegaa aaina — Ehya Bhojpuri
"kaise kabhi kisi ko dikhaaegaa aaina jab ek dusre ko laDaaegaa aaina jis raushni pe aks kaa daar-o-madaar hai us raushni ko kaun dikhaaegaa aaina fitrat mein us ki naaz-khiraami nahin to phir kyunkar kisi ke naaz uThaaegaa aaina samjho ki aaine kaa janaaza nikal gayaa jis din amir-e-shahr ko bhaaegaa aaina aisaa nahin ki sirf sanvaaregaa shakhsiyat ehsaan bhi na tum pe jataaegaa aaina pardaa paDaa ho aankhon pe mumkin to hai magar mumkin nahin ki aib chhupaaegaa aaina kah do anaa-parast se 'ahyaa' ki jald hi main aur ham ke darmiyaan aaegaa aaina"
کیسے کبھی کسی کو دکھائے گا آئینہ جب ایک دوسرے کو لڑائے گا آئینہ جس روشنی پہ عکس کا دار و مدار ہے اس روشنی کو کون دکھائے گا آئینہ فطرت میں اس کی ناز خرامی نہیں تو پھر کیوں کر کسی کے ناز اٹھائے گا آئینہ سمجھو کہ آئنے کا جنازہ نکل گیا جس دن امیر شہر کو بھائے گا آئینہ ایسا نہیں کہ صرف سنوارے گا شخصیت احسان بھی نہ تم پہ جتائے گا آئینہ پردا پڑا ہو آنکھوں پہ ممکن تو ہے مگر ممکن نہیں کہ عیب چھپائے گا آئینہ کہہ دو انا پرست سے احیاؔ کہ جلد ہی میں اور ہم کے درمیاں آئے گا آئینہ
कैसे कभी किसी को दिखाएगा आईना जब एक दूसरे को लड़ाएगा आईना जिस रौशनी पे अक्स का दार-ओ-मदार है उस रौशनी को कौन दिखाएगा आईना फ़ितरत में उस की नाज़-ख़िरामी नहीं तो फिर क्यूँकर किसी के नाज़ उठाएगा आईना समझो कि आइने का जनाज़ा निकल गया जिस दिन अमीर-ए-शहर को भाएगा आईना ऐसा नहीं कि सिर्फ़ सँवारेगा शख़्सियत एहसान भी न तुम पे जताएगा आईना पर्दा पड़ा हो आँखों पे मुमकिन तो है मगर मुमकिन नहीं कि ऐब छुपाएगा आईना कह दो अना-परस्त से 'अहया' कि जल्द ही मैं और हम के दरमियाँ आएगा आईना

More by Ehya Bhojpuri
View all →"jab ho gayaa kamaal to cigarette jalaa liyaa yaa phir huaa malaal to cigarette jalaa liyaa khud par kisi ko hansne kaa mauqa nahin diyaa puchhaa kisi ne haal to cigarette jalaa liyaa sukhe gale se lafz ko laanaa thaa zehn tak jab aa gayaa khayaal to cigarette jalaa liyaa ghusse mein khuun ke ghunT to piitaa rahaa magar aankhein huiin jo laal to cigarette jalaa liyaa achchhi nahin hai shai magar 'ahyaa' main kyaa karun karnaa hai shukr-e-haal to cigarette jalaa liyaa"
"tabsira kyon kar rahe ho baarhaa ajdaad par faisla hogaa tumhaaraa aaj ki buniyaad par baat teri mil-milaa kar Thiik hai naqqaad par she'r achchhaa yaa buraa hai munhasir hai daad par sab hifaazat kar rahein hain mustaqil divaar ki jab ki hamla ho rahaa hai mustaqil buniyaad par kaise nikloge bhalaa apne gunah ke jaal se tum ne to ilzaam saaraa rakh diyaa sayyaad par dar-ba-dar phirnaa paDegaa 'aashiqon ko 'umr bhar zulm sahnaa laazmi hai vaaris-e-farhaad par maan ke pairon ke tale jannat ki ne'mat hai magar baap kaa saaya bhi 'ahyaa' chaahiye aulaad par"
"diip andhon ke darmiyaan hogaa to ujaale kaa imtihaan hogaa dil ke andar bhi chaar khaane hain koi kaise na bad-gumaan hogaa jis ke pairon tale zamin hogi us ke qadmon mein aasmaan hogaa ik haqiqat se aashnaa huun main sab kaa duniyaa mein imtihaan hogaa jaaoge tum jahaan jahaan 'ahyaa' ik divaana vahaan vahaan hogaa"
"hain mere zakhm ki raanaaiyaan ajib-o-gharib ki us ko chaahiye gahraaiyaan ajib-o-gharib ye kis kaa zor hai mere charaagh ki lau par banaa rahaa hai jo parchhaaiyaan ajib-o-gharib hamaare khvaab ki galiyon se kaun guzraa hai ki aa rahi hain ye angDaaiyaan ajib-o-gharib nazar utaarti hai vaqt vaqt par meri mili hai maaon ko binaaiyaan ajib-o-gharib jalaae meri hi cigarette miri ayaadat par ye meraa dost bhi hai kaaiyaan ajib-o-gharib"
"hijrat karo to rishta-o-saamaan chhoD kar varna na jaao tum kabhi maidaan chhoD kar yuun to laDaai jhagDe ki aadat nahin mujhe phir bhi ghalat kiyaa thaa garebaan chhoD kar ab koi milne-julne ko aataa nahin hai ghar main bhi huun band kamre mein daalaan chhoD kar achchhe bure se paak yahaan koi shai nahin tum faaeda ginaa karo nuqsaan chhoD kar khushbu bikhernaa miri fitrat hai dosto khushbu bikhertaa huun main gul-daan chhoD kar"
More on Fitrat
View all →"qadam milaa ke tujhe kaamyaab main ne kiyaa ki tere khvaab ko taabir-e-khvaab main ne kiyaa zamaana tujh ko bahut pichhe chhoD saktaa thaa ye jaan le ki tujhe ham-rikaab main ne kiyaa andheraa phailaa to maayusiyon ne gher liyaa nayaa ujaalaa magar baazyaab main ne kiyaa miri vafaa ki badaulat mahak uThaa sahraa babul tu ne ugaayaa gulaab main ne kiyaa main jaantaa thaa ki fitrat tiri na badlegi raqaabaton se magar ijtinaab main ne kiyaa gale lagaa le jo dushman ko vo farishta hai yunhi to tujh se nahin ehtisaab main ne kiyaa usi ki baanhon mein TuuTe na saans ai 'muztar' jise masihaa samajh kar khitaab main ne kiyaa"
"kab tak ghuT kar jiite rahte sachchaai ke maare khvaab palkon ki dahliz se baahar nikle phir banjaare khvaab fitrat se hi aavaara hain kab Thahre jo Thahreinge kaise palkon par aTke hain kuchh khush-rang tumhaare khvaab ab maulaa hi jaane in mein apnaa kaun paraayaa kaun hans-hans kar har shab milte hain yuun to itne saare khvaab jivan ki is aapaa-dhaapi mein jo pichhe chhuT gae jaane ab kis haal mein honge vo qismat ke maare khvaab taa'biron ki faslein kaisi ugti hain kal dekheinge ham ne bhi boe hain shab bhar rang-birange pyaare khvaab kab 'akhilesh' tavaqqo' ki thi barfili is ghaaTi se aankhon se barseinge us ki ban kar yuun angaare khvaab"
"iztiraab-e-dil-e-bimaar se Dar lagtaa hai nabz ki surat-e-raftaar se Dar lagtaa hai husn ke ishva-e-tarraar se Dar lagtaa hai laghzish-e-fitrat-e-khuddaar se Dar lagtaa hai manzil-e-hashr bahut duur sahi par ab bhi pursish-e-bakht-e-siyahkaar se Dar lagtaa hai ik alamnaak fasaana hai junun-e-ulfat jis ki tafsir ke izhaar se Dar lagtaa hai jaada-e-hosh se haT jaaein na mai-kash ke qadam jaam ki garmi-e-raftaar se Dar lagtaa hai yaa to naamus-e-mohabbat pe thaa marnaa bar-haq yaa to zikr-e-rasan-o-daar se Dar lagtaa hai rukh badal de na mohabbat kaa ye aashufta-sari e'tibaar-e-nigah-e-yaar se Dar lagtaa hai ye aqidat hi kahin darpai-e-aazaar na ho sharf-e-paa-bosi-e-aghyaar se Dar lagtaa hai toD Daalein na kahin aap miraa shisha-e-dil aap ki shumi-e-guftaar se Dar lagtaa hai gham-o-aalaam se is darja saraasima huun ki mujhe aks-e-rukh-e-yaar se Dar lagtaa hai bhuul jaaun na kahin apni hi hasti kaa maqaam aap ki chashm-e-fusun-baar se Dar lagtaa hai bad-gumaani hui is darja dakhil-e-fitrat un ko ab saaya-e-divaar se Dar lagtaa hai phir barangekhta ho jaaein na jazbaat-e-nihaan shoala-saamaani-e-rukhsaar se Dar lagtaa hai baahami rabt mein ban jaae na hadd-e-faasil ikhtilaafaat ki divaar se Dar lagtaa hai kuchh to badle hue haalaat se vahshat hai 'azim' kuchh to bigDe hue aasaar se Dar lagtaa hai"
"mohabbat hai aziyyat hai hujum-e-yaas-o-hasrat hai javaani aur itni dukh bhari kaisi qayaamat hai vo maazi jo hai ik majmua ashkon aur aahon kaa na jaane mujh ko is maazi se kyuun itni mohabbat hai lab-e-dariyaa mujhe lahron se yunhi chahal karne do ki ab dil ko isi ik shughl-e-be-maani mein raahat hai tiraa afsaana ai afsaana-khvaan rangin sahi mumkin mujhe rudaad-e-ishrat sun ke ro dene ki aadat hai koi roe to main be-vajh khud bhi rone lagtaa huun ab 'akhtar' chaahe tum kuchh bhi kaho ye meri fitrat hai"
"jahaan-e-ilm kaa baab-e-nisaab hote hue bhaTak rahaa huun main ahl-e-kitaab hote hue kuchh aur bhi hai kharaabi ki dusri surat main khud ko dekh rahaa huun kharaab hote hue jo kaam dil ko mire fitratan nahin bhaate unhein main kar nahin paataa savaab hote hue mire hi dam se hai jo kuchh bhi is jahaan mein hai main kaise khud ko bhulaa duun janaab hote hue 'adil' jo the in aankhon ki raushni kal tak vo chehre dekh rahaa huun main khvaab hote hue"
"zamaan-e-hijr miTe daur-e-vasl-e-yaar aae ilaahi ab to khizaan jaae aur bahaar aae sitam-zarifi-e-fitrat ye kyaa muamma hai ki jis kali ko bhi sunghun main bu-e-yaar aae chaman ki har kali aamaada-e-tabassum hai bahaar ban ke miri jaan-e-nau-bahaar aae hain tishna-kaam ham un baadalon se puchhe koi kahaan bahaar ki pariyon ke takht utaar aae tire khayaal ki be-taabiyaan maaaz-allaah ki ek baar bhulaaein to laakh baar aae vo aaein yuun mire aaghosh-e-ishq mein 'akhtar' ki jaise aankhon mein ik khvaab-e-be-qaraar aae"