SHAWORDS

husn par jab shabaab aataa hai — Azeez Moradabadi

"husn par jab shabaab aataa hai ik nayaa inqalaab aataa hai un ko bhejaa hai aaj naama-e-shauq dekhiye kyaa javaab aataa hai meri aankhon mein dekh kar aansu un ko mujh par itaab aataa hai be-naqaab un ko dekhne ke liye raat ko maahtaab aataa hai taalib-e-did dars-e-ulfat lein imtihaan mein ye baab aataa hai aap jo bhi savaal puchheinge mujh ko us kaa javaab aataa hai qabr par meri gul chaDhaane ko vo baraae-savaab aataa hai tauba karte raho gunaahon se shaitanat se azaab aataa hai raat mein din 'aziz' niklegaa aisaa ik aaftaab aataa hai"
Urdu

حسن پر جب شباب آتا ہے اک نیا انقلاب آتا ہے ان کو بھیجا ہے آج نامۂ شوق دیکھیے کیا جواب آتا ہے میری آنکھوں میں دیکھ کر آنسو ان کو مجھ پر عتاب آتا ہے بے نقاب ان کو دیکھنے کے لئے رات کو ماہتاب آتا ہے طالب دید درس الفت لیں امتحاں میں یہ باب آتا ہے آپ جو بھی سوال پوچھیں گے مجھ کو اس کا جواب آتا ہے قبر پر میری گل چڑھانے کو وہ برائے ثواب آتا ہے توبہ کرتے رہو گناہوں سے شیطنت سے عذاب آتا ہے رات میں دن عزیزؔ نکلے گا ایسا اک آفتاب آتا ہے

Hindi

हुस्न पर जब शबाब आता है इक नया इंक़लाब आता है उन को भेजा है आज नामा-ए-शौक़ देखिए क्या जवाब आता है मेरी आँखों में देख कर आँसू उन को मुझ पर इताब आता है बे-नक़ाब उन को देखने के लिए रात को माहताब आता है तालिब-ए-दीद दर्स-ए-उल्फ़त लें इम्तिहाँ में ये बाब आता है आप जो भी सवाल पूछेंगे मुझ को उस का जवाब आता है क़ब्र पर मेरी गुल चढ़ाने को वो बराए-सवाब आता है तौबा करते रहो गुनाहों से शैतनत से अज़ाब आता है रात में दिन 'अज़ीज़' निकलेगा ऐसा इक आफ़्ताब आता है

husn par jab shabāb aatā hai
Azeez Moradabadi
Azeez Moradabadi
Azeez Moradabadi
poet13 quotes

More by Azeez Moradabadi

View all →
Quote
"kis ko sunaaein aur kahein kyaa kisi se ham sab kuchh luTaa ke baiTh gae hain abhi se ham apni hi kuchh khabar hai na duniyaa se vaasta rahte hain sab ke saath magar ajnabi se ham yuun to charaagh ham ne bahut se jalaae the mahrum phir bhi rahte rahe raushni se ham asraar-e-husn-o-ishq ko zaahir bhi kyon karein kahne ki baat ho to kahein har kisi se ham har sher apnaa aaina-e-husn-o-ishq hai bas lutf lete rahte hain ab shaairi se ham pahle zabaan-e-ghair mein karte the shaairi urdu mein sher kahte hain ab aagahi se ham dil itnaa bujh gayaa hai ghamon se ki ai 'aziz' jiine ko ji rahe hain magar be-dili se ham"
Azeez MoradabadiAzeez Moradabadi
Quote
"kabhi phulon se bahlaayaa gayaa huun kabhi kaanTon mein uljhaayaa gayaa huun tamanna hai unhin par jaan de duun ki jin ke dar se uThvaayaa gayaa huun miri qismat mein bachnaa thaa bachaa main go har manzil pe bahkaayaa gayaa huun main ik aazaad ruh-e-laa-makaan thaa yahaan kis vaaste laayaa gayaa huun mujhi par kyon hai ye ilzaam-e-hasti na main samjhaa na samjhaayaa gayaa huun main rotaa thaa ba-tarz-e-tifl-e-naadaan baDi mushkil se bahlaayaa gayaa huun yahi shaayad mohabbat ki sazaa hai pakaD kirdaar par laayaa gayaa huun ibaadat kaa maza lene ki khaatir bahut murshid ke ghar aayaa gayaa huun 'aziz' un ki inaayat ki badaulat kahaan se main kahaan laayaa gayaa huun"
Azeez MoradabadiAzeez Moradabadi
Quote
"hone ko to duniyaa mein hain kitne hi hasin aur lekin nahin tum jaisaa koi zohra-jabin aur tum paas rahoge to hifaazat se rahoge is daur mein koi bhi nahin mujh saa amiin aur dozakh kaa mujhe khauf hai nai khvaahish-e-jannat ab kuchh bhi mohabbat ke sivaa dil mein nahin aur kaisaa ye junun hai miraa koi to bataae jaanaa thaa mujhe aur kahin pahunchaa kahin aur gar ishq ki taaqat ko koi laae amal mein duniyaa mein banaa saktaa hai vo khuld-e-barin aur asraar haqiqat ke ayaan mujh pe hue hain ab ho gayaa pukhta miraa imaan-o-yaqin aur shaayad ye hai mearaaj mire husn-e-nazar ki vo duur bhi hote hain to lagte hain qarin aur alfaaz ki khushbu mein takhayyul ko basaa kar kahtaa huun ghazal un ke liye ek hasin aur sadmaat 'aziz' itne uThaae hain jahaan mein shaayad ki na ho meri tarah koi hazin aur"
Azeez MoradabadiAzeez Moradabadi
Quote
"mire dil se dil ko milaa kar to dekho mohabbat ki duniyaa basaa kar to dekho dar-e-aastaan par khaDaa huun main kab se zaraa rukh se parda haTaa kar to dekho abhi tak to mujh se rahe ho khafaa tum magar ab zaraa muskuraa kar to dekho bujhaaoge jitne vo bhaDkeinge utne mohabbat ke shoale bujhaa kar to dekho ye baad-e-mukhaalif na gul kar sakegi charaagh-e-mohabbat jalaa kar to dekho kaTegaa safar ye salaamat-ravi se mujhe raahbar tum banaa kar to dekho karaamat to apni dikhaao zaraa tum mujhe apnaa jaisaa banaa kar to dekho suneinge yaqinan vo afsaana-e-gham 'aziz' un ko dil se sunaa kar to dekho kabhi dil se apnaa samajh kar zaraa tum 'aziz' apnaa mujh ko banaa kar to dekho"
Azeez MoradabadiAzeez Moradabadi
Quote
"kyaa de gai fareb kisi ki nazar mujhe duniyaa kaa hosh hai na kuchh apni khabar mujhe jiine ki aarzu hai na marne ki aarzu aisaa diyaa hai ishq ne ik dard-e-sar mujhe muusaa gae the tuur pe jalve ko dekhne aataa hai chaar-su tiraa jalva nazar mujhe jab tak shuur-o-aql mire saath mein rahe lagti thi raah-e-ishq bahut pur-khatar mujhe vo ham-nashin thaa meraa main thaa us kaa ham-nashin ab kyon khafaa hai vo nahin us ki khabar mujhe allaah re ye husn-e-tasavvur ki vusatein jis samt main ne dekhaa vo aae nazar mujhe jaanaa hai mujh ko duur abhi aur ai 'aziz' bilkul ravaa nahin hai kahin bhi hazar mujhe"
Azeez MoradabadiAzeez Moradabadi
Quote
"jab kabhi shaghl se khaali ye bashar hotaa hai to dimaagh us kaa shayaatin kaa ghar hotaa hai qalb mein jis ke ho imaan-o-amal ki taaqat vo kisi se bhi nahin Dartaa niDar hotaa hai be-amal ki to duaaein bhi palaT aati hain baa-amal ki hi duaaon mein asar hotaa hai har zamaane mein hasad karte hain us se kuchh log jo bhi aaraasta-e-ilm-o-hunar hotaa hai vaqt paaband-e-hazar to kabhi hotaa hi nahin vo to har aan hi sargarm-e-safar hotaa hai qadr-o-qimat nahin ab zaat-o-sharaafat ki yahaan us ki azmat hai ki jo saahab-e-zar hotaa hai jo ataa kartaa hai duniyaa ko koi fan-paara baa'd marne ke bhi naam us kaa amar hotaa hai ham-khayaal apne jo mil jaate hain kuchh log 'aziz' vaqt phir apnaa bahut khuub basar hotaa hai"
Azeez MoradabadiAzeez Moradabadi

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"raakh ke Dher pe kyaa shoala-bayaani karte ek qisse ki bhalaa kitni kahaani karte husn itnaa thaa ki mumkin hi na thi khud-nigari ek imkaan ki kab tak nigaraani karte shola-e-jaan ko bujhaate yunhi qatra qatra khud ko ham aag banaate tujhe paani karte phuul saa tujh ko mahaktaa huaa rakhte shab bhar apne saanson se tujhe raat ki raani karte naddiyaan dekhein to bas sharm se paani ho jaaein chashm-e-khun-basta se paidaa vo ravaani karte sab se kahte ki ye qissa hai puraanaa saahab aah ki aanch se tasvir puraani karte dar-o-divaar badalne mein kahaan ki mushkil ghar jo hotaa to bhalaa naql-e-makaani karte koi aa jaataa kabhi yunhi agar dil ke qarib ham tiraa zikr pae-yaad-dahaani karte sach to ye hai ki tire hijr kaa ab ranj nahin kyaa dikhaave ke liye ashk-fishaani karte dil ko har lahza hi di aql pe ham ne tarjih yaar-e-jaani ko kahaan dushman-e-jaani karte shab isi tarah basar hoti hai meri 'irfaan' harf-e-khush-rang ko andoh-e-maaani karte"
Irfan SattarIrfan Sattar