SHAWORDS

ik tiri yaad ke sahaare par — KHalid Malik Sahil

"ik tiri yaad ke sahaare par zindagi kaT gai kinaare par kaun raste badal rahaa hai vahaan kaun rahtaa hai is sitaare par raushni ki agar alaamat hai raakh uDti hai kyuun sharaare par imtihaan ki khabar nahin lekin ro rahaa huun abhi khasaare par jab nazar ko nazar nahin aayaa zindagi ruk gai nazaare par mere israar par nahin aayaa jis ko israar thaa ishaare par khud-numaai kaa jaal thaa 'saahil' main ne bhi fikr ke sanvaare par"
Urdu

اک تری یاد کے سہارے پر زندگی کٹ گئی کنارے پر کون رستے بدل رہا ہے وہاں کون رہتا ہے اس ستارے پر روشنی کی اگر علامت ہے راکھ اڑتی ہے کیوں شرارے پر امتحاں کی خبر نہیں لیکن رو رہا ہوں ابھی خسارے پر جب نظر کو نظر نہیں آیا زندگی رک گئی نظارے پر میرے اصرار پر نہیں آیا جس کو اصرار تھا اشارے پر خود نمائی کا جال تھا ساحلؔ میں نے بھی فکر کے سنوارے پر

Hindi

इक तिरी याद के सहारे पर ज़िंदगी कट गई किनारे पर कौन रस्ते बदल रहा है वहाँ कौन रहता है इस सितारे पर रौशनी की अगर अलामत है राख उड़ती है क्यूँ शरारे पर इम्तिहाँ की ख़बर नहीं लेकिन रो रहा हूँ अभी ख़सारे पर जब नज़र को नज़र नहीं आया ज़िंदगी रुक गई नज़ारे पर मेरे इसरार पर नहीं आया जिस को इसरार था इशारे पर ख़ुद-नुमाई का जाल था 'साहिल' मैं ने भी फ़िक्र के सँवारे पर

ik tirī yaad ke sahāre par
KHalid Malik Sahil
KHalid Malik Sahil
KHalid Malik Sahil
poet37 quotes

More by KHalid Malik Sahil

View all →
Quote
"taqdir ke darbaar mein alqaab paDe the ham log magar khvaab mein be-khvaab paDe the yakh-basta havaaon mein thi khaamosh haqiqat ham soch ki dahliz pe betaab paDe the tasvir thi ehsaas ki tahrir havaa ki sahraa mein tire aks ke girdaab paDe the kal raat mein jis raah se ghar lauT ke aayaa us raah mein bikhre hue kuchh khvaab paDe the vo phuul jinhein aap ne dekhaa thaa adaa se ujDe hue mausam mein bhi shaadaab paDe the pachchis baras baad use dekh ke sochaa ik qatra-e-kam-zaat mein gharqaab paDe the ham log to akhlaaq bhi rakh aae hain 'saahil' raddi ke isi Dher mein aadaab paDe the"
KHalid Malik SahilKHalid Malik Sahil
Quote
"baDe jatan se baDe soch se utaaraa gayaa miraa sitaaraa sar-e-khaak bhi sanvaaraa gayaa miri vafaa ne junun kaa hisaab denaa thaa so aaj mujh ko bayaabaan se pukaaraa gayaa bas ek khauf thaa zinda tiri judaai kaa miraa vo aakhiri dushman bhi aaj maaraa gayaa mujhe yaqin thaa is tajrabe se pahle bhi sunaa hai ghair se jalva nahin sahaaraa gayaa sajaa diyaa hai tasavvur ne dhuup kaa manzar agarche barf ki tasvir se guzaaraa gayaa milaa hai khaak se nisbat kaa phir sila mujh ko miraa hi naam hai gardun se jo pukaaraa gayaa main dekhtaa rahaa duniyaa ko duur se 'saahil' mire makaan se aage talak kinaaraa gayaa"
KHalid Malik SahilKHalid Malik Sahil
Quote
"yuun dil o jaan ki tauqir mein masruf thaa main jaise ajdaad ki jaagir mein masruf thaa main tisha-e-vaqt ne buniyaad hilaa di varna har ghaDi zaat ki taamir mein masruf thaa main khvaab dekhaa thaa mohabbat kaa mohabbat ki qasam phir isi khvaab ki taabir mein masruf thaa main lafz rangon mein nahaae hue ghar mein aae teri aavaaz ki tasvir mein masruf thaa main ek ik pal miri palkon mein simaT aayaa hai ahd-e-gum-gashta ki tahrir mein masruf thaa main ab tire vaaste aabaad karungaa duniyaa ek arsa tiri taqdir mein masruf thaa main"
KHalid Malik SahilKHalid Malik Sahil
Quote
"main bhi huzur-e-yaar bahut der tak rahaa aankhon mein phir khumaar bahut der tak rahaa kal shaam mere qatl ki taarikh thi magar dushman kaa intizaar bahut der tak rahaa ab le chalaa hai dasht mein meraa junun mujhe is jin pe ikhtiyaar bahut der tak rahaa vo inkishaaf-e-zaat kaa lamha thaa khul gayaa shaayad darun-e-ghaar bahut der tak rahaa ab dekhte ho koi sahaaraa mile tumhein main bhi to ashk-baar bahut der tak rahaa tum maslahat kaho yaa munaafiq kaho mujhe dil mein magar ghubaar bahut der tak rahaa main khaak aasmaan ki bulandi ko dekhtaa apnon pe e'tibaar bahut der tak rahaa ilzaam-e-khud-sari bhi to saabit kiyaa gayaa main jab ki khaaksaar bahut der tak rahaa 'saahil' miri balaa se miraa hashr hogaa kyaa duniyaa mein baa-vaqaar bahut der tak rahaa"
KHalid Malik SahilKHalid Malik Sahil

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar