SHAWORDS

ishq ko baar-e-zindagi na kaho — Mansha Ur Rahman Khan Mansha

"ishq ko baar-e-zindagi na kaho baat itni bhi be-tuki na kaho dil ko jis mein ho fikr-e-sud-o-ziyaan us tijaarat ko aashiqi na kaho kuchh to marne kaa hausla dikhlaao sirf jiine ko zindagi na kaho dil-lagi ke sivaa bhi kuchh hai ishq ishq ko mahz dil-lagi na kaho kuchh na kah kar bhi apne dil ki baat yuun ba-andaaz-e-khaamushi na kaho sab kaho par hamein khudaa ke liye apne mahfil mein ajnabi na kaho jis ko kuchh aadmi kaa dard na ho aise zaalim ko aadmi na kaho dil ko bakhshe jo zindagi 'manshaa' tum to us gham ko gham kabhi na kaho"
Urdu

عشق کو بار زندگی نہ کہو بات اتنی بھی بے تکی نہ کہو دل کو جس میں ہو فکر سود و زیاں اس تجارت کو عاشقی نہ کہو کچھ تو مرنے کا حوصلہ دکھلاؤ صرف جینے کو زندگی نہ کہو دل لگی کے سوا بھی کچھ ہے عشق عشق کو محض دل لگی نہ کہو کچھ نہ کہہ کر بھی اپنے دل کی بات یوں بہ انداز خامشی نہ کہو سب کہو پر ہمیں خدا کے لئے اپنے محفل میں اجنبی نہ کہو جس کو کچھ آدمی کا درد نہ ہو ایسے ظالم کو آدمی نہ کہو دل کو بخشے جو زندگی منشاؔ تم تو اس غم کو غم کبھی نہ کہو

Hindi

इश्क़ को बार-ए-ज़िंदगी न कहो बात इतनी भी बे-तुकी न कहो दिल को जिस में हो फ़िक्र-ए-सूद-ओ-ज़ियाँ उस तिजारत को आशिक़ी न कहो कुछ तो मरने का हौसला दिखलाओ सिर्फ़ जीने को ज़िंदगी न कहो दिल-लगी के सिवा भी कुछ है इश्क़ इश्क़ को महज़ दिल-लगी न कहो कुछ न कह कर भी अपने दिल की बात यूँ ब-अंदाज़-ए-ख़ामुशी न कहो सब कहो पर हमें ख़ुदा के लिए अपने महफ़िल में अजनबी न कहो जिस को कुछ आदमी का दर्द न हो ऐसे ज़ालिम को आदमी न कहो दिल को बख़्शे जो ज़िंदगी 'मंशा' तुम तो उस ग़म को ग़म कभी न कहो

ishq ko bār-e-zindagī na kaho
Mansha Ur Rahman Khan Mansha
Mansha Ur Rahman Khan Mansha
Mansha ur Rahman Khan Mansha
poet35 quotes

More by Mansha Ur Rahman Khan Mansha

View all →
Quote
"sozish-e-gham ki inaayat kabhi aisi to na thi aaj hai dil ki jo haalat kabhi aisi to na thi apni hasti kaa bhi ehsaas nahin hai jaise khud-faraamoshi-e-vahshat kabhi aisi to na thi saazish-e-dida-o-dil rang hi laai aakhir khoi khoi si tabiat kabhi aisi to na thi ai gham-e-ishq ye teraa hi karam hai shaayad ab hai jo ziist ki surat kabhi aisi to na thi un nigaahon ne hi kuchh sehr kiyaa hai varna zindagaani mein haraarat kabhi aisi to na thi apne hi khun-e-jigar kaa to ye faizaan nahin mausam-e-gul mein taraavat kabhi aisi to na thi mauja-e-nur ne phir sar na uThaayaa ho kahin sahmi sahmi hui zulmat kabhi aisi to na thi aaj kyon zad pe hain us ki ye mah-o-mehr-o-nujum azm-e-insaan ki jasaarat kabhi aisi to na thi un mein ehsaas-e-khudi jaag rahaa hai 'manshaa' varna zarron mein tamaazat kabhi aisi aisi na thi"
Mansha Ur Rahman Khan ManshaMansha Ur Rahman Khan Mansha
Quote
"surat-e-barq-e-tapaan shoala-fagan uTThe hain azm-e-nau le ke javaanaan-e-vatan uTThe hain hifz-e-naamus-e-mohabbat ke liye divaane apne dil mein liye marne ki lagan uTThe hain rukh zamaane ki havaaon kaa badalne vaale aaj Daale hue maathe pe shikan uTThe hain paikar-e-mehr-o-vafaa ham hain magar majburan haath mein tegh liye ghalghala-zan uTThe hain aanch naamus-e-vatan par nahin aane deinge ab to ham baandhe hue sar se kafan uTThe hain chand lamhaat ke mehmaan nazar aate hain vo bagule jo sar-e-sehn-e-chaman uTThe hain ab andheron se kaho khair manaaein apni zarre dharti ke miri ban ke kiran uTThe hain jab bhi aayaa hai kaDaa vaqt chaman par 'manshaa' le ke ham hausla-e-fitna-shikan uTThe hain"
Mansha Ur Rahman Khan ManshaMansha Ur Rahman Khan Mansha
Quote
"aankhon ko kisi haal mein giryaan na kareinge ham ishq ki tauhin kaa saamaan na kareinge jo apnaa samajh kar hamein bakhshaa hai kisi ne us dard kaa bhule se bhi darmaan na kareinge hans hans ke sahe jaaeinge har jaur-e-mohabbat shikvon se magar tum ko pashemaan na kareinge rusvaai-e-vahshat hamein manzur nahin hai phulon ki tarah chaak girebaan na kareinge maujon se zaraa khelnaa aa jaane do ham ko phir ham kabhi andesha-e-tufaan na kareinge ab ho gayaa ehsaas hamein azmat-e-gham kaa ab aarzu-e-aish-e-faraavaan na kareinge gul aur hi kuchh fasl-e-bahaaraan ne khilaae ab phir se tamannaa-e-bahaaraan na kareinge rakkheinge yunhi dil ko tapaan ishq mein 'manshaa' jab tak use tanvir-badaamaan na kareinge"
Mansha Ur Rahman Khan ManshaMansha Ur Rahman Khan Mansha
Quote
"soz-e-dil aah-e-sharar-baar se pahchaante hain log tufaan ko aasaar se pahchaante hain hausla kahte hain ik raah-e-amal detaa hai hashr ko ham tiri raftaar se pahchaante hain rang-e-mai rang-e-shafaq rang-e-guhar rang-e-gulaab tere rang-e-lab-o-rukhsaar se pahchaante hain apni qismat ke kham-o-pech ko ham divaane tere hi gesu-e-khamdaar se pahchaante hain ahl-e-dil ahl-e-jigar ahl-e-nazar ahl-e-vafaa ham ko shauq-e-rasan-o-daar se pahchaante hain gardish-e-charkh kaa rukh ho ki zamaane kaa mizaaj sirf ham dida-e-bedaar se pahchaante hain aur hain vo jo zar-o-sim pe rakhte hain nazar ham to insaan ko kirdaar se pahchaante hain husn vaalon ki ye khubi hai ki dil vaalon ko ik nazar hi mein baDe pyaar se pahchaante hain shaairi kaa ye karam kam to nahin hai 'manshaa' log tujh ko tire ashaar se pahchaante hain"
Mansha Ur Rahman Khan ManshaMansha Ur Rahman Khan Mansha
Quote
"dil pe zakhm khaane se ashk-e-khun bahaane tak ham ne gham sahe kyaa kyaa kaif-e-zist paane tak fasl-e-nau-bahaaraan ko kyaa khabar ki ghunchon par kitne hashr guzre hain khil ke muskuraane tak dil ne azm-o-himmat se kaam le liyaa varna ham pe kyaa nahin biiti aarzu bar aane tak iztiraab-e-paiham se zindagi ibaarat hai dil ki qadr-o-qimat hai naaz-e-gham uThaane tak manzilon ki dushvaari raaston ke sannaaTe hain tamaam andeshe ik qadam baDhaane tak ho fazaa ki vusat kaa us ko khaak andaaza hadd-e-fikr ho jis ki apne aashiyaane tak sach to hai yahi 'manshaa' zindagi ki raahon mein tirgi kaa khatra hai sham-e-dil jalaane tak"
Mansha Ur Rahman Khan ManshaMansha Ur Rahman Khan Mansha
Quote
"gul zakhm ko aansu ko guhar ham ne kahaa hai har aib-e-mohabbat ko hunar ham ne kahaa hai raanaai-e-jalva ko ba-sad husn-e-tayaqqun khud apnaa hi ik aks-e-nazar ham ne kahaa hai kuchh baat to hai jis ke sabab saare jahaan mein ai dost tujhe khuld-nazar ham ne kahaa hai kahne ko rah-e-shauq mein raahi to bahut the manzil ko magar gard-e-safar ham ne kahaa hai ho jin se gham-e-tirgi-e-shab kaa mudaavaa aise hi ujaalon ko sahar ham ne kahaa hai haq-goi kaa anjaam samajh kar bhi ai 'manshaa' jo kahnaa thaa be-khauf-o-khatar ham ne kahaa hai"
Mansha Ur Rahman Khan ManshaMansha Ur Rahman Khan Mansha

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar