SHAWORDS

'ishq naakaam-e-tamannaa jaan mahrum-e-sukun — Asar Bahraichi

HomeAsar BahraichiGhazal
"'ishq naakaam-e-tamannaa jaan mahrum-e-sukun tu hi batlaa ai mohabbat is tarah kab tak jiyun sho'la-e-sham'-e-mohabbat garmi-e-soz-e-darun phunk de sab khirman-e-dil aur main dekhaa karun bazm-e-hasti mein kise ho sar-bulandi par ghurur aasmaan ko dekhiye is auj par hai sar-nigun ik fareb-e-did hai husn-e-bahaar-o-gulsitaan ik tilism-e-aab-o-gil hai ye jahaan-e-kaaf-o-nun daastaan-e-shauq rudaad-e-mohabbat haal-e-dil aap gar puchhein kabhi mujh se to main sab kuchh kahun phir kahaan saaqi ki mahfil phir kahaan ye mai-kada ab jo aayaa huun yahaan tak kuchh na kuchh piitaa chalun ek majbur-e-tamannaa ziist baaqi hai 'asar' sochtaa huun vo bhi nazr-e-'ishva-e-qaatil karun"
Urdu

عشق ناکام تمنا جان محروم سکوں تو ہی بتلا اے محبت اس طرح کب تک جیوں شعلۂ شمع محبت گرمیٔ سوز دروں پھونک دے سب خرمن دل اور میں دیکھا کروں بزم ہستی میں کسے ہو سربلندی پر غرور آسماں کو دیکھیے اس اوج پر ہے سرنگوں اک فریب دید ہے حسن بہار و گلستاں اک طلسم آب و گل ہے یہ جہان کاف و نوں داستان شوق روداد محبت حال دل آپ گر پوچھیں کبھی مجھ سے تو میں سب کچھ کہوں پھر کہاں ساقی کی محفل پھر کہاں یہ مے کدہ اب جو آیا ہوں یہاں تک کچھ نہ کچھ پیتا چلوں ایک مجبور تمنا زیست باقی ہے اثرؔ سوچتا ہوں وہ بھی نذر عشوۂ قاتل کروں

Hindi

'इश्क़ नाकाम-ए-तमन्ना जान महरूम-ए-सुकूँ तू ही बतला ऐ मोहब्बत इस तरह कब तक जियूँ शो'ला-ए-शम'-ए-मोहब्बत गर्मी-ए-सोज़-ए-दरूँ फूँक दे सब ख़िर्मन-ए-दिल और मैं देखा करूँ बज़्म-ए-हस्ती में किसे हो सर-बुलंदी पर ग़ुरूर आसमाँ को देखिए इस औज पर है सर-निगूँ इक फ़रेब-ए-दीद है हुस्न-ए-बहार-ओ-गुल्सिताँ इक तिलिस्म-ए-आब-ओ-गिल है ये जहान-ए-काफ़-ओ-नूँ दास्तान-ए-शौक़ रूदाद-ए-मोहब्बत हाल-ए-दिल आप गर पूछें कभी मुझ से तो मैं सब कुछ कहूँ फिर कहाँ साक़ी की महफ़िल फिर कहाँ ये मय-कदा अब जो आया हूँ यहाँ तक कुछ न कुछ पीता चलूँ एक मजबूर-ए-तमन्ना ज़ीस्त बाक़ी है 'असर' सोचता हूँ वो भी नज़्र-ए-'इश्वा-ए-क़ातिल करूँ

'ishq nākām-e-tamannā jaan mahrūm-e-sukūñ
Asar Bahraichi
Asar Bahraichi
Asar Bahraichi
poet10 quotes

More by Asar Bahraichi

View all →
Quote
"be-khabar raahon se ham naa-aashnaa manzil se ham uTh ke jaaein to kahaan jaaein tiri mahfil se ham khaamushi kab tak rahegi raaz-daar-e-harf-e-shauq keh sakeinge daastaan kab tak zabaan-e-dil se ham jaada-e-ulfat mein saari 'umr bhaTkaa hi kiye duur manzil ho gai ham se kabhi manzil se ham 'ishq naakaam-e-tamannaa jaan mahrum-e-sukun ji rahe hain bin tire lekin baDi mushkil se ham ghair kyaa jaane hamaaraa yaa hamaare dil kaa haal dil hamaare gham se vaaqif aarzu-e-dil se ham sab ne chhalkaae mai-e-gul-rang se bhar bhar ke jaam tishna-lab uTThe magar saaqi tiri mahfil se ham hai nigaah-e-mast saaqi ke tasarruf kaa 'asar' hosh mein aae to aaeinge baDi mushkil se ham"
Asar BahraichiAsar Bahraichi
Quote
"raahon se bhi naa-vaaqif manzil se bhi begaana le jaae kahaan dekhein ham ko dil-e-divaana vo dair-o-kalisaa ho yaa kaa’ba-o-but-khaana hain ek fasaane ke 'unvaan judaa-gaana divaane ko divaana jaanaa to zamaane ne lekin na koi samjhaa kyon ho gayaa divaana ho shikva-e-besh-o-kam saaqi se to be-jaa hai har rind ko milti hai paimaana-ba-paimaana mast-e-mai-e-ulfat ki allaah re mad-hoshi jab hosh kabhi aayaa khud ko bhi na pahchaanaa sajdon mein mire yaa-rab itnaa to 'asar' de de kheinch aae jabin tak khud sang-e-dar-e-jaanaana"
Asar BahraichiAsar Bahraichi
Quote
"na labon pe aah laate to kuchh aur baat hoti tah-e-gham bhi muskuraate to kuchh aur baat hoti mire dil mein tum makin ho rag-e-jaan se bhi qarin ho jo nazar mein bhi samaate to kuchh aur baat hoti mire dil ki dhaDkanein hain mire giit mere naghme mire gham ko tum bhi gaate to kuchh aur baat hoti tiri be-rukhi salaamat hamein bhuul jaane vaale tujhe ham bhi bhuul jaate to kuchh aur baat hoti vahi shaakh-e-gul hasin hai jo hai bijliyon kaa markaz vahin aashiyaan banaate to kuchh aur baat hoti the nazar ke saamne to vo nazar-navaaz jalve jo qadam na Dagmagaate to kuchh aur baat hoti tiri aarzu ki lazzat tire paas aa ke kho di tujhe paa ke bhi na paate to kuchh aur baat hoti"
Asar BahraichiAsar Bahraichi
Quote
"baar-e-alam dilon pe uThaae hue hain log gham muskuraahaTon mein chhupaae hue hain log taariki-e-lahad mein to paai na dastaras sham'ein sar-e-mazaar jalaae hue hain log miltaa hai jis ko paa ke har ik qalb ko sukun us zindagi ko maut banaae hue hain log unchaa falak se jaan ke apne maqaam ko hangaama ik zamin pe uThaae hue hain log paas-e-adab se kar na sake 'arz-e-mudda'aa teri razaa pe sar ko jhukaae hue hain log hai ab vahaan bhi shaikh-o-barahman mein imtiyaaz ab mai-kada bhi chhoD ke aae hue hain log vo vaqt hai 'asar' ki har ik hosh-mand ko divaana apne saath banaae hue hain log"
Asar BahraichiAsar Bahraichi
Quote
"jin par tiri nigaah paDi vo sanvar gae jin se tiri nigaah phiri vo bikhar gae is daur-e-pur-malaal mein aaegi kyaa hansi khandaan-labi ke yaar zamaane guzar gae manzil tamaam 'umr nahin mil saki unhein raste mein paa ke chhaanv kahin jo Thahar gae aalaam-e-zindagi mein maza zindagi kaa hai vo kyaa jiyeinge jo gham-e-dauraan se Dar gae khuddaari-o-zamir-o-vafaa jin ki mar gai vo log apni maut se pahle hi 'mar gae aashuftagaan-e-'ishq kaa 'aalam na puchhiye nikle tiri talab mein to vaapas na ghar gae donon jahaan mein hain vahi surkh-ru 'asar' daar-o-rasan se hanste hue jo guzar gae"
Asar BahraichiAsar Bahraichi
Quote
"jalvon ki tamaazat se kabhi tuur jalaa dein aur chaahein to sho'lon ko bhi gulzaar banaa dein kyaa ziist hai kyaa ziist kaa anjaam bataa dein bichhDe hue qatre ko samundar kaa pata dein jaltaa hai agar dil bhi hamaaraa to jalaa dein nafrat ke andheron ko bahar-haal miTaa dein rah jaae na duniyaa mein koi dost kisi kaa ham aap ke chehre se agar parda haTaa dein aankhon mein udaasi hai to honTon pe khamoshi har shakhs hai tasvir yahaan kis ko sadaa dein raushan hai har ik gosha-e-dil jis ki ziyaa se us sham'-e-farozaan ko 'asar' kaise bujhaa dein"
Asar BahraichiAsar Bahraichi

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb