SHAWORDS

jab se junun ko qaaim-bizzaat kar liyaa hai — Akash Arsh

HomeAkash ArshGhazal
"jab se junun ko qaaim-bizzaat kar liyaa hai duniyaa se apne dil ko muhtaat kar liyaa hai main kis ke gham se apni taskin kar rahaa huun kis ki nafi ko apnaa isbaat kar liyaa hai ik shahr ko baDhaa kar jangal banaa rahaa huun ik abr ko ghaTaa kar barsaat kar liyaa hai achchhi si zindagi ab baazaar se kharido marne kaa saaz-o-saamaan ifraat kar liyaa hai maazi ke 'arsh' ab tak kyon saath chal rahe hain kyaa jaane main ne in ko kyon saath kar liyaa hai"
Urdu

جب سے جنوں کو قائم بالذات کر لیا ہے دنیا سے اپنے دل کو محتاط کر لیا ہے میں کس کے غم سے اپنی تسکین کر رہا ہوں کس کی نفی کو اپنا اثبات کر لیا ہے اک شہر کو بڑھا کر جنگل بنا رہا ہوں اک ابر کو گھٹا کر برسات کر لیا ہے اچھی سی زندگی اب بازار سے خریدو مرنے کا ساز و ساماں افراط کر لیا ہے ماضی کے عرشؔ اب تک کیوں ساتھ چل رہے ہیں کیا جانے میں نے ان کو کیوں ساتھ کر لیا ہے

Hindi

जब से जुनूँ को क़ाइम-बिज़्ज़ात कर लिया है दुनिया से अपने दिल को मुहतात कर लिया है मैं किस के ग़म से अपनी तस्कीन कर रहा हूँ किस की नफ़ी को अपना इसबात कर लिया है इक शहर को बढ़ा कर जंगल बना रहा हूँ इक अब्र को घटा कर बरसात कर लिया है अच्छी सी ज़िंदगी अब बाज़ार से ख़रीदो मरने का साज़-ओ-सामाँ इफ़रात कर लिया है माज़ी के 'अर्श' अब तक क्यों साथ चल रहे हैं क्या जाने मैं ने इन को क्यों साथ कर लिया है

jab se junūñ ko qā.im-bizzāt kar liyā hai
Akash Arsh
Akash Arsh
Akash Arsh
poet22 quotes

More by Akash Arsh

View all →

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar