Quote
"haq-shanaasi ki jaanib agar jaaoge roz do chaar siDhi utar jaaoge tum jo karte ho vo dil-lagi hai miyaan 'ishq karne lagoge to mar jaaoge be-sabab kab talak qatl-e-insaaniyat ham to samjhe the bas ab Thahar jaaoge us taraf shaan-o-shaukat idhar muflisi tum kidhar jaaoge tum udhar jaaoge ab ke mausam mein ham sabz-o-shaadaab hain ab ke mausam mein tum ham pe mar jaaoge"
