Quote
"binaa-e-ishq hai bas ustuvaar karne tak falak ko chain kahaan phir ghubaar karne tak ye kab kahaa ki bharosaa nahin hai vaade par main ji sakungaa tiraa intizaar karne tak khabar na thi vo mujhe qatl karne aayaa hai main us ko dost samajhtaa thaa vaar karne tak phir is ke baad kahaan imtiyaaz-e-daaman-o-dil junun hai shauq faqat ikhtiyaar karne tak vo khu-e-ishq basi hai hamaari fitrat mein ki saath dete hain ham jaan nisaar karne tak kuchh is se pahle hi aa jaae meri ziist ki shaam hayaat vaqf ho jab din shumaar karne tak mere qabile kaa 'mohsin' ye qaul-e-faisal hai ki zulm zulm hai sabr ikhtiyaar karne tak"
