SHAWORDS

jism halkaan aur kyaa hogaa — Hina Abbas

HomeHina AbbasGhazal
"jism halkaan aur kyaa hogaa dil pareshaan aur kyaa hogaa narm gosha bhi ho gayaa patthar dil kaa nuqsaan aur kyaa hogaa dil mein rakkhe hain teri yaad ke phuul gul kaa guldaan aur kyaa hogaa khud se baahar nikal na paai main meraa zindaan aur kyaa hogaa dil khichaa jaae hai tiri jaanib rasta aasaan aur kyaa hogaa zindagaani ki is kahaani kaa gham kaa 'unvaan aur kyaa hogaa"
Urdu

جسم ہلکان اور کیا ہوگا دل پریشان اور کیا ہوگا نرم گوشہ بھی ہو گیا پتھر دل کا نقصان اور کیا ہوگا دل میں رکھے ہیں تیری یاد کے پھول گل کا گلدان اور کیا ہوگا خود سے باہر نکل نہ پائی میں میرا زندان اور کیا ہوگا دل کھچا جائے ہے تری جانب رستہ آسان اور کیا ہوگا زندگانی کی اس کہانی کا غم کا عنوان اور کیا ہوگا

Hindi

जिस्म हलकान और क्या होगा दिल परेशान और क्या होगा नर्म गोशा भी हो गया पत्थर दिल का नुक़्सान और क्या होगा दिल में रक्खे हैं तेरी याद के फूल गुल का गुलदान और क्या होगा ख़ुद से बाहर निकल न पाई मैं मेरा ज़िंदान और क्या होगा दिल खिचा जाए है तिरी जानिब रस्ता आसान और क्या होगा ज़िंदगानी की इस कहानी का ग़म का 'उन्वान और क्या होगा

jism halkān aur kyā hogā
Hina Abbas
Hina Abbas
Hina Abbas
poet24 quotes

More by Hina Abbas

View all →
Quote
"ab nahin koi rasta raasta banaanaa hai jitnaa ban sake utnaa raasta banaanaa hai ye nigaah jaati hai chaand aur taaron tak tu bataa kahaan tak kaa raasta banaanaa hai tisraa jo pahlu hai vo bhi dekhnaa hogaa aa gayaa hai doraahaa raasta banaanaa hai aur kyaa banaanaa hai khvaahishon ke jangal mein ghuum phir ke ik sidhaa raasta banaanaa hai ek aur duniyaa hai aasmaan ki us jaanib ab vahaan pe jaane kaa raasta banaanaa hai titliyaan banaani hain phuul bhi banaane hain aur tere aane kaa raasta banaanaa hai"
Hina AbbasHina Abbas

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer